daaniyel 8:1-27
8 raja belshassar+ ke raaj ke teesre saal mujh daaniyel ko ek aur darshan mila.+
2 main elam praant*+ mein shooshan*+ naam ke kile* mein tha. main oolai ki nahar ke paas tha.
3 mainne nazrein uthayin to dekha ki nahar ke saamne ek medha+ khada hai aur uske do sing hain!+ donon sing lambe the, magar ek sing doosre se zyada lamba tha. lamba sing baad mein nikala tha.+
4 mainne dekha ki medha pashchim, uttar aur dakshin ki taraf sing maar raha hai aur koi bhi jangli jaanvar uske saamne tik nahin paa raha tha aur aisa koi nahin tha jo uske haath se kisi ko chhuda sake.+ woh apni man-marzee kar raha tha aur khud ko uncha utha raha tha.
5 fir mainne dekha ki pashchim se ek bakra+ aa raha hai jo poori dharti par itni tezee se guzar raha tha ki uske pair zameen ko nahin chhoo rahe the! us bakre ki aankhon ke beech ek sing tha jo dekhnelayak tha.+
6 woh us do singonvale medhe ki taraf aa raha tha jise mainne nahar ke paas khade dekha tha. bakra gusse se bhara hua uski taraf daud raha tha.
7 mainne dekha ki bakra medhe par jhunjhlata hua uske bilkul paas aa raha tha. woh medhe par lapka aur use gira diya aur uske donon sing tod diye. medhe ke paas uska saamna karne ki taakat nahin thi. bakre ne use zameen par girakar raund diya aur medhe ko bakre ke haath se chhudanevala koi na tha.
8 fir us bakre ne khud ko bahot uncha uthaya. magar jaise hi woh taakatvar hua uska bada sing tod diya gaya. fir us sing ki jagah aise chaar sing nikaal aaye jo dekhnelayak the. ye chaar sing dharti ki chaar dishaon ki taraf badhne lage.+
9 un chaar singon mein se ek sing se ek aur sing nikaal aaya jo chhota tha. yah chhota sing dakshin aur poorab ki taraf aur sundar desh* ki taraf badh-chadhkar apni taakat dikhane laga.+
10 yah itna taakatvar ho gaya ki aakash ki sena tak pahunch gaya aur isne sena mein se kuch ko aur kuch taaron ko dharti par gira diya aur unhein raund daala.
11 yahaan tak ki usne us sena ke haakim ko chunauti di aur uski niyamit baliyaan chheen li gayin aur uska thehraya hua pavitra-sthan gira diya gaya.+
12 apradh ki vajah se ek sena aur niyamit baliyaan uske havale kar di gayin aur woh sachchai ko dharti par girata raha aur apne kaam mein kaamyab ho gaya.
13 fir mainne ek pavitra doot ko baat karte suna. aur ek doosre pavitra doot ne usse kaha, “woh darshan kab tak poora hota rahega jo niyamit baliyon aur us apradh ke baare mein hai jisse tabahi machti hai?+ kab tak pavitra jagah aur sena ko raunda jaayega?”
14 usne mujhse kaha, “jab tak ki 2,300 shaam aur subah nahin beet jaate. fir pavitra jagah ko zaroor pehale ki tarah sahi haalaat mein laaya jaayega.”
15 main daaniyel darshan dekh raha tha aur use samajhne ki koshish kar raha tha ki tabhi achanak mainne dekha ki ek aadmi jaisa koi mere saamne khada hai.
16 fir mainne oolai+ ke beech khade ek aadmi ki aavaz suni. usne pukarkar kaha, “jibrail,+ is aadmi ne jo dekha hai uska matlab ise samjha.”+
17 tab woh us jagah aaya jahaan main khada tha. magar jab woh aaya to main itna dar gaya ki main munh ke bal gir pada. usne mujhse kaha, “insan ke bete, tu yah jaan le ki yah darshan ant ke samay mein poora hoga.”+
18 magar jab woh mujhse baat kar raha tha to main munh ke bal zameen par gir gaya aur gehri nind so gaya. usne mujhe chhua aur mujhe vahaan khada kiya jahaan main pehale khada tha.+
19 fir usne kaha, “ab main tujhe bataunga ki parmeshvar ke krodh ke samay ke aakhir mein kya hoga, kyonki yah darshan ant ke tay samay mein poora hoga.+
20 toone jo do singonvala medha dekha woh maadai aur faaras ke raajaon ko darshata hai.+
21 royendar bakra yoonan ke raja ko darshata hai+ aur uski aankhon ke beech bada sing yoonan ke pehale raja ko darshata hai.+
22 woh sing tod diya gaya aur uske badle chaar sing nikaal aaye,+ uska matlab yah hai ki uske raashtra se chaar raajya udhaar aayenge magar woh raajya us raja ke jitne taakatvar nahin honge.
23 unke raajya ke aakhiri daur mein, jab apradhi apradh karne mein had kar jaayenge, tab ek aisa khoonkhar raja ubhrega jo uljhanevali baatein samajhta hoga.*
24 woh bahot taakatvar ho jaayega magar apne dam par nahin. woh bade hi anokhe tareeke se tabahi machayega* aur apne har kaam mein kaamyab hoga. woh shaktishali logon ko aur pavitra janon ko bhi naash kar dega.+
25 woh kaamyab hone ke liye chaalaaki se doosron ko dhokha dega, man-hi-man khud ko bahot uncha samjhega aur aman-chain ke daur mein* bahot-se logon ko naash kar dega. yahaan tak ki woh haakimon ke haakim se bhi ladega, magar woh kisi insan ke haath lagaye bagair tod diya jaayega.
26 shaam aur subah ke baare mein darshan mein jo kaha gaya tha woh sach hai, magar tu yah darshan raaz rakhna kyonki yah aaj se bahot dinon baad* poora hoga.”+
27 main daaniyel past ho gaya aur kuch dinon tak beemar pada raha.+ fir main utha aur raja ke kaam mein lag gaya,+ magar mainne jo dekha tha uski vajah se main sunna ho gaya aur koi meri haalaat nahin samajh paaya tha.+
kai footnote
^ ya “zila adhikar-shetra.”
^ ya “soosa.”
^ ya “mahal.”
^ ya “sartaj.”
^ ya “saazishein karne mein maahir hoga.”
^ ya “woh bhayanak vinash laayega.”
^ ya shaayad, “aur bina chetavni diye.”
^ ya “door bhavishya mein.”