daaniyel 9:1-27

  • daaniyel ne paap kabool kiya (1-19)

    • 70 saal tak ujaad pada rahega (2)

  • jibrail, daaniyel ke paas aaya (20-23)

  • 70 hafton ki bhavishyavani (24-27)

    • maseeha 69 hafton baad prakat hoga (25)

    • woh kaat daala jaayega (26)

    • nagri aur pavitra jagah ka naash (26)

9  yah maadiyon ke vanshaj daara ka pehala saal tha.+ daara ahash-verosh ka beta tha aur use kasdiyon ke raajya ka raja banaya gaya tha.+  uske raaj ke pehale saal mujh daaniyel ko kitabein* padhkar yah samajh mili ki yarooshalem 70 saal tak ujaad pada rahega,+ theek jaise yahova ne bhavishyavakta yirmayah se kaha tha.+  isliye mainne sachche parmeshvar yahova ki taraf munh kiya aur usse gidgidakar minnatein kin. saath hi, mainne upvas kiya,+ taat odha aur khud par raakh daali.  mainne apne parmeshvar yahova se prarthna ki aur hamare paap kabool karte huye kaha, “hey sachche parmeshvar yahova, tu mahan aur vismaykari parmeshvar hai, apna karar nibhata hai aur jo tujhse pyar karte hain aur teri aagyayen maante hain, unhein tu apne atal pyar ka saboot deta hai.+  hamne paap kiya, bure kaam kiye, dusht kaam kiye aur tujhse bagavat ki.+ hum teri aagyaon aur tere nyay-siddhaanton se door chale gaye.  hamne tere sevkon, bhavishyavaktaon ki baat nahin suni+ jinhonne tere naam se hamare raajaon, haakimon, purkhon aur desh ke sabhi logon ko bataya tha ki unhein kya karna chahiye.  hey yahova, tu nek hai, magar hum sharminda hain jaise ki aaj dekha jaa sakta hai. yahooda ke log, yarooshalem ke nivasi aur poore israel ke log sharminda hain, jo paas aur door ke un sabhi deshon mein rehte hain jahaan toone unhein titar-bitar kar diya kyonki unhonne tere saath vishvasghat kiya tha.+  hey yahova, hum aur hamare raja, haakim aur baap-daade sharminda hain kyonki hamne tere khilaf paap kiya hai.  hamara parmeshvar yahova dayalu aur maaf karnevala parmeshvar hai,+ magar hamne usse bagavat ki.+ 10  hamne apne parmeshvar yahova ki aagya nahin maani aur uske kaanoon nahin maane jo usne apne sevak, bhavishyavaktaon ke zariye hamein diye the.+ 11  poore israel ne tera kaanoon laangha aur teri baat maanne ke bajay tujhse munh mod liya. isliye tu hum par woh saare shaap le aaya jo toone shapath khaakaar bataye the aur sachche parmeshvar ke sevak moosa ke kaanoon mein likhvaye the.+ hamne vaakai tere khilaf paap kiya hai. 12  parmeshvar ne hum par badi vipatti laakaar woh baat poori ki,+ jo usne hamare baare mein aur hum par raaj karnevale shaaskon* ke baare mein kahi thi. yarooshalem par jaisa kehar dhaaya gaya tha, vaisa aaj tak aakash ke neeche kahin par bhi nahin dhaaya gaya.+ 13  jaise moosa ke kaanoon mein likha tha, hum par ye saari vipattiyaan aa padin,+ fir bhi hamne apne parmeshvar yahova se reham ki bheekh nahin maangi, hamne gunah karna nahin chhoda+ aur teri sachchai ko nahin samjha.* 14  isliye yahova hum par nazar rakhe huye tha aur vipatti laaya, kyonki hamara parmeshvar yahova jo kuch karta hai sahi karta hai, magar hamne uski aagya nahin maani.+ 15  hey hamare parmeshvar yahova, tu apne shaktishali haath se apne logon ko misra se nikaal laaya tha+ aur toone ek bada naam kamaya jo aaj tak mashhoor hai.+ hamne paap kiya hai aur dusht kaam kiye hain. 16  hey yahova, tu jo hamesha nek kaam karta hai,+ meharbani karke apna krodh aur jaljalahat apne shehar yarooshalem se, apne pavitra pahad se door kar de. hamare purkhon ke gunahon aur hamare paapon ki vajah se yarooshalem aur tere log aas-paas ke sabhi logon ke beech badnam ho gaye hain.+ 17  hey hamare parmeshvar, apne is sevak ki prarthna aur minnatein sun. hey yahova, apne naam ki khaatir apne mukh ka prakash apne pavitra-sthan par chamka,+ jo ujaad pada hai.+ 18  hey mere parmeshvar, meri prarthna par kaan laga aur sun! apni aankhein kholkar hamari badhali dekh aur woh shehar jo tere naam se jaana jaata hai, uski haalaat par gaur kar. hum isliye minnatein nahin kar rahe hain ki hamne nek kaam kiye hain balki isliye ki tu bada dayalu hai.+ 19  hey yahova, hamari prarthna sun. hey yahova, hamein maaf kar de.+ hey yahova, hamari prarthna par dhyan de aur hamari madad kar! hey mere parmeshvar, apne naam ki khaatir der mat kar kyonki tera shehar aur tere log tere naam se jaane jaate hain.”+ 20  main prarthna kar raha tha aur apna aur apne israeli logon ka paap kabool kar raha tha aur apne parmeshvar yahova se uske pavitra pahad+ ki khaatir reham ki bheekh maang raha tha. 21  haan, main prarthna kar hi raha tha ki jibrail naam ka aadmi,+ jise mainne pehale darshan mein dekha tha,+ mere paas aaya. us vakt main bahot past ho chuka tha aur shaam ka chadhava arpit karne ka samay ho raha tha. 22  usne mujhe samjhate huye kaha, “daaniyel, ab main tujhe sab baaton ko aur bhi achhi tarah jaanne aur samajhne ki kaabilyat dene aaya hoon. 23  jab tu minnatein karne laga to mujhe ek sandesh mila aur main tujhe woh sandesh batane aaya hoon, kyonki tu parmeshvar ke liye bahot anmol hai.*+ isliye is sandesh par gaur kar aur darshan ko samajh. 24  tere logon aur teri pavitra nagri+ ke liye 70 hafte* thehraye gaye hain taaki apradh mita diya jaaye, paap ka ant kiya jaaye,+ gunah ke liye prayashchit kiya jaaye,+ sada ke liye neki kaayam ki jaaye,+ darshan aur bhavishyavani par muhar lagayi jaaye+ aur param-pavitra ka abhishek kiya jaaye. 25  tu yah baat jaan aur samajh le ki jab yarooshalem ko bahaal karne aur dobara banane ki aagya di jaayegi,+ tab se lekar maseeha*+ yaani aguve+ ke aane tak 7 hafte beeteinge, fir 62 hafte beeteinge.+ woh nagri bahaal ki jaayegi. use bahaal kiya jaayega aur ek chauk aur nahar samet dobara banaya jaayega, magar museebat ke samay. 26  fir 62 hafton ke beetne par maseeha kaat daala jaayega*+ aur uske paas kuch nahin bachega.+ aur aanevale pradhan ki sena nagri aur pavitra jagah ko naash kar degi.+ uska ant baadh se hoga. aur ant tak yuddh chalta rahega. aur uske liye naash tay kiya gaya hai.+ 27  aur woh bahoton ke liye karar ko ek hafte tak barkarar rakhega. aur jab woh hafta aadha beet jaayega to woh balidan aur chadhave band kara dega.+ aur ghinauni cheezon ke pankh par ujadnevala savaar hokar aayega.+ aur jo tay kiya gaya hai, woh ujaad padi hui jagah par bhi tab tak undela jaayega jab tak ki woh khaak mein nahin mil jaati.”

kai footnote

yaani pavitra kitabein.
shaa., “hamara nyay karnevale nyayiyon.”
ya “ke baare mein androoni samajh haasil nahin ki.”
ya “bahot pyara hai; tera bahot maan hai.”
yaani saalonvale hafte.
ya “abhishikt jan.”
ya “maar daala jaayega.”