ejra 1:1-11
1 faaras ke raja kusroo ke raaj ke pehale saal mein+ yahova ne uske man ko udhaara ki woh apne poore raaj mein ek ailan karvaye taaki yahova ne yirmayah se jo baatein kehalvayi thi+ woh poori hon. raja kusroo ne yah ailan dastavez mein bhi likhvaya:+
2 “faaras ke raja kusroo ne kaha hai, ‘swarg ke parmeshvar yahova ne dharti ke saare raajya meri mutthi mein kar diye hain+ aur mujhe yah hukm diya hai ki main yahooda ke yarooshalem mein uska bhavan banvaun.+
3 isliye tummein se jo koi uske logon mein se hai, uske saath uska parmeshvar rahe aur woh yahooda ke yarooshalem jaakaar israel ke parmeshvar yahova ka bhavan dobara khada kare. vahi sachcha parmeshvar hai jiska bhavan yarooshalem mein tha.*
4 is poore raaj mein jahaan-jahaan ye log pardesi bankar reh rahe hain,+ unke padosi unki madad karein. unhein sona-chaandi, tarah-tarah ka saaman aur maveshi dein. woh unhein apni khushi se aisi cheezen bhi dein, jo yarooshalem mein sachche parmeshvar ke bhavan mein arpit ki jaa sakein.’”+
5 tab yahooda aur binyameen ke kulon ke mukhiya, levi aur yaajak, jis-jis ke man ko sachche parmeshvar ne udhaara, woh sab yarooshalem jaane aur yahova ka bhavan dobara banane ki taiyari karne lage.
6 aas-paas ke logon ne unhein sone-chaandi ke bartan, maveshi, tarah-tarah ka saaman aur beshkeemti cheezen dekar unki madad ki. woh apni khushi se aisi cheezen bhi laaye, jo parmeshvar ke bhavan mein arpit ki jaa sakein.
7 raja kusroo ne yahova ke bhavan ke un bartanon ko bhi nikaala jinhein nabookadnessar utha laaya tha. nabookadnessar ne ye bartan yarooshalem se laakaar apne devta ke mandir mein rakh liye the.+
8 faaras ke raja kusroo ne khazanchi mithradat se kehkar in bartanon ko nikaalvaya aur inki ek soochi banvakar yahooda ke pradhan sheshbassar* ko di.+
9 un bartanon ki soochi yah hai: sone ki 30 tokriyaan, chaandi ki 1,000 tokriyaan, 29 doosre paatra,
10 sone ki 30 katoriyaan, chaandi ki 410 katoriyaan aur 1,000 doosre bartan.
11 sone-chaandi ke in bartanon ki kul ginti 5,400 thi. ye bartan sheshbassar us samay apne saath le gaya, jab baibilon ki bandhuai se chhoote log+ vaapas yarooshalem jaa rahe the.
kai footnote
^ ya shaayad, “jo yarooshalem mein hai.”