ejra 2:1-70
2 ye log unmein se hain jinhein raja nabookadnessar bandi banakar baibilon le gaya tha+ aur jo chhootkar vaapas yarooshalem aur yahooda mein apne-apne shehar laute.+ poore praant se ye log+
2 jarubabel,+ yeshoo,+ nahemayah, sarayah, relayah, mordakai, bilshan, mispar, bigvai, rahoom aur baanah ke saath vaapas aaye.
lautnevale israeliyon ki ginti yah thi:+
3 parosh ke bete* 2,172;
4 shaptyah ke bete 372;
5 aarah ke bete+ 775;
6 pehat-moab ke gharane+ se yeshoo aur yoab ke bete 2,812;
7 elam ke bete+ 1,254;
8 jattoo ke bete+ 945;
9 jakkai ke bete 760;
10 baani* ke bete 642;
11 bebai ke bete 623;
12 ajgad ke bete 1,222;
13 adoneekam ke bete 666;
14 bigvai ke bete 2,056;
15 aadeen ke bete 454;
16 hijkiyah ke gharane se aater ke bete 98;
17 bejai ke bete 323;
18 yora* ke bete 112;
19 haashoom ke bete+ 223;
20 gibbar* ke bete 95;
21 betlehem ke bete 123;
22 natopa ke aadmi 56;
23 anatot+ ke aadmi 128;
24 azmavet ke bete 42;
25 kiryat-yaareem, kapeera aur baerot ke bete 743;
26 raamah aur geba ke bete+ 621;
27 mikmas ke aadmi 122;
28 betel aur ai+ ke aadmi 223;
29 nabo ke bete+ 52;
30 magbeesh ke bete 156;
31 elam naam ke ek doosre aadmi ke bete 1,254;
32 haareem ke bete 320;
33 lod, haadeed aur ono ke bete 725;
34 yareeho ke bete 345
35 aur sana ke bete 3,630.
36 lautnevale yaajkon ki ginti yah thi:+ yeshoo ke gharane+ se yadayah+ ke bete 973;
37 immer ke bete+ 1,052;
38 pashhoor ke bete+ 1,247
39 aur haareem ke bete+ 1,017.
40 lautnevale leviyon ki ginti yah thi:+ hodvyah ke beton mein se yeshoo aur kadmiel ke bete+ 74.
41 gaaykon mein,+ aasap ke bete+ 128.
42 pehredaron mein,+ shalloom ke bete, aater ke bete, talmon+ ke bete, akkoob+ ke bete, hateeta ke bete aur shobai ke bete, kul milakar 139.
43 mandir ke sevkon* mein se ye aadmi laute:+ zeeha ke bete, hasoopa ke bete, tabbaot ke bete,
44 keros ke bete, seeha ke bete, paadon ke bete,
45 labana ke bete, hagaba ke bete, akkoob ke bete,
46 haagab ke bete, shalmai ke bete, haanan ke bete,
47 giddel ke bete, gehar ke bete, raayah ke bete,
48 raseen ke bete, nakoda ke bete, gajjam ke bete,
49 ujja ke bete, paaseh ke bete, besai ke bete,
50 asna ke bete, maooniyon ke bete, napeeseem ke bete,
51 bakbook ke bete, hakoopa ke bete, harhoor ke bete,
52 basloot ke bete, maheeda ke bete, harsha ke bete,
53 barkos ke bete, seesra ke bete, temah ke bete,
54 naseeh ke bete aur hateepa ke bete.
55 sulaiman ke sevkon ke ye bete laute: sotai ke bete, soperet ke bete, parooda ke bete,+
56 yaala ke bete, darkon ke bete, giddel ke bete,
57 shaptyah ke bete, hatteel ke bete, pokret-hasabayeem ke bete aur aami ke bete.
58 mandir ke sevkon* ki aur sulaiman ke sevkon ke beton ki kul ginti 392 thi.
59 kuch aadmi jo tel-melah, tel-harsha, karoob, addon aur immer se laute the, woh yah saabit nahin kar paaye ki woh israeli hain aur unke pita ka kul israel se nikala hai. woh the,+
60 dalayah ke bete, tobyah ke bete aur nakoda ke bete 652.
61 aur yaajkon mein se habayah ke bete, hakkos ke bete+ aur barjillai ke bete. yah vahi barjillai hai jisne giladi barjillai+ ki ek beti se shaadi ki thi aur unka naam apna liya tha.
62 in logon ne apni vanshavli saabit karne ke liye dastavezon mein apne gharane ka naam dhoondha, magar unhein nahin mila. isliye yaajakpad ke liye woh ayogya thahre.*+
63 raajyapal* ne unse kaha ki jab tak koi yaajak nahin thehraya jaata jo ooreem aur tummeem ki madad se is maamle ka pata laga sake,+ tab tak tum sabse pavitra cheezon mein se nahin khaa sakte.+
64 bandhuai se lautnevali poori mandli ki kul ginti 42,360 thi.+
65 iske alava, unke saath lautnevale daas-daasiyon ki ginti 7,337 thi. aur 200 gaayak-gaayikayen unke saath the.
66 yahi nahin, unke paas 736 ghode, 245 khachchar,
67 435 unt aur 6,720 gadhe the.
68 ye saare log yarooshalem mein yahova ke bhavan ki jagah pahunche. inmein se kuch logon ne, jo apne pita ke kul ke mukhiya the, sachche parmeshvar ke bhavan ke liye apni taraf se bheint di+ taaki bhavan usi jagah khada kiya jaa sake.+
69 woh jo kuch de sakte the unhonne khazane mein jama karva diya. unhonne 61,000 drakhma* sona, 5,000 meena* chaandi+ aur yaajkon ke liye 100 poshakein di.
70 yaajak, levi, gaayak, pehredar, mandir ke sevak* aur baaki log apne-apne shehron mein bas gaye. is tarah sabhi israeli apne-apne shehron mein rehne lage.+
kai footnote
^ is adhyay mein “bete” ka matlab “vanshaj” bhi ho sakta hai. aur kuch jagahon par “bete” ka matlab “nivasi” bhi ho sakta hai.
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ya “woh ashuddh thahre aur unhein nikaal diya.”
^ ya “tirshata.” yah kisi praant ke raajyapal ko diya ek faarsi khitab hai.
^ maana jaata hai ki drakhma, sone ke faarsi sikke darknon ke barbar tha jiska vazan 8.4 g. tha. magar yah yoonani shastra mein bataya drakhma nahin hai. ati. kha14 dekhein.
^ ibrani shastra mein bataye ek meena ka vazan 570 g. tha. ati. kha14 dekhein.
^ ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”