ejra 3:1-13
3 jab saatvaan maheena+ aaya tab jo israeli apne-apne shehron mein the, woh ek man hokar yarooshalem mein ikattha huye.
2 yahosadak ke bete yeshoo,+ uske saathi yaajak, shaaltiel ke bete jarubabel+ aur uske bhaaiyon ne israel ke parmeshvar ki vedi khadi ki taaki us par hom-baliyaan chadhayen, jaisa sachche parmeshvar ke sevak moosa ke kaanoon mein likha tha.+
3 haalanki unhein aas-paas ke deshon ke logon ka dar tha,+ fir bhi unhonne vedi khadi ki aur woh bhi us jagah, jahaan woh pehale hua karti thi. tab se woh subah-shaam us vedi par yahova ko hom-baliyaan chadhane lage.+
4 fir unhonne chhapparon ka tyohar manaya theek jaisa kaanoon mein likha tha.+ is dauran unhonne har din utni hom-baliyaan chadhayin jitni maang ki gayi thi.+
5 iske baad woh niyamit taur par hom-baliyaan chadhane lage.+ yahi nahin, woh naye chaand ke din par aur saal ke alag-alag vakt mein yahova ke thehraye tyoharon par bhi baliyaan chadhane lage.+ aur jo koi yahova ke liye swechha-baliyaan laaya unhein bhi arpit kiya jaane laga.+
6 saatvein maheene ke pehale din+ se unhonne yahova ke liye hom-baliyaan chadhani shuroo kin, lekin abhi tak yahova ke mandir ki ninv nahin daali gayi thi.
7 unhonne patthar kaatnevalon+ aur kaareegaron+ ko paise dekar kaam par rakha. faaras ke raja kusroo ki ijazat se+ unhonne seedoniyon aur sor ke logon se devdar ki lakdiyaan mangvayin, jinhein woh samundar ke raaste labanon se yaafa tak laaye.+ badle mein israeliyon ne unhein khaane-peene ki cheezen aur tel diya.
8 yarooshalem mein jahaan sachche parmeshvar ka bhavan hua karta tha, vahaan aane ke doosre saal ke doosre maheene mein, shaaltiel ke bete jarubabel, yahosadak ke bete yeshoo aur unke baaki bhaaiyon yaani yaajkon, leviyon aur bandhuai se chhootkar aaye logon ne+ bhavan banane ka kaam shuroo kiya. aur jin leviyon ki umra 20 ya usse zyada thi, unhein yahova ke bhavan ke kaam ki dekhrekh ke liye thehraya.
9 tab yeshoo, uske bete aur bhaai aur kadmiel aur uske bete aaye, jo yahooda* ke bete the. woh sab milkar sachche parmeshvar ke bhavan ke kaam ki dekhrekh karne lage. henadad ke vanshajon+ ne bhi apne beton aur bhaaiyon ke saath is kaam mein haath bataya. ye bhi levi the.
10 jab yahova ka mandir bananevalon ne uski ninv daali,+ tab yahova ki badai karne ke liye yaajak mandir ki poshak pehankar aur turhiyaan lekar aaye+ aur leviyon mein se aasap ke bete jhaanjh lekar aaye. yah us intazam ke mutabik tha, jo israel ke raja daavid ne thehraya tha.+
11 woh baari-baari gaane lage.+ woh yah kehkar yahova ka dhanyavad dene aur uska gungan karne lage, “kyonki woh bhala hai, israel ke liye uska atal pyar sada bana rehta hai.”+ yahova ke bhavan ki ninv daale jaane ki khushi mein sab logon ne zordar aavaz mein yahova ki badai ki.
12 yaajkon, leviyon aur israel ke kulon ke mukhiyaon mein se kai buzurg jinhonne pehalevala mandir dekha tha,+ is mandir ki ninv dekhkar rone lage. jabki baaki log khushi ke maare jayjaykar karne lage.+
13 unka shor itna zabardast tha ki woh door-door tak sunayi de raha tha. logon ke liye yah fark karna mushkil tha ki woh khushi ke maare chilla rahe hain ya dukh ke maare ro rahe hain.