ejra 5:1-17

  • yahoodi fir se nirman shuroo karte hain (1-5)

  • raja daara ke liye tattanai ka khat (6-17)

5  fir bhavishyavakta haggai+ aur bhavishyavakta jakaryah+ jo iddo+ ka pota tha, yahooda aur yarooshalem mein yahoodiyon ko parmeshvar ka sandesh sunane lage. woh israel ke us parmeshvar ke naam se bhavishyavani karne lage jo apne logon ke saath tha.  tab shaaltiel ke bete jarubabel+ aur yahosadak ke bete yeshoo+ ne yarooshalem mein parmeshvar ke bhavan ko ek baar fir banana shuroo kiya.+ is kaam mein parmeshvar ke bhavishyavakta unke saath the aur unki himmat badhate rahe.+  tab mahanadi* ke is paar ke ilake ka raajyapal tattanai aur shatar-bojanai apne saathiyon ke saath unke paas aaye aur poochhne lage, “kiske kehne par tumne yah kaam shuroo kiya aur yah bhavan bana rahe ho?”  unhonne yah bhi poochha, “un sabke naam batao jo yah imarat khadi kar rahe hain!”  magar parmeshvar ki aankhein yahoodiyon ke mukhiyaon par lagi thi+ aur dushmanon ne unka kaam nahin roka. par unhonne raja daara ko iski khabar bheji aur shaahi farman ke aane tak intazar kiya.  mahanadi ke is paar ke ilake ke raajyapal tattanai ne aur shatar-bojanai aur uske saathiyon yaani mahanadi ke is paar ke up-raajyapalon ne raja daara ko jo khat bheja  usmein yah likha tha: “raja daara salamat rahe!  hum raja ko khabar dena chahte hain ki jab hum yahooda ke praant gaye, to hamne dekha ki vahaan mahan parmeshvar ka bhavan banaya jaa raha hai. usmein bade-bade patthar lagaye jaa rahe hain aur lakdiyaan lagakar uski deevarein khadi ki jaa rahi hain. log zor-shor se use banane mein lage huye hain jis vajah se yah kaam tezee se aage badh raha hai.  hamne unke mukhiyaon se poochha, ‘kiske kehne par tumne yah kaam shuroo kiya aur yah bhavan bana rahe ho?’+ 10  hamne un logon ke naam bhi poochhe jo is kaam mein aguvai kar rahe hain taaki tujhe bata sakein. 11  javab mein un logon ne kaha, ‘hum swarg aur prithvi ke parmeshvar ke sevak hain. hum usi bhavan ko dobara bana rahe hain, jise kai saal pehale israel ke ek mahan raja ne khada kiya tha.+ 12  lekin jab hamare purkhon ne swarg ke parmeshvar ka krodh bhadkaya,+ to usne unhein baibilon ke raja nabookadnessar ke havale kar diya.+ us kasdi raja ne aakaar is bhavan ko tahas-nahas kar diya+ aur logon ko bandi banakar baibilon le gaya.+ 13  lekin jab raja kusroo baibilon ka raja bana, to usne apne raaj ke pehale saal mein parmeshvar ka bhavan dobara banane ka hukm diya.+ 14  yahi nahin, usne sone-chaandi ke woh bartan nikaalvaye jinhein nabookadnessar yarooshalem ke mandir se uthakar baibilon ke mandir mein le aaya tha.+ kusroo ne ye bartan sheshbassar* naam ke aadmi ke havale kiye+ jise usne raajyapal thehraya tha.+ 15  usne sheshbassar se kaha, “ye bartan yarooshalem ke mandir mein rakhne ke liye vaapas le jaa. aur parmeshvar ke bhavan ko usi jagah bana jahaan woh pehale tha.”+ 16  fir sheshbassar yarooshalem aaya aur usne parmeshvar ke bhavan ki ninv daali.+ tab se is bhavan ko banane ka kaam chal raha hai, magar ab tak poora nahin hua.’+ 17  ab agar raja ko yah theek lage to woh baibilon ke shaahi khazane mein dhoondh-dhaandh karvaye. agar raja kusroo ne sachmuch yarooshalem mein parmeshvar ka bhavan khada karne ka hukm diya tha,+ to woh farman zaroor vahaan hoga. uske baad raja ka jo bhi faisla ho woh hamein bataya jaaye.”

kai footnote

ya “farat nadi.”
shaayad yah jarubabel hai, jiska zikra ej 2:2; 3:8 mein hua hai.