ejra 6:1-22

  • daara ki dhoondh-dhaandh aur farman (1-12)

  • mandir bana aur uska udghatan (13-18)

  • fasah manaya gaya (19-22)

6  tab raja daara ne hukm diya ki baibilon ke bhandar* mein jahaan keemti cheezen rakhi jaati hain, dhoondh-dhaandh ki jaaye.  khoj karne par maadai praant mein ekbatna ke kile mein ek kharra baramad hua, jiske aadhar par yah farman nikaala gaya:  “raja kusroo ne apne raaj ke pehale saal mein yarooshalem mein parmeshvar ke bhavan ke baare mein yah hukm diya tha:+ ‘bhavan ki ninv daali jaaye aur use dobara banaya jaaye taaki vahaan balidan chadhaye jaa sakein. bhavan 60 haath* uncha aur 60 haath chauda ho.+  deevarein khadi karte vakt bade-bade pattharon ke teen radde aur moti lakdi ka ek radda daala jaaye.+ inka kharch shaahi khazane se diya jaaye.+  aur yarooshalem mein parmeshvar ke bhavan se sone-chaandi ke jitne bartan nabookadnessar baibilon le aaya tha,+ unhein vaapas apni jagah yaani parmeshvar ke mandir mein rakha jaaye.’+  isliye mahanadi* ke us paar rehnevale raajyapal tattanai aur shatar-bojanai aur unke saathiyo yaani mahanadi ke us paar ke up-raajyapalo,+ suno! us jagah se door raho.  parmeshvar ke bhavan ke kaam mein dakhal mat do. yahoodiyon ka raajyapal aur unke mukhiya bhavan ko dobara vahin khada kareinge jahaan woh pehale tha.  mera yah bhi hukm hai ki parmeshvar ka bhavan bananevale in mukhiyaon ki madad ki jaaye. mahanadi ke us paar ke ilakon se jitna bhi kar hamare shaahi khazane+ mein jama hota hai, usmein se fauran imarat ka kharch unhein diya jaaye taaki unka kaam bina ruke chalta rahe.+  aur yarooshalem mein unke yaajak swarg ke parmeshvar ko hom-bali chadhane ke liye bail,+ medha,+ memna+ jo bhi maangein, woh unhein diya jaaye. iske alava gehoon,+ namak,+ daakh-madira,+ tel+ jo kuch unhein chahiye, woh har din bina naaga unhein diya jaaye 10  taaki woh swarg ke parmeshvar ko aise chadhave arpit karte rahein jinse woh khush ho. aur woh raja aur uske beton ki lambee umra ki dua maangte rahein.+ 11  main yah bhi hukm deta hoon, jo is farman ko nahin maanega uske ghar se ek balli ukhaadi jaayegi aur use us par latka diya jaayega. * aur is apradh ke liye uske ghar ko har aane-jaanevale ke liye shauchalay* bana diya jaayega. 12  chahe raja ho ya praja, jo bhi mera hukm todkar yarooshalem mein parmeshvar ke bhavan ka naash karega, parmeshvar uska sarvanash kar dega, vahi parmeshvar jisne is bhavan ko apne naam ki mahima ke liye chuna hai.+ main, raja daara yah hukm jaari karta hoon. is par fauran amal kiya jaaye.” 13  tab mahanadi ke us paar ke raajyapal tattanai ne aur shatar-bojanai+ aur unke saathiyon ne fauran raja daara ke hukm par amal kiya aur uski ek-ek baat maani. 14  haggai ki bhavishyavaniyon aur iddo ke pote jakaryah ki bhavishyavaniyon se himmat paakaar+ yahoodiyon ke mukhiyaon ne bhavan banana jaari rakha aur use badi tezee se karte rahe.+ unhonne mandir ka kaam poora kar liya, jiska hukm israel ke parmeshvar ne unhein diya tha+ aur jiska aadesh faaras ke raja kusroo,+ daara+ aur artashatra* ne diya tha.+ 15  is tarah mandir ka kaam adaar* maheene ke teesre din poora hua. yah raja daara ke raaj ka chhatha saal tha. 16  tab yaajak, levi+ aur baaki jitne bhi log bandhuai se aaye the yaani sab israeliyon ne khushi-khushi parmeshvar ke bhavan ka udghatan* kiya. 17  is mauke par unhonne 100 bail, 200 medhe aur 400 memne chadhaye. aur poore israel ke liye 12 bakre paap-bali ke taur par arpit kiye, har gotra ke liye ek bakra.+ 18  iske alava, unhonne yaajkon ke dal banaye aur leviyon ko samoohon mein baanta aur unhein yarooshalem mein parmeshvar ki seva ke liye thehraya.+ moosa ki kitab mein jaisa likha tha vaisa hi kiya gaya.+ 19  bandhuai se chhootkar aaye logon ne pehale maheene ke 14vein din fasah ka tyohar manaya.+ 20  sabhi yaajkon aur leviyon ne fasah manane ke liye khud ko shuddh kiya,+ unmein se ek bhi ashuddh haalaat mein nahin tha. unhonne bandhuai se laute sab logon ke liye, apne saathi yaajkon aur apne liye fasah ka memna kaata. 21  tab bandhuai se aaye israeliyon ne fasah ka memna khaaya. unke saath un logon ne bhi khaaya jinhonne aas-paas ke deshon ke ashuddh kaam chhodkar khud ko shuddh kiya tha aur israel ke parmeshvar yahova ki upasna karne* ke liye unke saath ho liye the.+ 22  un sabne khushi-khushi saat din tak bin-khameer ki roti ka tyohar bhi manaya+ kyonki unhein ye khushiyaan yahova ki vajah se mili thi. israel ke parmeshvar ne hi ashshoor ke raja* ke man ko udhaara tha ki woh israeliyon par meharban ho+ aur sachche parmeshvar ka bhavan banane mein unki madad kare.

kai footnote

shaa., “dastavezon ke bhavan.”
kareeb 26.7 m. (87.6 fut). ati. kha14 dekhein.
ya “farat nadi.”
ya shaayad, “koode ki jagah; goo-gobar ka dher.”
ya “aur use ghonpkar latka diya jaayega.”
yaani artashatra pratham. yah ej 4:7 mein bataya artashatra gaumata nahin hai.
ati. kha15 dekhein.
ya “samarpan.”
shaa., “ki khoj karne.”
faaras ke raja daara pratham ke liye istemal hui upadhi. us vakt woh us ilake par raaj kar raha tha jo pehale ashshoori saamrajya ka ilaka tha.