ejra 7:1-28

  • ejra yarooshalem aaya (1-10)

  • ejra ke liye artashatra ka khat (11-26)

  • ejra ne yahova ki badai ki (27, 28)

7  iske baad, faaras ke raja artashatra+ ke raaj mein ejra*+ naam ka ek aadmi tha. woh sarayah+ ka beta tha, sarayah ajaryah ka, ajaryah hilkiyah+ ka,  hilkiyah shalloom ka, shalloom saadok ka, saadok aheetoob ka,  aheetoob amaryah ka, amaryah ajaryah+ ka, ajaryah marayot ka,  marayot jarahyah ka, jarahyah ujji ka, ujji bukki ka,  bukki abeeshoo ka, abeeshoo finehas+ ka, finehas eliazar+ ka aur eliazar, pradhan yaajak haaroon ka beta tha.+  yahi ejra baibilon se aaya tha. woh ek nakaal-navees* tha aur israel ke parmeshvar yahova ne moosa ko jo kaanoon diya tha, uska achha gyaan rakhta tha.*+ uska parmeshvar yahova uske saath tha isliye raja ke saamne usne jo bhi binti ki, raja ne use poora kiya.  raja artashatra ke raaj ke saatvein saal mein israeliyon, yaajkon, leviyon,+ gaaykon,+ pehredaron+ aur mandir ke sevkon*+ mein se kuch log ejra ke saath yarooshalem ke liye nikle.  ejra, raja artashatra ke raaj ke saatvein saal ke paanchvein maheene mein yarooshalem aaya.  woh pehale maheene ke pehale din baibilon se chala tha aur paanchvein maheene ke pehale din yarooshalem pahuncha. is poore safar mein uska parmeshvar uske saath tha.+ 10  ejra ne apne dil ko taiyar kiya* taaki woh yahova ke kaanoon ka adhyan kare, uske mutabik chale+ aur usmein diye niyam aur nyay ki baatein israel ko sikhaye.+ 11  ejra jo ek yaajak aur nakaal-navees* tha aur yahova ke niyamon aur aagyaon ki achhi samajh rakhta tha,* use raja artashatra se ek khat mila, jismein likha tha: 12  * “raajaon ke raja artashatra+ ka swarg ke parmeshvar ke kaanoon ke nakaal-navees,* yaajak ejra ke liye yah paigam hai: tujhe poori shaanti mile! 13  main yah farman jaari karta hoon ki mere ilake mein rehnevale jo bhi israeli, yaajak aur levi yarooshalem jaana chahte hain, woh tere saath jaa sakte hain.+ 14  raja aur uske saat salahkaron ki taraf se tujhe yahooda aur yarooshalem bheja jaa raha hai. tu jaakaar is baat ki chhaanbeen kar ki tere paas parmeshvar ka jo kaanoon hai, use log maan rahe hain ya nahin. 15  aur jo sona-chaandi raja aur uske salahkaron ne israel ke parmeshvar ke liye khushi-khushi diya hai, use tu yarooshalem le jaa jahaan parmeshvar ka nivas hai. 16  aur jo sona-chaandi tujhe poore baibilon praant se milega, saath hi woh saari bheint jo israeli aur yaajak yarooshalem ke mandir ke liye apni marzee se deinge use bhi saath le jaa.+ 17  aur vahaan jaakaar tu fauran isse bail,+ medhe,+ memne+ aur unke saath chadhaya jaanevala anaj ka chadhava+ aur argh+ khareedna. yah sab apne parmeshvar ke bhavan ki vedi par chadhana. 18  bache huye sone-chaandi ka vahi karna jo tujhe aur tere bhaaiyon ko theek lage aur jo tere parmeshvar ki marzee ke mutabik ho. 19  apne parmeshvar ke bhavan ke liye jo bartan tujhe diye jaa rahe hain, yarooshalem pahunchkar tu unhein parmeshvar ke saamne rakh dena.+ 20  iske alava, agar tujhe parmeshvar ke bhavan ke liye kisi aur cheez ki zaroorat ho, to uska kharch shaahi khazane se le lena.+ 21  main raja artashatra, mahanadi* ke us paar ke sabhi khazanchiyon ko yah hukm deta hoon ki swarg ke parmeshvar ke kaanoon ka nakaal-navees,* yaajak ejra+ jo kuch maange, woh sab use fauran diya jaaye. 22  use ye sab diya jaaye: 100 tode* chaandi, 100 kor* gehoon, 100 bat* daakh-madira,+ 100 bat tel+ aur jitna namak+ chahiye utna. 23  swarg ke parmeshvar ne apne bhavan ke liye jo bhi hukm diya hai, use josh ke saath poora kiya jaaye.+ kahin aisa na ho ki swarg ke parmeshvar ka krodh mere beton aur mere raajya ke logon par bhadak uthe.+ 24  mera yah bhi hukm hai ki kisi bhi yaajak, levi, saaz bajanevale,+ pehredar, mandir ke sevak*+ aur parmeshvar ke bhavan ke doosre sevkon se na to kar liya jaaye, na maal par mahsool+ aur na hi sadak ka mahsool. 25  hey ejra! tu parmeshvar se mili buddhi ki madad se mahanadi ke us paar, adhikari aur nyayi thehrana ki woh un sab logon ka nyay karein, jo tere parmeshvar ke niyam-kaanoon jaante hain. magar jo ye niyam-kaanoon nahin jaante unhein tu sikhana.+ 26  agar koi tere parmeshvar ka kaanoon aur raja ka kaanoon nahin maane, to use fauran saza dena. fir chahe tu us par jurmana lagaye, use jail mein daale, desh-nikaala de ya maut ki saza.” 27  hamare purkhon ke parmeshvar yahova ki badai ho! usi ne raja ke dil mein yah baat daali ki woh yarooshalem mein yahova ke bhavan ki shobha badhaye.+ 28  parmeshvar ne apne atal pyar ka saboot diya hai kyonki usi ki vajah se raja, uske salahkaron+ aur uske bade-bade haakimon ki kripa mujh par hui hai.+ mera parmeshvar yahova mere saath hai, isliye mainne himmat rakhi aur israeli aguvon ko ikattha kiya ki woh mere saath chalein.

kai footnote

matlab “madad.”
ya “shaastri.”
ya “uski nakaal taiyar karne mein maahir tha.”
ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
ya “apne man mein thaana.”
ya “shaastri.”
ya “ki nakaal taiyar karta tha.”
mool paath mein ej 7:12 se lekar 7:26 tak ka hissa araami bhasha mein likha gaya tha.
ya “shaastri.”
ya “farat nadi.”
ya “shaastri.”
ek bat 22 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ek kor 220 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”