ejra 8:1-36
8 raja artashatra ke raaj mein mere saath baibilon se lautnevale mukhiyaon aur unke gharanon ke naam ki soochi yah hai:+
2 finehas ke beton*+ mein se gershom; itamar+ ke beton mein se daaniyel; daavid ke beton mein se hattoosh;
3 shakanyah aur parosh ke beton mein se jakaryah aur uske saath 150 aadmi jinke naam soochi mein hain;
4 pehat-moab ke beton+ mein se jarahyah ka beta elyaho-enai aur uske saath 200 aadmi;
5 jattoo ke beton+ mein se yahjiel ka beta shakanyah aur uske saath 300 aadmi;
6 aadeen ke beton+ mein se yonatan ka beta ebed aur uske saath 50 aadmi;
7 elam ke beton+ mein se atalyah ka beta yashaya aur uske saath 70 aadmi;
8 shaptyah ke beton+ mein se meekael ka beta jabadyah aur uske saath 80 aadmi;
9 yoab ke beton mein se yahiel ka beta obadyah aur uske saath 218 aadmi;
10 baani ke beton mein se yosipyah ka beta shalomeet aur uske saath 160 aadmi;
11 bebai ke beton+ mein se jakaryah, jo bebai ka beta tha aur uske saath 28 aadmi;
12 ajgad ke beton+ mein se hakkatan ka beta yohanan aur uske saath 110 aadmi;
13 adoneekam ke bache huye bete+ yaani eleepelet, yiel aur shamayah aur unke saath 60 aadmi;
14 aur bigvai ke beton+ mein se ootai aur jabbood aur unke saath 70 aadmi.
15 mainne in aadmiyon ko us nadi ke paas ikattha kiya jo ahva ki or behti thi.+ hamne vahaan teen din tak dera daala. jab mainne logon aur yaajkon ki jaanch-parakh ki to mujhe ek bhi levi na mila.
16 tab mainne eliezer, ariel, shamayah, elnatan, yaareeb, elnatan, naatan, jakaryah aur mashullam ko bulvaya jo aguve the. mainne yoyareeb aur elnatan ko bhi bulvaya jo shikshak the.
17 mainne unhein iddo ke paas jaane ka aadesh diya jo kaasipya ka aguva tha. aur iddo aur uske bhaaiyon ko, jo mandir ke sevak* the aur kaasipya mein rehte hain yah sandesh dene ko kaha ki hamare parmeshvar ke bhavan ke liye sevkon ko laao.
18 hamara parmeshvar hamare saath tha isliye sherebyah,+ uske beton aur bhaaiyon ko laaya gaya, poore 18 aadmi. sherebyah soojh-boojh se kaam karnevala aadmi tha. woh israel ke bete levi aur levi ke pote mahli ke vansh+ se tha.
19 iske alava, hashbyah ko aur marariyon+ mein se yashaya, uske bhaaiyon aur unke beton ko bhi laaya gaya, poore 20 aadmi.
20 aur mandir ke sevkon* mein se 220 aadmi laaye gaye, jinhein bhavan mein seva karne ke liye chuna gaya tha. mandir ke sevkon* ko daavid aur haakimon ne leviyon ki madad ke liye rakha tha.
21 fir mainne ahva nadi ke paas upvas ki ghoshna ki taaki hum apne parmeshvar ke saamne khud ko namra karein aur usse binti karein ki woh safar mein hamare saath rahe aur hum apne bachchon aur saaman ke saath sahi-salamat apne desh pahunchein.
22 raaste mein dushmanon se bachne ke liye raja se sainik aur ghudsavaar maangne mein mujhe sankoch ho raha tha kyonki mainne raja se kaha tha, “hamare parmeshvar ka haath un sab par rehta hai jo uski khoj mein rehte hain.+ magar jo use chhod dete hain uska krodh un par bhadak uthta hai aur woh unke khilaf apni shakti dikhata hai.”+
23 isliye hamne upvas kiya aur hifazat ke liye parmeshvar se binti ki aur usne hamari sun li.+
24 fir mainne yaajkon ke pradhanon mein se 12 ko chunkar alag kiya. sherebyah, hashbyah+ aur unke 10 bhaaiyon ko.
25 mainne unke saamne woh sona-chaandi aur bartan taule jo raja, uske salahkaron, uske haakimon aur sabhi israeliyon ne parmeshvar ke bhavan ke liye daan kiye the.+
26 mainne yah sab taulkar unhein saunpa: 650 tode* chaandi, chaandi ke 100 bartan jinki keemat 2 todon ke barbar thi, 100 tode sona,
27 sone ki 20 katoriyaan jinki keemat 1,000 darknon* ke barbar thi aur damakte laal rang ke badhiya tambe ke 2 bartan, jo sone jitne keemti the.
28 tab mainne unse kaha, “tum yahova ki nazar mein pavitra ho+ aur ye bartan bhi pavitra hain. aur yah sona-chaandi tumhare purkhon ke parmeshvar yahova ke liye bheint mein diya gaya hai.
29 isliye yarooshalem pahunchne tak inhein sambhaalkar rakhna. aur vahaan yahova ke bhavan ke bhandar-gharon mein yaajkon aur leviyon ke pradhanon aur israeli kulon ke haakimon ke saamne inhein taulkar de dena.”+
30 tab yaajkon aur leviyon ne sona-chaandi aur un bartanon ko liya jo unhein taulkar diye gaye the taaki unhein yarooshalem mein apne parmeshvar ke bhavan mein laa sakein.
31 fir pehale maheene+ ke 12vein din hamne ahva nadi se apna dera uthaya+ aur hum yarooshalem ki or chal diye. hamara parmeshvar hamare saath tha aur poore safar mein woh dushmanon aur ghaat laganevalon se hamari hifazat karta raha.
32 yarooshalem pahunchne par+ hum teen din vahaan rahe.
33 chauthe din hum sona-chaandi aur bartan lekar parmeshvar ke bhavan mein gaye. vahaan hamne inhein taulkar ureeyah ke bete, yaajak maremot+ ke havale kar diya.+ maremot ke saath, finehas ka beta eliazar aur leviyon mein se yeshoo ka beta yojabad+ aur binnooi+ ka beta noadyah bhi vahaan maujood tha.
34 sab cheezon ko ginkar aur taulkar unka poora vazan likh liya gaya.
35 ye log jo baibilon ki bandhuai se chhootkar vaapas apne desh aaye the, unhonne poore israel ki taraf se israel ke parmeshvar ko in jaanvaron ki hom-bali chadhayi: 12 bail,+ 96 medhe,+ 77 memne aur paap-bali ke taur par 12 bakre.+ yah sab yahova ke liye hom-bali thi.+
36 iske baad, hamne mahanadi*+ ke is paar rehnevale raja ke soobedaron aur raajyapalon ko raja ka farman diya.+ unhonne logon ki madad ki aur sachche parmeshvar ke bhavan ke kaam mein sahyog diya.+
kai footnote
^ is adhyay mein “bete” ka matlab “vanshaj” bhi ho sakta hai.
^ ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
^ darknon sone ka ek faarsi sikka tha. ati. kha14 dekhein.
^ ya “farat nadi.”