ejra 9:1-15

  • israeli doosre desh ke logon se shaadi karte hain (1-4)

  • ejra prarthna mein paap kabool karta hai (5-15)

9  jab yah saare kaam poore ho chuke, tab haakimon ne mere paas aakaar kaha, “israel ke logon, yaajkon aur leviyon ne aas-paas ke kanaaniyon, hittiyon, parijjiyon, yaboosiyon, ammoniyon, moabiyon, misriyon+ aur emoriyon+ se khud ko alag nahin rakha aur na hi woh unke ghinaune kaamon se door rahe.+  unmein se kuch ne unki betiyonn se shaadi ki aur apne beton ki shaadi bhi unhin logon mein karvayi.+ is vajah se yah pavitra vansh*+ aas-paas ke deshon ke logon ke saath ghul-mil gaya hai.+ hamare kuch haakim aur adhikari* yah paap karne mein sabse aage rahe hain.”  yah sunte hi mainne dukh ke maare apne kapde aur bin aasteen ka choga faada, apne sir aur daadhi ke baal noche aur sadme mein aakaar vahin zameen par baith gaya.  tab woh log jo israel ke parmeshvar ki baaton ka aadar karte the,* mere aas-paas ikattha huye. unhein bhi afsos tha ki bandhuai se laute logon ne kitna bada paap kiya hai. main shaam ko anaj ke chadhave ke vakt+ tak sadme ki haalaat mein baitha raha.  shaam ko jab anaj ka chadhava chadhane ka vakt aaya,+ to main unhin kapdon aur bin aasteen ke choge mein shok ki haalaat se utha. main apne parmeshvar yahova ke saamne ghutnon ke bal gira aur haath failakar  mainne usse kaha, “hey mere parmeshvar, main itna sharminda aur lajjit hoon ki tujhse baat karne ki mujhmein himmat nahin. kyonki hamare gunah bahot badh gaye hain aur hamara dosh badhte-badhte aasman tak pahunch gaya hai.+  apne purkhon ke zamane se lekar aaj tak hamne bahot bure kaam kiye hain.+ hamare gunahon ki vajah se hamein, hamare raajaon aur yaajkon ko doosre desh ke raajaon ke haath kar diya gaya. unhonne hamein apni talvar ka kaur banaya,+ hamein bandhuai mein le gaye,+ hamein poori tarah loot liya+ aur hamara sharmnak haal kar diya. aaj bhi hamara bura haal hai.+  lekin hey hamare parmeshvar yahova, kuch samay se toone hum par daya ki hai aur hamein poori tarah mitne nahin diya balki vaapas yahaan laakaar apne nivas-sthan mein ek mehfooz jagah* di hai.+ tu hamari aankhon mein chamak le aaya hai aur is gulami mein toone hamein raahat di hai.  is haalaat mein bhi+ toone hamein besahara nahin chhoda balki apne atal pyar ka saboot diya aur faaras ke raajaon ko hum par meharban hone diya.+ toone hamari madad ki taaki hum tera bhavan banayen+ aur uske khandharon ko dobara khada karein. toone yahooda aur yarooshalem mein hamare liye chaaron taraf hifazat ki* deevar khadi ki hai. 10  itna sab hone ke baad bhi, hey hamare parmeshvar, hamne teri aagyaon ko nahin maana 11  jo toone apne sevkon, apne bhavishyavaktaon ke zariye hamein di thi aur kaha tha, ‘jis desh ko tum apne adhikar mein karnevale ho woh ek ashuddh desh hai kyonki vahaan ke log ashuddh hain aur unhonne ghinaune kaam karke use dooshit kar diya hai. unhonne desh ke ek kone se lekar doosre kone tak use ashuddh kaamon se bhar diya hai.+ 12  isliye tum na to apni betiyonn ki shaadi unke beton se karvana aur na hi apne beton ki shaadi unki betiyonn se.+ tum unki shaanti aur khushhali ke liye kuch mat karna.+ tabhi tum shaktishali banoge aur desh ki badhiya upaj khaaoge aur apne beton ko virasat mein yah desh de sakoge ki woh hamesha unka bana rahe.’ 13  toone hamein apne bure kaamon aur paapon ka sila diya hai. magar hum jitni badi saza paane ke laayak the, toone hamein usse kam hi saza di+ aur hamein chhudaya.+ 14  ab kya hum fir teri aagyayen tod dein aur ghinaune kaam karnevalon ke saath rishtedari kar lein?+ kya aisa karne se tera krodh hum par nahin bhadak uthega aur tu hamein nahin mita dega? tab to hammein se koi nahin bachega. 15  hey israel ke parmeshvar yahova, tu ek nek parmeshvar hai+ kyonki toone hammein se kuch logon ko zinda rehne diya hai. dekh! hum tere saamne doshi khade hain jabki apne apradh ke kaaran hum tere saamne khade hone ke laayak bhi nahin.”+

kai footnote

shaa., “beej.”
ya “maathat adhikari.”
shaa., “baaton ke kaaran thartharate the.”
shaa., “ek khoonti.”
ya “patthar ki.”