ester 3:1-15

  • raja, haaman ko uncha uthata hai (1-4)

  • yahoodiyon ko mitane ki haaman ki saazish (5-15)

3  kuch samay baad, raja ahash-verosh ne agagi+ hammadata ke bete haaman ko uske saathi haakimon se uncha pad diya.+  mahal ke faatak par raja ke jitne bhi sevak the, woh haaman ke aage jhukte the aur girkar use pranam karte the kyonki raja ka yahi hukm tha. lekin mordakai ne haaman ke aage jhukne ya girkar use pranam karne se saaf inkar kar diya.  faatak par baithnevale raja ke sevkon ne mordakai se poochha, “tu raja ka hukm kyon nahin maanta?”  woh har din usse yahi kehte rahe lekin mordakai ne unki nahin maani. tab unhonne is baare mein haaman ko bataya. woh dekhna chahte the ki mordakai ke is vyavhar ko bardasht kiya jaayega ya nahin+ kyonki mordakai ne unhein bataya tha ki woh ek yahoodi hai.+  jab haaman ne dekha ki mordakai uske aage jhukne aur girkar use pranam karne se inkar kar raha hai, to woh gusse se bhar gaya.+  magar use sirf mordakai ko maarkar* chain nahin milta, kyonki use mordakai ke logon yaani yahoodiyon ke baare mein bhi bataya gaya tha. isliye haaman koi aisa raasta dhoondhne laga jisse woh ahash-verosh ke raajya ke sab ilakon se yahoodiyon ko mita de.  raja ahash-verosh ke raaj ke 12vein saal ke nisan * naam ke pehale maheene mein,+ haaman ke aage poor (yaani chitthi) daali gayi+ taaki yah pata kiya jaa sake ki kis maheene aur kis din unka naash kiya jaaye. chitthi adaar* naam ke 12vein maheene ki nikli.+  fir haaman ne raja ahash-verosh ke paas jaakaar kaha, “huzoor ke raajya ke sabhi zilon mein+ ek aisi jaati ke log faile huye hain,+ jinke kaayde-kaanoon baaki logon se bilkul alag hain aur jo raja ka kaanoon bhi nahin maante. agar unka kuch na kiya gaya to raja ko bhaari nuksan ho sakta hai.  raja ko agar yah manzoor ho to unhein khatm karne ke liye ek farman nikaala jaaye. iske liye main adhikariyon ko 10,000 tode* chaandi doonga ki woh inhein shaahi khazane mein jama karein.”* 10  yah baat sunkar raja ne apni muharvali angoothi utaarkar+ agagi+ hammadata ke bete aur yahoodiyon ke dushman, haaman ko de di.+ 11  raja ne usse kaha, “main un logon ko tere havale karta hoon aur unki chaandi bhi tujhe deta hoon. tujhe jaisa theek lage unke saath vaisa kar.” 12  tab pehale maheene ke 13vein din raja ke shaastriyon*+ ko bulaya gaya. unhonne raja ke soobedaron, alag-alag zilon ke raajyapalon aur sabhi logon ke haakimon ke liye haaman ke saare aadesh likhe.+ ise har zile mein rehnevale logon ki bhasha aur lipi mein likha gaya. ise raja ahash-verosh ke naam se jaari kiya gaya aur is par raja ki angoothi se muhar lagayi gayi.+ 13  yah farman raja ke dooton ke haath sabhi zilon mein bheja gaya. usmein hukm diya gaya tha ki 12vein maheene yaani adaar maheene ke 13vein din, sabhi yahoodiyon ko jaan se maar daala jaaye.+ unke jitne bhi javan, boodhe, bachche, aurtein hain, sabka naash kiya jaaye, unka vajood mita diya jaaye aur unka sabkuch loot liya jaaye.+ 14  farman mein likhi in baaton ko har zile mein kaanoon samajhkar laagoo kiya jaana tha. aur logon mein iska ailan kiya jaana tha taaki woh is din ke liye taiyar ho jaayen. 15  raja ke hukm par uske doot turant is kaanoon ko alag-alag zilon mein le gaye+ aur shooshan*+ naam ke kile* mein rehnevalon ke liye bhi yahi kaanoon jaari hua. isse shooshan* shehar mein haahakar mach gaya, magar raja aur haaman baithkar daakh-madira pi rahe the.

kai footnote

shaa., “par haath chalakar.”
ati. kha15 dekhein.
ati. kha15 dekhein.
ya shaayad, “yah kaam karnevalon ke liye main shaahi khazane mein 10,000 tode jama karvaunga.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ya “sachivon.”
ya “soosa.”
ya “mahal.”
ya “soosa.”