ester 6:1-14

  • raja, mordakai ko izzat deta hai (1-14)

6  us raat raja ko nind nahin aa rahi thi.* isliye usne hukm diya ki shaahi kitab laayi jaaye jismein beete dinon ki ghatnayen darz hain+ aur use padhkar sunayi jaaye.  usmein likha tha ki kis tarah mordakai ne raja ahash-verosh ke darbaariyon mein se do pehredaron, bigtana aur teresh ka pardafash kiya tha, jo raja ko jaan se maarne* ki saazish kar rahe the.+  yah sunkar raja ne poochha, “iske liye mordakai ko kya inam diya gaya, kya izzat bakhshi gayi?” raja ke khaas sevkon ne kaha, “mordakai ke liye kuch nahin kiya gaya.”  isi dauran haaman raja ke bhavan* ke baaharvale aangan mein aaya.+ woh yah guzarish lekar aaya tha ki raja, mordakai ko us kaath par latka de jo haaman ne mordakai ke liye taiyar kiya hai.+ raja ne poochha, “baahar kaun hai?”  raja ke sevak ne kaha, “baahar aangan mein haaman+ khada hai.” raja ne kaha, “use andar bhej do.”  jab haaman andar aaya to raja ne usse poochha, “agar raja kisi ko izzat dena chahe, to us aadmi ke liye kya kiya jaana chahiye?” haaman ne man-hi-man socha, “raja mere alava aur kise izzat dena chahega?”+  usne raja se kaha, “jis aadmi ko raja izzat dena chahta hai  uske liye raja ki shaahi poshak laayi jaaye+ aur woh ghoda bhi mangvaya jaaye, jiska sir shaahi thaat-baat se saja ho aur jis par khud raja savaari karta hai.  fir woh poshak aur ghoda raja ke sabse bade haakim ko saunpa jaaye. aur sevak us aadmi ko yah poshak pehnayen aur use raja ke ghode par bithakar shehar ke chauk mein ghumayen aur uske aage-aage yah ailan karvayen, ‘jis aadmi ko raja izzat dena chahta hai, uski shaan mein yahi kiya jaata hai!’”+ 10  haaman ki baat sunkar raja ne kaha, “fauran woh poshak aur ghoda le aur mahal ke faatak par baithe us yahoodi mordakai ke saath aisa hi kar. jo kuch toone kaha hai, uski ek-ek baat poori ki jaaye.” 11  haaman ne shaahi poshak aur ghoda liya. usne mordakai+ ko woh poshak pehnayi aur use ghode par bithakar shehar ke chauk mein ghumaya aur uske aage-aage yah ailan karvaya, “jis aadmi ko raja izzat dena chahta hai, uski shaan mein yahi kiya jaata hai!” 12  iske baad mordakai raja ke mahal ke faatak par laut gaya. lekin haaman shok manate huye aur sir par kapda daale huye tezee se apne ghar chala gaya. 13  haaman ne apni patni jeresh aur apne sabhi doston ko bataya ki uske saath kya hua.+ tab uske salahkaron aur uski patni jeresh ne usse kaha, “jis mordakai ke aage aaj tujhe munh ki khaani padi, agar woh yahoodiyon ke vansh se hai to yaad rakh, tu usse kabhi nahin jeet paayega. teri haar pakki hai.” 14  woh yah keh hi rahe the ki tabhi raja ke darbaari aaye aur fauran haaman ko raani ester ki daavat mein le gaye.+

kai footnote

shaa., “raja ki nind ud gayi.”
shaa., “raja par haath chalane.”
ya “mahal.”