filemon ke naam chitthi 1:1-25

  • namaskar (1-3)

  • filemon ka pyar aur vishvas (4-7)

  • unesimus ke liye paulus ki guzarish (8-22)

  • aakhir mein namaskar (23-25)

 main paulus, jo maseeh yeeshu ki khaatir ek kaidi hoon,+ hamare bhaai timuthiyus+ ke saath, hamare pyare sahkarmi filemon ko likh raha hoon.  saath hi, hamari behen affiya aur hamare sangi sainik arkhippus+ aur tere ghar mein ikattha honevali mandli ko:+  hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.  main jab bhi apni prarthnaon mein tujhe yaad karta hoon, to hamesha apne parmeshvar ka dhanyavad karta hoon+  kyonki main tere vishvas ke baare mein aur tere us pyar ke baare mein sunta rehta hoon jo tujhe prabhu yeeshu ke liye aur sabhi pavitra janon ke liye hai.  main prarthna karta hoon ki tu jis vishvas mein saajhedar hai, woh tujhe un saari aasheeshon ka ehsas karne ke liye udhaare jo hamein maseeh ke zariye mili hain.  mere bhaai, jab mainne tere pyar ke baare mein suna to mujhe bahot khushi hui aur dilasa mila kyonki teri vajah se pavitra  janon ke dilon ko taazgi mili hai.  isi vajah se, haalanki maseeh ka preshit hone ke naate main tujhe bejhijhak hukm de sakta hoon ki tu woh kar jo sahi hai,  fir bhi main pyar ka vaasta dekar tujhse guzarish kar raha hoon kyonki main paulus ek buzurg hoon aur ab maseeh yeeshu ki khaatir kaidi hoon. 10  haan, main tujhse apne bachche unesimus+ ke baare mein guzarish kar raha hoon jiska main kaid* mein hote huye pita bana.+ 11  yah pehale tere liye bekar tha magar ab yah tere liye aur mere liye bhi bahot kaam ka hai. 12  main ise tere paas vaapas bhej raha hoon, haan, ise jo mere jigar ka tukda hai. 13  main chahta to hoon ki ise apne paas hi rakhoon taaki jab tak main khushkhabri ki khaatir kaid mein rahoon, tab tak yah tere badle mein meri seva kare.+ 14  magar teri razamandi ke bina main kuch nahin karna chahta taaki tu kisi dabav mein aakaar nahin balki apni marzee se bhala kaam kare.+ 15  shaayad isi vajah se woh kuch vakt ke liye tujhse alag ho gaya tha taaki tu use hamesha ke liye fir se paa sake, 16  magar ab ek daas ki tarah nahin+ balki pyare bhaai ki tarah.+ khaaskar mere liye to woh bahot pyara hai. tere liye to woh aur bhi badhkar hai kyonki daas hone ke saath-saath woh prabhu mein tera bhaai bhi hai. 17  isliye agar tu mujhe apna dost* samajhta hai, to pyar se uska swagat kar jaise tu mera karta. 18  agar usne tera kuch nuksan kiya hai ya agar use tujhe kuch chukana hai, to use mere khaate mein likh lena. 19  main paulus apne haath se yah likh raha hoon: main tera nuksan bhar doonga. vaise mujhe yah batane ki zaroorat nahin ki tu khud apne jeevan ke liye mera karzdar hai. 20  haan mere bhaai, prabhu mein mujhe yah madad de. maseeh mein mere dil ko taro-taaza kar de. 21  mujhe poora yakeen hai ki tu meri baat zaroor maanega isliye main tujhe likh raha hoon. main jaanta hoon ki mainne jo kaha hai tu usse kahin badhkar karega. 22  saath hi, mere liye thaharne ki jagah taiyar rakhna kyonki main ummeed karta hoon ki tum logon ki prarthnaon ki vajah se main bahot jald tumse milne aa sakoonga.*+ 23  ipafras+ jo maseeh yeeshu mein mera saathi kaidi hai tujhe namaskar kah raha hai. 24  aur markus, aristarkhus,+ demas+ aur luka+ bhi, jo mere sahkarmi hain tujhe namaskar kehte hain. 25  tum jo badhiya jazba dikhate ho us vajah se prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa tum par bani rahe.

kai footnote

shaa., “zanjeeron.”
shaa., “saajhedar.”
ya “tumhare liye aazad kar diya jaaunga.”