filippiyon ke naam chitthi 2:1-30
2 to fir agar tum maseeh mein ek-doosre ka hausla badhana chahte ho, pyar se dilasa dena chahte ho, hamdardi jatana chahte ho, ek-doosre se gehra lagav rakhna aur ek-doosre par karuna karna chahte ho,
2 to tum ek jaisi soch rakho aur tummein ek-saa pyar ho, tummein poori ekta ho aur tumhare vichar ek jaise hon.+ aisa karke tum mujhe poori had tak khushi do.
3 jhagdaloo ravaiye+ ya ahankar ki vajah se kuch na karo,+ magar namrata se doosron ko khud se behtar samjho.+
4 aur har ek sirf apne bhale ki fikra mein na rahe,+ balki doosre ke bhale ki bhi fikra kare.+
5 tum vaisi soch aur vaisa nazariya rakho jaisa maseeh yeeshu ka tha.+
6 usne parmeshvar ke swaroop mein hote huye bhi,+ us pad ko hathiyane ki yaani parmeshvar ki barabri karne ki kabhi nahin sochi.+
7 iske bajay, usne apna sabkuch tyag diya* aur ek daas ka roop liya+ aur insan ban gaya.+
8 itna hi nahin, jab woh insan bankar aaya* to usne khud ko namra kiya aur is had tak aagya maani ki usne maut bhi,+ haan, yaatna ke kaath* par maut bhi sah li.+
9 isi vajah se parmeshvar ne use pehale se bhi uncha pad dekar mahan kiya+ aur kripa karke use woh naam diya jo doosre har naam se mahan hai+
10 taaki jo swarg mein hain aur jo dharti par hain aur jo zameen ke neeche hain, har koi yeeshu ke naam se ghutne teke+
11 aur har jeebh khulkar yah sweekar kare ki yeeshu maseeh hi prabhu hai+ taaki parmeshvar hamare pita ki mahima ho.
12 mere pyare bhaaiyo, tum hamesha se aagya maante aaye ho. jab main tumhare saath tha tab bhi maante the aur ab jab main tumse door hoon to tum aur bhi khushi-khushi aagya maante ho. tum isi tarah darte-kaanpte huye apne uddhaar ke liye kaam karte jaao.
13 kyonki parmeshvar hi apni marzee ke mutabik tumhein mazboot karta hai aur tumhare andar ichha paida karta hai aur use poora karne ki taakat bhi deta hai.
14 sab kaam bina kudkudaye+ aur bina behas ke karte raho+
15 taaki tum nirdosh aur maansoom aur parmeshvar ke bachche thahro+ aur ek tedhi aur bhrasht peedhi+ ke beech bedag bane raho, jiske beech tum is duniya mein raushni ki tarah chamak rahe ho+
16 aur jeevan ke vachan par mazboot pakad banaye rakho.+ tab maseeh ke din main is baat par khushi mana sakoonga ki main bekar hi nahin dauda ya mainne bekar hi kadi mehnat nahin ki.
17 fir bhi chahe tumhare us balidan+ par aur tumhari pavitra seva* par jo tum vishvas ki vajah se kar rahe ho, mujhe argh ki tarah undela jaa raha hai,+ to bhi main khush hota hoon aur tum sabke saath khushi manata hoon.
18 isi tarah tumhein bhi mere saath khush hona chahiye aur aanand manana chahiye.
19 ab main aasha karta hoon ki agar prabhu yeeshu ki marzee ho, to bahot jald main timuthiyus ko tumhare paas bhejoonga+ taaki tumhare baare mein khabar sunkar mera hausla badhe.
20 isliye ki mere paas uske jaisa swabhav rakhnevala doosra aur koi bhi nahin, jo sachche dil se tumhari parvah karega.
21 kyonki baaki sabhi apne hi bhale ki fikra mein rehte hain, koi yeeshu maseeh ke kaam ki fikra nahin karta.
22 lekin tum khud uske baare mein jaante ho ki jaise ek beta+ apne pita ka haath batata hai vaise hi usne khushkhabri failane mein mere saath kadi mehnat ki hai.
23 isliye main aasha karta hoon ki jaise hi mujhe maaloom padega ki mere saath kya honevala hai main usi ko tumhare paas bhejoonga.
24 aur prabhu mein mujhe bharosa hai ki main khud bhi jald hi tumhare paas aaunga.+
25 magar filhal main ipafroditus ko tumhare paas bhejna zaroori samajhta hoon. woh mera bhaai, sahkarmi aur sangi sainik hai aur tumhara bheja hua doot hai aur ek sevak ke naate meri madad karta hai.+
26 woh tum sabko dekhne ke liye taras raha hai aur bahot hatash ho gaya hai kyonki tumne suna tha ki woh beemar pad gaya hai.
27 woh itna beemar ho gaya tha ki marne par tha. magar parmeshvar ne us par daya ki aur sirf us par hi nahin balki mujh par bhi ki taaki mujhe dukh-par-dukh na mile.
28 isliye main use jald-se-jald bhej raha hoon taaki use dekhkar tum fir se khush ho jaao aur meri chinta bhi kuch kam ho jaaye.
29 isliye jaisa dastoor hai, prabhu mein badi garmjoshi se aur khushi-khushi uska swagat karna aur aise bhaaiyon ko anmol samajhna.+
30 kyonki maseeh ke kaam* ki khaatir usne apni jaan ki baazee laga di aur woh marne par tha taaki tumhare yahaan na hone ki kami poori kare aur tumhare badle meri seva kare.+
kai footnote
^ shaa., “khud ko poori tarah khaali kar diya.”
^ shaa., “jab usne khud ko insan ki shakal-soorat mein paaya.”
^ ya “jan-seva.”
^ ya shaayad, “prabhu ke kaam.”