ginti 23:1-30
23 tab bilam ne baalak se kaha, “is jagah par tu mere liye saat vediyaan khadi kar+ aur saat bail aur saat medhe taiyar rakh.”
2 baalak ne fauran vaisa kiya jaisa bilam ne kaha tha. baalak aur bilam ne har vedi par ek-ek bail aur ek-ek medhe ki bali chadhayi.+
3 fir bilam ne baalak se kaha, “tu yahaan apni hom-bali ke paas hi reh, main abhi aata hoon. shaayad yahova mujhse baat karne ke liye prakat ho. woh mujhse jo bhi kahega, main aakaar tujhe bataunga.” iske baad bilam ek sooni pahadi par gaya.
4 fir parmeshvar bilam ke saamne prakat hua+ aur bilam ne usse kaha, “mainne saat vediyaan kataar mein khadi ki hain aur har vedi par ek-ek bail aur ek-ek medhe ki bali chadhayi hai.”
5 yahova ne bilam se kaha,+ “tu baalak ke paas laut jaa aur uske saamne mera yah sandesh dohra.”
6 tab bilam laut gaya. usne dekha ki baalak aur moab ke sabhi adhikari hom-bali ke paas khade hain.
7 fir bilam ne unhein yah sandesh sunaya:+
“moab ka raja baalak mujhe araam se laaya,+mujhe yah kehkar poorab ke pahadon se laaya:
‘tu meri taraf se yakub ko shaap dene aa,
haan, israel ko dhikkarne aa.’+
8 magar main bhala aise logon ko shaap kaise de sakta hoon jinhein parmeshvar ne shaap nahin diya hai?
main unhein kaise dhikkar sakta hoon jinhein yahova ne nahin dhikkara hai?+
9 chattanon ke oopar se main unhein dekh raha hoon,pahadiyon se main unhein dekh raha hoon.
yah ek aisi jaati hai jo doosron se door akeli rehti hai,+khud ko doosri jaatiyon se alag maanti hai.+
10 yakub ke dhool ke kanon ko kaun gin sakta hai?+
kya koi israel ke ek-chauthai hisse ko bhi gin sakta hai?
mujhe seedhe-sachche logon ki maut mileaur mera ant unhin ki tarah ho.”
11 tab baalak ne bilam se kaha, “yah toone mere saath kya kiya? main tujhe yahaan dushmanon ko shaap dene ke liye laaya tha, magar toone to unhein aasheervad de diya!”+
12 javab mein bilam ne kaha, “kya mujhe vahi baat nahin kehni chahiye jo yahova mujhe batata hai?”+
13 baalak ne bilam se kaha, “meharbani karke mere saath ek aur jagah chal jahaan se tu unhein dekh sakega. tu un sabko nahin balki unmein se sirf kuch hi logon ko dekh paayega. vahaan se tu unhein shaap dena.”+
14 baalak use pisga ki choti+ par sopeem ke maidan mein le gaya. vahaan usne saat vediyaan khadi kin aur har vedi par ek-ek bail aur ek-ek medhe ki bali chadhayi.+
15 bilam ne baalak se kaha, “tu yahaan apni hom-bali ke paas hi reh, main vahaan jaakaar parmeshvar se baat karke aata hoon.”
16 yahova ne bilam ke saamne prakat hokar use ek sandesh diya aur usse kaha,+ “tu baalak ke paas laut jaa aur uske saamne mera yah sandesh dohra.”
17 bilam, baalak ke paas laut aaya aur usne dekha ki baalak apni hom-bali ke paas khada intazar kar raha hai aur uske saath moab ke adhikari bhi the. baalak ne bilam se poochha, “yahova ne kya kaha hai?”
18 bilam ne yah sandesh sunaya:+
“hey baalak, uth, meri baat sun.
sippor ke bete, dhyan de.
19 parmeshvar koi adna insan nahin ki woh jhooth bole,+woh koi insan nahin ki apni soch badle.*+
jab woh kehta hai ki woh kuch karega, to kya woh nahin karega?
jab woh koi vachan deta hai, to kya use poora nahin karega?+
20 dekh! mujhe yahaan aasheervad dene ke liye bheja gaya hai,jab parmeshvar ne aasheervad de diya hai,+ to main use nahin badal sakta.+
21 use yah bardasht nahin hota ki yakub par koi jaadoo-tona kare,aur woh israel par koi museebat nahin aane deta.
uska parmeshvar yahova unke saath hai,+woh parmeshvar ko apna raja maankar uski jayjaykar karte hain.
22 parmeshvar unhein misra se baahar laa raha hai,+
woh unke liye jangli saand ke singon jaisa hai.+
23 yakub ko tabah karnevala koi shakun nahin hai,+israel par jyotish-vidya ka koi asar nahin ho sakta.+
ab yakub aur israel ke baare mein yahi kaha jaayega:
‘dekho, parmeshvar ne unki khaatir kya-kya kiya hai!’
24 ye aisi jaati hai jo sher ki tarah uthti haiaur sher ki tarah khadi hoti hai.+
woh tab tak nahin letegi jab tak ki shikar ko khaa na leaur maare huon ka khoon pi na le.”
25 tab baalak ne bilam se kaha, “agar tu un logon ko shaap nahin de sakta to mat de, magar kam-se-kam unhein aasheervad to na de.”
26 bilam ne baalak se kaha, “kya mainne tujhse nahin kaha tha, ‘main woh sab karoonga jo yahova mujhse kahega’?”+
27 baalak ne bilam se kaha, “meharbani karke mere saath aa. main tujhe ek aur jagah le jaata hoon. shaayad sachche parmeshvar ko yah sahi lage ki tu vahaan meri taraf se logon ko shaap de.”+
28 isliye baalak bilam ko por ki choti par le gaya, jahaan se saamne yasheemon* nazar aata hai.+
29 tab bilam ne baalak se kaha, “is jagah par tu mere liye saat vediyaan khadi kar aur saat bail aur saat medhe taiyar rakh.”+
30 baalak ne theek vaisa hi kiya aur usne har vedi par ek-ek bail aur ek-ek medhe ki bali chadhayi.