habakkook 3:1-19

  • prarthna ki yahova kadam uthaye (1-19)

    • parmeshvar abhishikt janon ko bachayega (13)

    • dukhon mein bhi yahova ke kaaran khushi manana (17, 18)

3  bhavishyavakta habakkook ki prarthna jo shokgeeton ki tarah hai:   “hey yahova, mainne tere charche sune hain,hey yahova, tere kaamon ne mujhe vismay se bhar diya hai. hamare samay mein* ek baar fir ye kaam kar,hamare samay mein* ek baar fir unhein dikhaaur jab tu kehar dhaaye to daya karna mat bhoolna.+   parmeshvar teman se aaya,pavitra parmeshvar paaran ke pahad se aaya.+ (sela )* uska pratap poore aasman mein chhaa gaya+aur uski taareef se prithvi goonj uthi.   uska tej, din ke ujale jaisa tha.+ do kirnein uske haath se nikaal rahi thi,jismein uski taakat chhipi thi.   mahamari uske aage-aage failti gayi+aur tez bukhar uske peechhe-peechhe.   uske rukne par prithvi hil uthi,+uski ek nazar se raashtra kaanp uthe,+yug-yug se khade pahad chaknachoor ho gaye,sadiyon se khadi pahadiyaan jhuk gayin.+ uski raahein beete zamane se aisi hi rahi hain.   mainne dekha, kooshan ke tamboo sankat mein hain, midyan ke tambuon ke kapde tharthara uthe.+   hey yahova, kya tu nadiyon se gussa hai? kya tera krodh nadiyon par bhadka hai? ya teri jaljalahat saagar ke khilaf hai,+jo tu ghodon par savaar hokar aaya+aur tere rathon ne jeet* dilayi?+   tu apni kaman nikaalkar usko taiyar karta hai,teri shapath poori karne ke liye chhad* thehre huye hain.* (sela ) tu nadiyon se prithvi ko cheer daalta hai. 10  tujhe dekhkar pahadon ki kanpkanpi chhoot gayi,+ moosladhar baarish se baadh aa gayi,zameen ki gehraiyon mein paani garaj utha+aur aise fut pada maano usne haath oopar uthaya ho. 11  tere chhootte teeron ki chamak se,+ chamchamate bhaale ki raushni se,sooraj aur chaand apne unche thikanon se baahar nahin nikle.+ 12  apni jaljalahat mein tu dharti par se hokar guzra, toone apne krodh mein raashtron ko raund daala. 13  tu apne logon ka uddhaar karne, apne abhishikt jan ko bachane nikala. toone dusht ke ghar ke aguve ko masal diyaaur ghar ko oopar* se lekar ninv tak ujaad diya. (sela ) 14  uske yoddha aandhi ki tarah mujhe titar-bitar karne aaye,kyonki unhein dukhiyare ko chori-chhipe ujadne mein khushi milti hai, par toone unke hathiyar* unhin ke sir mein ghonp diye. 15  apne ghodon ko saath liye tu samundar ko,haan, ufanti dhaaraon ko cheerta hua aaya. 16  yah sunte hi main andar tak kaanp utha,khabar milte hi mere honth thartharane lage,meri haddiyaan gal gayin+aur mere pair ladkhadane lage. lekin main shaant hokar sankat ke din ka intazar karoonga,+kyonki yah din un par toot padega jo hum par hamla karte hain. 17  chahe anjeer ke ped par fool na lageinaur angooron ki bel par angoor na aayen,chahe jaitoon ki fasal na aayeaur khet mein anaj na uge,chahe baade se bhed-bakriyaan gaayab ho jaayenaur chhappar mein gaay-bail na rahein, 18  fir bhi main yahova ke kaaran khushi manaunga,apne uddharkarta, apne parmeshvar ke kaaran magan hounga.+ 19  saare jahan ka maalik yahova meri taakat hai,+woh mere pairon ko hiran ki si tezee degaaur mujhe unchi jagahon mein le chalega.”+

kai footnote

shaa., “in saalon ke dauran.”
shaa., “in saalon ke dauran.”
shabdavli dekhein.
ya “uddhaar.”
ya shaayad, “teer.”
ya shaayad, “gotron ne shapath khaayi hai.”
shaa., “gale.”
shaa., “chhadein.”