haggai 1:1-15

  • mandir dobara na banane ki vajah se fatkar mili (1-11)

    • ‘kya yah vakt badhiya-badhiya gharon mein rehne ka hai?’ (4)

    • “apne taur-tareekon par dhyan do” (5)

    • boya bahot magar fasal kam (6)

  • logon ne yahova ki baat maani (12-15)

1  raja daara ke raaj ke doosre saal ke chhathe maheene ke pehle din, yahova ka sandesh bhavishyavakta haggai*+ ke zariye yahooda ke raajyapal jarubabel+ aur mahayajak yahoshoo ke paas pahuncha. jarubabel, shaaltiel ka beta tha aur yahoshoo, yahosadak ka beta tha. unhein yah sandesh diya gaya:  “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘ye log kehte hain, “yahova ka bhavan* banane* ka samay abhi nahin aaya hai.”’”+  ek baar fir yahova ka yah sandesh bhavishyavakta haggai+ ke zariye diya gaya:  “kya yah vakt hai ki tum badhiya-badhiya lakdiyon se saje gharon mein raho, jabki mera bhavan ujaad pada hai?+  ab senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘apne taur-tareekon par dhyan do.  tum bote to bahot ho magar tumhein fasal kam milti hai.+ tum khaate ho magar pet nahin bharta. peete ho magar santusht nahin hote. tum kapde pehante ho magar tumhein garmi nahin milti. mazdoori karnevala apni mazdoori aisi thaili mein daalta hai jismein chhed-hi-chhed hain.’”  “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘apne taur-tareekon par dhyan do.’  yahova kehta hai, ‘pahad par jaao, lakdi laao.+ mera bhavan banao+ taaki mujhe usse khushi mile aur meri mahima ho.’”+  “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tumne dher saari fasal paane ki ummeed ki magar thodi hi paayi aur jab tum use apne ghar mein laaye to mainne use foonkkar uda diya.+ jaante ho mainne aisa kyon kiya? kyonki mera bhavan ujaad pada hai, fir bhi tum sab apne-apne ghar ke liye bhaag-daud kar rahe ho.+ 10  yahi vajah hai ki aakash ne os barsana aur dharti ne upaj dena band kar diya hai. 11  main zameen aur pahadon par, anaj, nayi daakh-madira aur tel par, zameen se ugnevali har cheez par, insanon aur jaanvaron par aur tumhare haath ki saari mehnat par sookhe ko baar-baar bulata raha.’” 12  shaaltiel ke bete jarubabel+ aur yahosadak+ ke bete, mahayajak yahoshoo aur baaki sab logon ne apne parmeshvar yahova ki baat aur bhavishyavakta haggai ki baat maani kyonki unke parmeshvar yahova ne hi use yah sandesh dene bheja tha. aur log yahova ka dar maanne lage. 13  fir yahova ke doot haggai ne yahova se mili zimmedari nibhate huye logon ko yah sandesh sunaya: “yahova ailan karta hai, ‘main tum logon ke saath hoon.’”+ 14  isliye yahova ne shaaltiel ke bete, yahooda ke raajyapal jarubabel+ aur yahosadak ke bete, mahayajak yahoshoo+ aur baaki sab logon ke man ko ubhaara+ aur un sabne aakar apne parmeshvar, senaon ke parmeshvar yahova ka bhavan banane ka kaam shuroo kar diya.+ 15  unhonne yah kaam raja daara ke raaj ke doosre saal ke chhathe maheene ke 24vein din shuroo kiya.+

kai footnote

matlab “tyohar mein paida hua.”
ya “mandir.”
ya “dobara banane.”