haggai 2:1-23
2 saatvein maheene ke 21vein din yahova ka yah sandesh bhavishyavakta haggai+ ke zariye diya gaya:
2 “shaaltiel ke bete, yahooda ke raajyapal jarubabel+ aur yahosadak+ ke bete, mahayajak yahoshoo+ se aur baaki logon se zara yah saval poochh:
3 ‘tummein se kin logon ne is bhavan* ki pehle ki shaan dekhi hai?+ ab tumhein yah kaisa lag raha hai? kya tumhein aisa nahin lagta ki yah pehlevale bhavan ke mukable kuch bhi nahin?’+
4 yahova ailan karta hai, ‘fir bhi jarubabel, himmat rakh. yahosadak ke bete mahayajak yahoshoo, tu bhi himmat rakh.’
yahova ailan karta hai, ‘desh ke sab logo, tum himmat rakho+ aur kaam karo.’
‘kyonki main tumhare saath hoon,’+ senaon ke parmeshvar yahova ka yah ailan hai.
5 ‘jab tum misra se nikle the tab mainne tumse jo vaada kiya tha,+ use yaad karo aur meri shakti tum par kaam karti rahegi.*+ tum mat daro.’”+
6 “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main thodi der baad, ek baar fir aakash aur dharti aur samundar aur sookhi zameen ko hilaunga.’+
7 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main sab raashtron ko hilaunga aur sab raashtron ki anmol* cheezen is bhavan mein aayengi+ aur main is bhavan ko mahima se bhar doonga.’+
8 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘chaandi meri hai, sona bhi mera hai.’
9 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘aage chalkar is bhavan ki aisi shaan hogi jo pehle ki shaan se bhi badhkar hogi.’+
senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘aur main is jagah shaanti doonga.’”+
10 daara ke raaj ke doosre saal ke nauvein maheene ke 24vein din, yahova ka yah sandesh bhavishyavakta haggai ke paas pahuncha:+
11 “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘zara yaajkon se kaanoon ke baare mein poochh,+
12 “agar ek aadmi apne kapde ki tah mein pavitra maans baandhkar le jaaye aur uska kapda roti ya shorba ya daakh-madira ya tel ya kisi aur khaane ki cheez ko chhoo jaaye to kya woh cheez pavitra ho jaayegi?”’”
yaajkon ne javab diya, “nahin!”
13 fir haggai ne poochha, “agar ek aadmi kisi laash* ko chhoone ki vajah se ashuddh ho jaaye aur woh inmein se kisi cheez ko chhuye to kya woh ashuddh ho jaayegi?”+
yaajkon ne javab diya, “haan, woh ashuddh ho jaayegi.”
14 tab haggai ne kaha, “yahova ailan karta hai, ‘meri nazron mein ye log aur yah raashtra bhi aise hi hain. unke sabhi kaam aur unki arpit ki hui har cheez ashuddh hai.’
15 ‘magar aaj se tum zara is baat par dhyan dena: yahova ke mandir ko dobara banane ka kaam shuroo karne se pehle+
16 tumhari kya haalat thi? jab koi anaj ke dher ke paas 20 paimana anaj paane ki ummeed se jaata, to use sirf 10 paimana milta tha. aur jab koi haud ke paas 50 paimana daakh-madira paane ki ummeed se jaata, to use sirf 20 paimana milta tha.+
17 mainne tumhari faslon ko jhulsan, beemari aur olon se maara+ aur tumhare haath ki saari mehnat naash kar di, fir bhi tummein se koi meri taraf nahin fira.’ yahova ka yah ailan hai.
18 ‘magar aaj se, nauvein maheene ke is 24vein din se, jab yahova ke mandir ki ninv daali gayi,+ tum is baat par dhyan dena:
19 kya beej ab bhi bhandar* mein hai?+ kya angoor, anjeer, anar aur jaitoon ped mein ab tak fal nahin lage? magar aaj se main tumhein aasheesh doonga.’”+
20 usi maheene ke 24vein din, doosri baar yahova ka yah sandesh haggai ke paas pahuncha:+
21 “yahooda ke raajyapal jarubabel se keh, ‘main aakash aur dharti ko hilane jaa raha hoon.+
22 main raajaon ki raajgaddiyaan ulat doonga aur raashtron ke raajaon ki taakat mita doonga.+ main rath aur uske savaron ko palat doonga aur ghode aur unke savaar ek-doosre ki talvar ke vaar se gir padeinge.’”+
23 “senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘hey shaaltiel ke bete, mere sevak jarubabel,+ us din main tujhe bulaunga.’+ yahova ailan karta hai, ‘main tujhe muharvali angoothi ki tarah banaunga kyonki mainne tujhi ko chuna hai.’ senaon ke parmeshvar yahova ka yah ailan hai.”
kai footnote
^ ya “mandir.”
^ ya shaayad, “tab meri shakti tumhare beech khadi thi.”
^ ya “manbhavni.”
^ ya “anaj ke gaddhe.”