hoshe 1:1-11

  • hoshe ki patni aur woh bachche jinhein usne janm diya (1-9)

    • yijrel (4), lo-ruhama (6), lo-ammi (9)

  • bahaali aur ekta ki aasha (10, 11)

1  yahova ka sandesh bayeri ke bete hoshe* ke paas un dinon pahuncha jab yahooda mein ujjiyah,+ yotam,+ aahaj+ aur hijkiyah ka raaj tha+ aur israel mein yoash+ ke bete yaarobam ka raaj tha.+  jab yahova ne hoshe ke zariye apna sandesh logon ko sunana shuroo kiya tab yahova ne hoshe se kaha, “tu jaakaar ek aisi aurat se shaadi kar jo baad mein veshya ke kaam karegi aur apni badchalni se bachche paida karegi, kyonki is desh ne veshya jaise kaam karke yahova se poori tarah munh fer liya hai.”+  isliye hoshe ne jaakaar diblaim ki beti gomer se shaadi ki. gomer garbhvati hui aur usne hoshe ke bete ko janm diya.  tab yahova ne hoshe se kaha, “tu is ladke ka naam yijrel* rakh kyonki yijrel mein jo khoon ki nadiyaan bahayi gayi thi, uske liye main kuch samay baad yehoo ke gharane se hisab maangoonga+ aur israel ke raaj ka ant kar doonga.+  us din main yijrel ki ghaati mein israel ki kaman tod doonga.”  woh fir se garbhvati hui aur usne ek beti ko janm diya. parmeshvar ne hoshe se kaha, “tu is ladki ka naam lo-ruhama* rakh kyonki main israel ke gharane par aur daya nahin karoonga,+ main unhein zaroor khaded doonga.+  lekin main yahooda ke gharane par daya karoonga+ aur main unka parmeshvar yahova unhein bachaunga,+ magar teer-kaman ya talvar ya yuddh ya ghodon ya ghudsavaaron ke zariye nahin.”+  lo-ruhama ka doodh chhudane ke baad woh garbhvati hui aur usne ek bete ko janm diya.  fir parmeshvar ne kaha, “tu is ladke ka naam lo-ammi* rakh kyonki tum mere log nahin ho aur main tumhara parmeshvar nahin hounga. 10  aur israel ke logon* ki ginti samundar ki baaloo ke kinkon jaisi hogi, jinhein na taula jaa sakta hai aur na hi gina jaa sakta hai.+ aur jis jagah unse kaha gaya tha, ‘tum mere log nahin ho,’+ vahaan unse kaha jaayega, ‘tum jeevit parmeshvar ke bete ho.’+ 11  aur yahooda ke logon aur israel ke logon ko ikattha karke ek kiya jaayega+ aur woh apne liye ek mukhiya chuneinge aur desh se baahar nikaal jaayenge, kyonki woh din yijrel ke liye ek khaas din hoga.”+

kai footnote

yah hoshayah naam ka chhota roop hai jiska matlab hai, “yaah ke zariye bachaya gaya; yaah ne bachaya.”
matlab “parmeshvar beej boyega.”
matlab “daya nahin ki gayi.”
matlab “mere log nahin.”
shaa., “beton.”