hoshe 10:1-15

  • angoor ki sadi bel, israel ka naash (1-15)

10  “israel angoor ki sadi* bel hai jis par fal lagte hain.+ us par jitne zyada fal lagte hain woh utni zyada vediyaan khadi karta hai,+uski zameen jitni achhi upaj deti hai uske pooja-stambh utne hi shaandar hote hain.+   unka dil kapti hai,ab woh doshi paaye jaayenge. aisa koi hai jo unki vediyaan tod daalega, unke pooja-stambh naash kar dega.   ab woh kaheinge, ‘hamara koi raja nahin,+ kyonki hamne yahova ka dar nahin maana. agar raja hota bhi to woh hamare liye kya kar paata?’   woh khokhli baatein kehte hain, jhoothi shapath khaate hain+ aur karar karte hain,isliye anyay aisa badh gaya hai, jaise zahreele paudhe koondon mein dekhte-hi-dekhte ug aate hain.+   saamriya ke nivasi bet-aaven ke bachhde ki moorat ke liye dareinge.+ vahaan ke log uske liye maatam manayenge,paraye devta ke pujari bhi maatam manayenge, jo kabhi uski aur uski shaan ki vajah se khushiyaan manate the,kyonki woh moorat unse door bandhuai mein chali jaayegi.   woh moorat ashshoor le jaayi jaayegi taaki ek mahan raja ko tohfe mein di jaa sake.+ epraim sharminda kiya jaayega,israel ne jo salah maani thi uski vajah se woh sharminda kiya jaayega.+   saamriya aur uske raja ko zaroor naash kiya jaayega,+woh us tahni jaisa hoga jise todkar paani mein feink diya gaya ho.   bet-aaven ki unchi jagah,+ jo israel ka paap hain,+ mita di jaayengi.+ unki vediyon par kaante aur kanteeli jhaadiyaan ugeingi.+ log pahadon se kaheinge, ‘hamein dhak lo!’ aur pahadiyon se kaheinge, ‘hum par gir pado!’+   hey israel, tu giba ke dinon se paap karta aaya hai.+ vahaan woh paap mein lage rahe. yuddh ne giba mein dushton ko poori tarah nahin mitaya. 10  main bhi jab chahoon unhein saza doonga. jab unke donon gunahon ka bojh un par laada jaayega,*tab desh-desh ke log unke khilaf ikattha honge. 11  epraim sadhi hui gaay* tha jise daanvna bahot pasand tha,isliye mainne uski sundar gardan bakhsh di. ab main epraim par kisi ko savaar karaunga.*+ yahooda hal jotega, yakub uske liye heinga khinchega. 12  apne liye neki ke beej bo-o aur atal pyar ki fasal kaato. jab tak yahova ki khoj karne ka samay hai,+apne liye upjaoo zameen joto+aur woh aayega aur tumhein neki sikhayega.+ 13  magar tumne dushtata ke liye hal jota haiaur burai ki fasal kaati hai,+tum chhal ka fal khaa rahe ho,kyonki tumne apne taur-tareekon par,apne behisab yoddhaon par bharosa rakha hai. 14  tumhare logon ke beech yuddh ka shor sunayi dega,tumhare saare kileband shehar naash ho jaayenge,+jaise bet-arabel ko shalman ne naash kiya tha,ladai ke din maaon ko unke bachchon ke saath patakkar maar daala gaya tha. 15  hey betel, teri ghor dushtata ki vajah se tere saath yahi kiya jaayega.+ bhor ko israel ka raja zaroor naash kiya jaayega.”+

kai footnote

ya shaayad, “failnevali.”
yaani jab woh jua dhone ki tarah saza bhugteinge.
ya “kalor.”
ya “rassi baandhoonga.”