hoshe 12:1-14
12 “epraim bekar ki cheezon par bharosa rakhta hai.*
poorab se behnevali hava ke peechhe saara din bhaagta hai.
woh badh-chadhkar jhooth bolta aur maar-kaat machata hai.
woh ashshoor ke saath ek karar karte hain+ aur misra ke paas tel le jaate hain.+
2 yahova ne yahooda par mukadma kiya hai,+woh yakub se uske kaamon ka hisab maangega,use uske kiye ki saza dega.+
3 kokh mein usne apne bhaai ki edi pakad li thi,+woh poora zor lagakar parmeshvar se lada.+
4 woh swargdoot se ladta raha aur usse jeet gaya.
uski kripa paane ke liye usne ro-rokar binti ki.”+
parmeshvar ne use betel mein paaya aur vahaan parmeshvar ne hamse baat ki.+
5 yahova senaon ka parmeshvar hai,+yahova naam se use yaad kiya jaata hai.+
6 “isliye apne parmeshvar ke paas laut jaa,+atal pyar zahir karta reh, nyay karta reh+aur hamesha apne parmeshvar par aasha rakh.
7 magar len-den karnevale* ke haath mein chhal ka tarazoo hai,use dhokhadhadi karna bahot pasand hai.+
8 epraim kehta rehta hai, ‘haan, main daulatmand ho gaya hoon,+mujhe khazana mil gaya hai.+
meri saari mehnat mein woh koi dosh ya paap nahin paa sakte.’
9 magar main yahova tab se tera parmeshvar hoon jab israel misra mein hi tha.*+
main tujhe dobara tambuon mein basaunga,jaise tay samay* ke dinon mein hua karta hai.
10 mainne bhavishyavaktaon se baat ki,+unhein darshan-par-darshan diye,unke zariye misalein batayin.
11 gilad mein dhokha* aur jhooth paaya gaya.+
gilgal mein unhonne bailon ki bali ki,+unki vediyaan pattharon ke us dher jaisi hain jo khet ke koondon mein hota hai.+
12 yakub araam* ke ilake* mein bhaag gaya,+israel+ ne vahaan patni paane ke liye mazdoori ki,+bhedon ki rakhvali ki.+
13 yahova ne ek bhavishyavakta ke zariye israel ko misra se nikaala,+ek bhavishyavakta ke zariye uski hifazat ki.+
14 epraim ne parmeshvar ko bahot gussa dilaya,+us par khoon ka dosh bana hua hai,usne apne prabhu ka apman kiya hai, prabhu use iska sila dega.”+
kai footnote
^ shaa., “epraim hava khaa raha hai.”
^ ya “saudagar.”
^ ya shaayad, “tyohar.”
^ ya “misra se tera parmeshvar hoon.”
^ ya “jaadoo-tone ki baatein; rehasyamayi baatein.”
^ ya “seeriya.”
^ shaa., “maidan.”