hoshe 14:1-9

  • yahova ke paas lautne ki guzarish (1-3)

    • honthon se taareef ke bol arpit karna (2)

  • vishvasghat karne ki beemari door karna (4-9)

14  “hey israel, apne parmeshvar yahova ke paas laut aa,+kyonki tu apne gunah ki vajah se thokar khaakaar gir gaya hai.   yahova ke paas laut aa aur usse keh,‘hamare gunah maaf kar de+ aur jo achha hai woh hamse sweekar karaur hum apne honthon se tujhe taareef ke bol arpit kareinge,+ jaise hum bailon ka balidan chadhate hain.   ashshoor hamein nahin bachayega.+ hum ghodon par savaar nahin honge+aur fir kabhi apne haath ki banayi cheezon se yah nahin kaheinge: “hey hamare parmeshvar!” kyonki tu hi hai jo anath* par daya karta hai.’+   main unki vishvasghat karne ki beemari door kar doonga.+ main apni marzee se unhein pyar karoonga,+kyonki mera krodh unse door ho gaya hai.+   main israel ke liye os jaisa banoonga,woh sosan ke fool ki tarah khilegaaur labanon ke pedon ki tarah apni jadein gehrai tak jamayega.   uski tahniyaan door-door tak faileingi,uski shobha jaitoon ke ped jaisiaur khushboo labanon ke ped jaisi hogi.   woh fir se uski chhaaya mein raheinge. woh anaj ugayenge aur angoor ki bel ki tarah fooleinge-faleinge.+ woh labanon ki daakh-madira ki tarah mashhoor hoga.*   epraim kahega, ‘moorton se ab mera aur kya lena-dena?’+ main uski sunoonga aur us par nazar rakhoonga.+ main tere liye sanovar ke hare-bhare ped jaisa hounga. mujhse hi tujhe fal mila karega.”   kaun buddhiman hai? woh in baaton ko samjhe. kaun soojh-boojhvala hai? woh in baaton ko jaane. kyonki yahova ki raahein seedhi hain,+nek log un par chaleinge,magar apradhi un par thokar khaakaar gireinge.

kai footnote

ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
shaa., “uska smarak labanon ki daakh-madira jaisa hoga.”