hoshe 3:1-5

  • hoshe ne apni badchalan patni ko chhudaya (1-3)

  • israel yahova ke paas lautegi (4, 5)

3  fir yahova ne mujhse kaha, “jaa, us aurat se fir se pyar kar, jise koi aur pyar karta hai aur jo vyabhichar karti hai,+ theek jaise yahova bhi israel ke logon se pyar karta hai+ iske baavjood ki woh doosre devtaon ki taraf mud jaate hain+ aur kishmish ki tikiyaan* bahot pasand karte hain.”  isliye mainne chaandi ke 15 tukde aur dedh homer* jau dekar us aurat ko khareed liya.  fir mainne usse kaha, “tu kai dinon ke liye meri bankar rahegi. tu veshya ka kaam mat karna aur paraye aadmi ke saath sambandh mat rakhna aur main bhi tere saath sambandh nahin rakhoonga.”  aisa isliye hai kyonki ek lambe arse* tak israel ke logon par koi raja aur haakim nahin hoga,+ unke yahaan koi balidan, pooja-stambh, epod ya kul devtaon ki moortein nahin hongi.+  baad mein israel ke log laut aayenge aur apne parmeshvar yahova aur apne raja daavid ki khoj kareinge+ aur aakhiri dinon mein woh thar-thar kaanpte huye yahova ke paas aayenge taaki woh unke saath bhalai kare.+

kai footnote

yaani woh tikiyaan jinka jhoothi upasna mein istemal hota tha.
ek homer 220 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
shaa., “bahot dinon.”