hoshe 8:1-14

  • moortipooja ke anjam bhugatna (1-14)

    • hava bona, aandhi ki katai karna (7)

    • israel apne bananevale ko bhool gaya (14)

8  “apne munh mein narsinga laga!+ dushman ukab ki tarah yahova ke bhavan par hamla karega,+kyonki unhonne mera karar tod diya hai,+ mere kaanoon ke khilaf kaam kiya hai.+   woh mujhe pukarte hain, ‘hey hamare parmeshvar, hum israeli log tujhe jaante hain!’+   israel ne bhalai thukra di hai.+ ek dushman uska peechha kare.   unhonne raja thehraye hain, magar meri ijazat ke bagair. haakim thehraye hain, magar meri manzoori ke bagair. unhonne apne hi vinash ke liye sone-chaandi se moortein banayi hain.+   hey saamriya, tera bachhda thukra diya gaya hai.+ mere krodh ki jvala un par bhadki hai.+ woh khud ko kab shuddh kareinge? aur kitna vakt lagayenge?   yah israel se hai. ise ek kaareegar ne banaya hai, yah parmeshvar nahin hai,saamriya ka bachhda tukde-tukde kar diya jaayega.   woh hava bote hainaur aandhi ki katai kareinge.+ baalon par paka anaj nahin ugta,+upaj se aata nahin milta. agar kuch uge bhi to pardesi* use nigal jaayenge.+   israel ko nigal liya jaayega.+ woh doosre raashtron mein aisa bartan thehreinge jo kisi kaam ka nahin.+   woh akele jangli gadhe ki tarah ashshoor ke paas gaye hain.+ epraim ne veshyaon ko kiraye par bulaya hai.+ 10  haalanki woh unhein doosre raashtron se kiraye par bulate hain,magar main unhein ikattha karoonga,woh raja aur haakimon ke laade huye bojh ke kaaran dukh jheleinge.+ 11  epraim ne bahot-si vediyaan banakar paap kiya hai.+ ye vediyaan uske paap ki vajah banin.+ 12  mainne use bahot-se kaanoon* likhkar diye,magar usne in kaanoonon ko ajeebo-gareeb samjha.+ 13  woh mere liye balidan chadhate hain aur maans khaate hain,magar yahova unke balidanon se khush nahin hota.+ ab woh unka gunah yaad karega aur unhein paapon ki saza dega.+ woh misra ki taraf fir gaye hain.*+ 14  israel apne bananevale ko bhool gaya+ aur usne mandir banaye hain+aur yahooda ne bahot-se kileband shehar banaye hain.+ magar main uske shehron par aag bhejoonga,jo har shehar ki meenaron ko bhasm kar degi.”+

kai footnote

ya “ajnabi.”
ya “hidaytein.”
ya shaayad, “misra laut jaayenge.”