ibraniyon ke naam chitthi 11:1-40

  • vishvas ki paribhasha (1, 2)

  • vishvas ki misalein (3-40)

    • vishvas ke bina parmeshvar ko khush karna naamumkin (6)

11  vishvas, aasha ki hui baaton ka poore bharose ke saath intazar karna hai+ aur un asliyaton ka saaf saboot* hai, jo abhi dikhayi nahin detin.  kyonki vishvas ki vajah se purane zamane ke logon* ne apne baare mein gavahi paayi ki parmeshvar unse khush hai.  vishvas hi se hum yah samajh paate hain ki parmeshvar ke vachan se duniya ki vyavasthayen* thehrayi gayin, isliye jo dikhayi de raha hai woh un cheezon se aaya hai jo dikhayi nahin detin.  vishvas hi se haabil ne parmeshvar ko aisa balidan chadhaya jo kain ke balidan se shreshth tha.+ aur isi vishvas ki vajah se use gavahi di gayi ki woh nek hai kyonki parmeshvar ne uski bheint manzoor ki thi.+ haalanki haabil mar chuka hai magar apne vishvas ki vajah se woh aaj bhi bolta hai.+  vishvas ki vajah se hi hanok+ doosri jagah pahuncha diya gaya taaki woh maut ka munh na dekhe. aur woh kahin nahin paaya gaya kyonki parmeshvar ne use doosri jagah pahuncha diya tha.+ magar uske jaane se pehale use yah gavahi di gayi ki usne parmeshvar ko khush kiya hai.  vishvas ke bina parmeshvar ko khush karna naamumkin hai, kyonki jo uske paas aata hai use yakeen karna hoga ki parmeshvar sachmuch hai* aur woh un logon ko inam deta hai jo poori lagan se uski khoj karte hain.+  vishvas hi se nooh+ ne parmeshvar ka dar maankar apne parivar ko bachane ke liye ek jahaz banaya+ kyonki parmeshvar ne use un cheezon ke baare mein chetavni di jo us vakt tak dikhayi nahin de rahi thi.+ isi vishvas ki vajah se usne duniya ko saza ke laayak thehraya+ aur uske vishvas ki vajah se hi use nek samjha gaya.  vishvas hi se abraham+ ne bulaye jaane par aagya maani aur us jagah ke liye nikaal pada jo use virasat mein milnevali thi. woh nahin jaanta tha ki woh kahaan jaa raha hai, fir bhi woh gaya.+  vishvas ki vajah se woh vaada kiye gaye desh mein aise raha jaise ek paraye desh mein reh raha ho.+ aur woh ishaak aur yakub ke saath tambuon mein raha+ jo uske saath usi vaade ke vaaris the.+ 10  kyonki woh ek aise shehar ke intazar mein tha jo sachchi buniyad par khada hai, jiska rachnevala* aur bananevala parmeshvar hai.+ 11  vishvas hi se saara ne garbhvati hone ki shakti paayi, haalanki uske bachche paida karne ki umra beet chuki thi+ kyonki usne maana tha ki jis parmeshvar ne vaada kiya hai woh vishvasyogya* hai. 12  isliye us ek aadmi se jo maano bejan tha,+ aasman ke taaron aur samundar kinare ki ret ke kanon jitni anginat santan paida hui.+ 13  ye sabhi log vishvas rakhte huye mar gaye, haalanki unhonne woh sab nahin paaya jiska unse vaada kiya gaya tha.+ fir bhi unhonne vaada ki gayi baaton ko door hi se dekha+ aur unse khushi paayi. aur sab logon ke saamne ailan kiya ki woh us desh mein ajnabi aur musafir hain. 14  kyonki jo is tarah ki baatein kehte hain woh saabit karte hain ki woh poori lagan se us jagah ki khoj mein hain jo unki apni hogi. 15  aur agar woh us desh ko yaad karte rehte jise woh chhodkar aaye the,+ to unke paas vaapas lautne ka mauka tha. 16  magar ab woh ek badhiya jagah paane ki koshish mein aage badh rahe hain, jiska naata swarg se hai. isliye parmeshvar khud ko unka parmeshvar kehne se sharminda nahin hota+ aur usne unke liye ek shehar taiyar kiya hai.+ 17  vishvas hi se abraham ne, jab uski pareeksha li gayi thi,+ ishaak ko maano bali chadha hi diya tha. haan, jisne khushi-khushi vaadon ko sweekar kiya tha, woh apne iklaute bete ki bali chadhane ko taiyar ho gaya,+ 18  haalanki usse kaha gaya tha, “tujhse jis vansh* ka vaada kiya gaya hai woh ishaak se aayega.”+ 19  use yakeen tha ki parmeshvar uske bete ko mare huon mein se bhi zinda karne ke kaabil hai. aur vaakai usne apne bete ko maut ke munh se vaapas paaya. yah aanevali baaton ki ek misal bana.+ 20  vishvas hi se ishaak ne aanevali baaton ke baare mein yakub aur esav ko aasheervad diya.+ 21  vishvas hi se yakub ne apni maut se pehale,+ yoosuf ke donon beton ko aasheervad diya+ aur apni laathi ke sire ka sahara lekar parmeshvar ki upasna ki.+ 22  vishvas hi se yoosuf ne apni maut se pehale bataya ki israeli ek din misra se nikaal jaayenge aur usne apni haddiyon* ke baare mein aagya* di.+ 23  vishvas hi se moosa ke maata-pita ne uske paida hone ke baad teen maheene tak use chhipaye rakha+ kyonki unhonne dekha ki bachcha bahot sundar hai+ aur woh raja ke hukm se nahin dare.+ 24  vishvas hi se moosa ne bade hone par,+ firaun ki beti ka beta kehlane se inkar kar diya.+ 25  aur chand dinon ke liye paap ka sukh bhogne ke bajay, usne parmeshvar ke logon ke saath dukh bhogne ka chunav kiya. 26  usne samjha ki parmeshvar ka abhishikt jan hone ke naate beizzati sehna, misra ke khazanon se bhi badi daulat hai kyonki woh apni nazar inam paane par tikaye huye tha. 27  vishvas hi se usne misra chhod diya,+ magar raja ke krodh ke dar se nahin+ kyonki woh us adrishya parmeshvar ko maano dekhta hua data raha.+ 28  vishvas hi se moosa ne fasah ka tyohar manaya aur darvaze ki chaukhaton par khoon chhidka taaki naash karnevala unke pehalauthon ko koi nuksan na pahunchaye.*+ 29  vishvas hi se unhonne laal saagar ko aise paar kiya jaise sookhi zameen par chal rahe hon.+ magar jab misriyon ne paar karne ki koshish ki, to unhein saagar ne nigal liya.+ 30  vishvas hi se jab israeliyon ne saat din tak yareeho shehar ki deevaron ke chakkar kaate tab woh dhah gayin.+ 31  vishvas ki vajah se hi raahab naam ki veshya un logon ke saath naash nahin hui jo aagya nahin maante the, kyonki usne jaasooson ko shaanti se apne yahaan thehraya tha.+ 32  aur kis kiska naam ginvaun? agar main gidon,+ baarak,+ shimshon,+ yiptah,+ daavid,+ saath hi shamooel+ aur doosre bhavishyavaktaon ke baare mein bataun to samay kam pad jaayega. 33  vishvas ki vajah se hi in logon ne hukoomaton ko haraya,+ neki ko badhava diya, inse vaade kiye gaye,+ inhonne sheron ka munh band kiya,+ 34  aag ki tapish mita di,+ talvar ki dhaar se bach nikle,+ unhein kamzor haalaat mein taakatvar banaya gaya,+ woh yuddh mein veer nikle+ aur unhonne hamla karti senaon ko khadeda.+ 35  aurton ne apne mare huye azeezon ko vaapas paaya.+ aur doosre log aise the jinhein tadpa-tadpakar maar daala gaya kyonki unhein kisi bhi tarah ki firauti dekar chhutkara paana manzoor nahin tha taaki woh marne ke baad behtar tareeke se zinda kiye jaayen. 36  haan, kitne aise the jinki khilli udayi gayi aur jinhein kode lagaye gaye. itna hi nahin, unhein zanjeeron mein baandha gaya+ aur kaid mein daala gaya+ aur is tarah woh aazmaye gaye. 37  unhein pattharon se maar daala gaya,+ unki pareeksha hui, unhein aare se cheera gaya aur talvar se maar daala gaya.+ woh bhedon aur bakron ki khaal pehne firte the+ aur tangi, museebatein+ aur badsalooki sehte rahe+ 38  aur yah duniya unke laayak nahin thi. woh registanon, pahadon, gufaon aur dharti ki maandon mein bhatakte rahe.+ 39  in sabhi ne haalanki apne vishvas ke zariye apne baare mein achhi gavahi paayi thi, fir bhi unhonne vaada poora hote huye nahin dekha. 40  kyonki parmeshvar ne pehale se soch rakha tha ki woh hamein kuch behtar dega+ taaki woh hamare bagair paripoorna na banaye jaayen.

kai footnote

ya “thos saboot.”
ya “hamare purkhon.”
ya “zamane.” shabdavli dekhein.
ya “vajood mein hai.”
ya “shilpkar.”
ya “bharosemand.”
shaa., “beej.”
ya “hidayat.”
ya “apne dafnane.”
shaa., “na chhuye.”