ibraniyon ke naam chitthi 2:1-18
2 isliye hamne jo baatein suni hain, un par aur bhi zyada dhyan dena zaroori hai+ taaki hum kabhi-bhi behkar door na chale jaayen.+
2 jab swargdooton ke zariye kaha gaya vachan+ itna atal saabit hua aur uske khilaf jisne bhi paap kiya aur aagya todi, use nyay ke mutabik saza mili,+
3 to hum us uddhaar ke maamle mein jo itna mahan hai, laaparvahi baratkar kaise bach sakeinge?+ iske baare mein sabse pehale hamare prabhu ne bataya tha+ aur fir jin logon ne usse yah suna tha unhonne hamare liye ise pukhta kiya.
4 parmeshvar ne bhi chinh aur chamatkar dikhakar aur tarah-tarah ke shaktishali kaamon ke zariye+ aur apni marzee ke mutabik pavitra shakti ke vardan baantkar iski gavahi di hai.+
5 parmeshvar ne aanevali us duniya ko, jiske baare mein hum bata rahe hain, swargdooton ke adheen nahin kiya.+
6 magar kisi gavah ne kaha hai, “insan hai hi kya ki tu uska khayal rakhe? insan hai hi kya ki tu uski parvah kare?+
7 toone use swargdooton se kuch kamtar banaya. aur use mahima aur aadar ka taaj pehnaya aur use apne haath ki rachnaon par adhikar diya.
8 toone sabkuch uske pairon tale kar diya.”+ jab parmeshvar ne sabkuch uske adheen kar diya+ to usne aisa kuch bhi nahin chhoda jo uske adheen na kiya ho.+ yah sach hai ki ab tak hum sabkuch uske adheen nahin dekhte,+
9 magar hum yeeshu ko dekhte hain jise swargdooton se thoda kamtar banaya gaya.+ aur maut ka dukh jhelne ki vajah se use mahima aur aadar ka taaj pehnaya gaya+ taaki parmeshvar ki maha-kripa se woh har insan ke liye maut ka dukh jhele.+
10 sabkuch parmeshvar ki khaatir aur usi ke zariye vajood mein hai. aur yah sahi tha ki parmeshvar bahot saare beton ko mahima mein laane ke liye,+ unke uddhaar ke khaas aguve ko dukh sehne de+ aur is tarah use paripoorna banaye.+
11 isliye ki pavitra karnevala aur jo pavitra kiye jaa rahe hain,+ sab ek hi pita se hain+ isliye woh unhein bhaai pukarne mein sharminda mehsoos nahin karta,+
12 jaisa woh kehta hai, “main apne bhaaiyon mein tere naam ka ailan karoonga, mandli ke beech geet gaakaar teri taareef karoonga.”+
13 aur fir yah, “main us par bharosa rakhoonga.”+ aur yah bhi, “dekho! main aur mere ye bachche jo yahova* ne mujhe diye hain.”+
14 isliye jaise bachche haad-maans ke hain, woh bhi haad-maans ka bana+ taaki apni maut ke zariye use yaani shaitan*+ ko mita de, jiske paas maar daalne ki taakat hai+
15 aur un sabko aazad kare jo maut ke dar se poori zindagi gulami mein pade the.+
16 woh asal mein swargdooton ki nahin balki abraham ke vansh* ki madad kar raha hai.+
17 iseeliye zaroori tha ki woh har maayne mein apne bhaaiyon jaisa bane+ taaki woh parmeshvar se judi baaton mein ek dayalu aur vishvasyogya mahayajak ban sake aur logon ke paapon ke liye+ sulah karanevala balidan chadhaye.*+
18 usne khud bhi us vakt bahot dukh uthaya tha jab uski pareeksha li jaa rahi thi,+ isliye ab woh un logon ki madad karne ke kaabil hai jinki pareeksha li jaa rahi hai.+