ibraniyon ke naam chitthi 4:1-16

  • parmeshvar ke vishram mein daakhil na hona, ek khatra (1-10)

  • uske vishram mein daakhil hone ka badhava (11-13)

    • parmeshvar ka vachan jeevit hai (12)

  • yeeshu mahan mahayajak (14-16)

4  isliye jabki parmeshvar ke vishram mein daakhil hone ka vaada ab tak bana hua hai, to aao hum khabardar rahein ki hammein se koi bhi is vishram mein daakhil hone ke ayogya na thahre.+  kyonki hamein bhi khushkhabri sunayi gayi hai,+ theek jaise unhein sunayi gayi thi. magar jo vachan unhonne suna usse unhein kuch faayda nahin hua, kyonki unmein un logon jaisa vishvas nahin tha jinhonne suna tha.  magar hamne vishvas kiya hai aur vishram mein daakhil hote hain. jahaan tak unki baat hai, usne unke baare mein kaha hai, “isliye mainne krodh mein aakaar shapath khaayi, ‘ye mere vishram mein daakhil na honge.’”+ jabki woh khud apna kaam poora karne ke baad duniya ki shurooat se vishram kar raha hai.+  ek jagah usne saatvein din ke baare mein kaha, “saatvein din parmeshvar ne apne sab kaamon se vishram kiya.”+  aur fir yahaan usne kaha, “ye mere vishram mein daakhil na honge.”+  to fir kuch logon ka is vishram mein daakhil hona baaki hai aur jin logon ko pehale khushkhabri sunayi gayi thi, woh aagya na maanne ki vajah se usmein daakhil nahin huye.+  isliye ek lambe samay baad woh daavid ke bhajan mein kisi din ko “aaj ka din” kehta hai, theek jaisa ki is chitthi mein pehale kaha gaya hai, “aaj agar tum uski aavaz suno, to apna dil kathor mat kar lena.”+  agar yahoshoo+ unhein vishram ki jagah le jaa chuka hota, to parmeshvar baad mein ek aur din ki baat nahin karta.  to iska matlab parmeshvar ke logon ke liye sabt ka vishram baaki hai.+ 10  kyonki jo insan parmeshvar ke vishram mein daakhil hua hai, usne bhi apne kaamon se vishram kiya hai, theek jaise parmeshvar ne kiya tha.+ 11  isliye aao hum us vishram mein daakhil hone ke liye apna bharsak karein taaki hammein se koi bhi un logon ki tarah aagya todne ke dharre mein na pad jaaye.+ 12  kyonki parmeshvar ka vachan jeevit hai aur zabardast taakat rakhta hai+ aur donon taraf tez dhaar rakhnevali talvar se bhi zyada dhaardar hai.+ yah insan ke baahri roop* ko uske andar ke insan* se alag karta hai aur haddiyon* ko goode tak aar-paar cheerkar alag kar deta hai aur dil ke vicharon aur iradon ko jaanch sakta hai. 13  srishti mein aisi ek bhi cheez nahin jo parmeshvar ki nazar se chhipi ho+ balki hamein jisko hisab dena hai uski aankhon ke saamne saari cheezen khuli aur beparda hain.+ 14  isliye jab hamara aisa mahan mahayajak hai yaani parmeshvar ka beta yeeshu jo swarg mein daakhil hua hai,+ to aao hum uske baare mein sareaam ailan karte rahein.+ 15  kyonki hamara mahayajak aisa nahin jo hamari kamzoriyon mein hamse hamdardi na rakh sake.+ magar woh aisa hai jo hamari tarah sab baaton mein parkha gaya, fir bhi woh nishpap nikala.+ 16  isliye aao hum parmeshvar ki maha-kripa ki raajgaddi ke saamne bejhijhak bolne ki himmat ke saath jaayen+ taaki hum sahi vakt par madad paane ke liye uski daya aur maha-kripa paa sakein.

kai footnote

shabdavli mein “jeevan” dekhein.
shabdavli mein “ruakh; nafma” dekhein.
shaa., “jodon.”