ibraniyon ke naam chitthi 6:1-20
6 jab hum maseeh ke baare mein buniyadi shikshaon se aage badh chuke hain,+ to aao hum poora zor lagakar praudhta ke lakshya ki taraf badhte jaayen.+ hum fir se buniyad na daalein yaani hum dobara vahi baatein na seekhte rahein jinse hamne shurooat ki thi. jaise bekar ke kaamon* se firkar pashchatap karna, parmeshvar par vishvas karna,
2 baptismon ki shiksha, haath rakhne,+ mare huon ke zinda hone+ aur hamesha ke nyay ki shiksha.
3 aur agar parmeshvar ijazat de to hum zaroor praudhta ke lakshya tak badhte jaayenge.
4 jo log ek baar gyaan ki raushni paa chuke hain+ aur jinhonne swarg se milnevale muft vardan ka swad chakha hai aur jo pavitra shakti ke bhaageedar ban chuke hain
5 aur jinhonne parmeshvar ke badhiya vachan ka aur aanevale zamane* ki shaktishali cheezon ka swad liya hai
6 magar ab gir gaye hain aur door jaa chuke hain,+ unhein pashchatap karne ke liye vaapas laana naamumkin hai. kyonki woh khud parmeshvar ke bete ko ek baar fir kaath par thonk dete hain aur sabke saamne use sharminda karte hain.+
7 jab parmeshvar ki aasheesh se zameen par baar-baar baarish hoti hai to woh paani ko sokh leti hai aur saag-sabzee upjati hai jisse jotnevalon ko faayda hota hai.
8 lekin agar woh kaante aur kanteeli jhaadiyaan ugaye, to use bekar chhod diya jaata hai aur use bahot jald shaap diya jaayega aur aakhir mein jala diya jaayega.
9 haalanki hum is tarah baat kar rahe hain lekin pyare bhaaiyo, hamein yakeen hai ki tum behtar haalaat mein ho yaani aisi raah par ho jisse tum uddhaar paa sakte ho.
10 kyonki parmeshvar anyayi nahin ki tumhare kaam aur us pyar ko bhool jaaye jo tumhein uske naam ke liye hai,+ yaani kaise tumne pavitra janon ki seva ki hai aur ab bhi kar rahe ho.
11 magar hum chahte hain ki tummein se har koi isi tarah mehnat karta rahe taaki aakhir tak tumhein apni aasha ke poora hone ka pakka bharosa rahe+
12 jisse ki tum aalsi na ho jaao,+ magar un logon ki misal par chalo jo vishvas aur sabraa rakhne ki vajah se vaadon ke vaaris bante hain.
13 jab parmeshvar ne abraham se vaada kiya to usne khud apni shapath khaayi, kyonki parmeshvar se bada koi nahin jiski woh shapath khaata. usne apni shapath khaakaar+
14 kaha, “main tujhe zaroor aasheesh doonga aur tujhe kai guna badhaunga.”+
15 is tarah jab abraham ne sabraa rakha, to usse vaada kiya gaya.
16 insan apne se kisi bade ki shapath khaate hain aur unki shapath har vivad ka ant hoti hai, kyonki shapath is baat ko pukhta karti hai ki unka vaada sachcha hai.*+
17 usi tarah jab parmeshvar ne faisla kiya ki woh vaade ke vaarison par saaf zahir karega+ ki uska maksad* nahin badal sakta, to usne shapath khaakaar apne vaade ko pukhta kiya*
18 taaki in do atal baaton ke zariye jinke baare mein parmeshvar ka jhooth bolna naamumkin hai+ hamein yaani hum jo bhaagkar parmeshvar ki sharan mein aaye hain, aisa zabardast hausla mile ki hum us aasha par pakad haasil kar sakein jo hamare saamne rakhi hai.
19 yah aasha+ hamari zindagi ke liye ek langar hai, jo pakki aur mazboot hai. aur yah aasha hamein parde ke us paar le jaati hai,+
20 jahaan hamara aguva yeeshu hamari khaatir daakhil ho chuka hai.+ woh hamesha ke liye ek mahayajak bana taaki woh melkeesedek jaisa yaajak ho.+
kai footnote
^ shaa., “mare huye kaamon.”
^ ya “shapath unke liye ek kaanooni gaaranti hai.”
^ ya “marzee.”
^ ya “shapath khaakaar gaaranti di.” shaa., “bichvai ka kaam kiya.”