ibraniyon ke naam chitthi 9:1-28
9 us pehale karar mein pavitra seva ke liye kaanooni maangein hua karti thi aur dharti par ek pavitra jagah bhi thi.+
2 is tamboo ka jo pehala bhaag banaya gaya tha aur jismein deevat,+ mez aur chadhave ki rotiyaan*+ rakhi gayi thi, woh pavitra jagah+ kehlata hai.
3 magar doosre parde+ ke peechhe param-pavitra + kehlanevala bhaag tha.
4 is bhaag mein sone ka ek dhoopdan+ aur karar ka woh sandook+ tha jo poora-ka-poora sone se madha hua tha.+ sandook ke andar sone ka woh martaban tha jismein manna+ tha aur haaroon ki woh chhadi thi jismein kaliyaan nikaal aayi thi+ aur karar ki patiyayen+ thi.
5 is sandook ke oopar shaandar karoob bane the, jo prayashchit ke dhakne* par chhaaya kiye huye the.+ magar abhi in sab cheezon ka byaura nahin diya jaa sakta.
6 jab ye saari cheezen is tarah bana di gayin, to yaajak pavitra seva ke kaam karne ke liye pehale bhaag mein niyamit taur par jaaya karte the.+
7 magar doosre bhaag mein sirf mahayajak jaata tha aur woh bhi saal mein sirf ek baar.+ lekin woh us khoon ke bina nahin jaata tha,+ jo woh khud apne paapon ke liye+ aur logon ke anjane mein kiye paapon ke liye chadhata tha.+
8 is tarah pavitra shakti saaf dikhati hai ki pavitra jagah* mein jaane ka raasta tab tak nahin khola gaya jab tak pehala tamboo* khada raha.+
9 yah tamboo aaj ke samay ke liye ek namoona hai+ aur is intazam ke mutabik bheint aur balidan chadhaye jaate hain.+ magar ye balidan aur bheint pavitra seva karnevale insan ko poori tarah se shuddh zameer nahin de sakte.+
10 ye bheint aur balidan sirf khaan-paan aur shuddhikaran ki alag-alag vidhiyon* se jude hain.+ ye shareer ke baare mein kaanooni maangein thi+ aur ye tab tak ke liye laagoo honi thi, jab tak ki sab baaton ke sudhaar ka vakt nahin aa jaata.
11 lekin jab maseeh mahayajak bankar aaya ki hamare liye woh badhiya aasheeshein laaye jo hamein mil chuki hain, to woh aise tamboo mein daakhil hua jo aur bhi shreshth aur paripoorna hai. yah tamboo insan ke haath ka banaya hua nahin hai yaani is dharti ki srishti ka hissa nahin hai.
12 woh bakron aur bailon ka khoon lekar nahin balki khud apna khoon lekar, hamesha-hamesha ke liye ek hi baar pavitra jagah mein daakhil hua+ aur hamein sada ke liye chhutkara dilaya.*+
13 agar bakron aur bailon ke khoon se+ aur dooshit logon par kalor* ki raakh chhidakne se unka shareer parmeshvar ki nazar mein shuddh thaharta hai,+
14 to fir maseeh ka khoon,+ jisne sada tak kaayam rehnevali pavitra shakti ke zariye khud ko ek nirdosh balidan ke taur par parmeshvar ke saamne arpit kiya, hamare zameer ko bekar ke kaamon* se aur kitna zyada shuddh kar sakta hai+ taaki hum jeevit parmeshvar ki pavitra seva kar sakein!+
15 isi vajah se woh ek naye karar ka bichvai hai+ taaki jo bulaye gaye hain woh sada tak kaayam rehnevali virasat ka vaada paa sakein.+ yah sab uski maut ki vajah se mumkin hua hai, jo firauti dekar unhein un paapon se chhutkara dilati hai+ jo unhonne pehale karar ke adheen rehte vakt kiye the.
16 jab koi karar kiya jaata hai, to karar karnevale insan ki maut hona zaroori hai.
17 kyonki ek karar tab jaakaar hi laagoo hota hai jab karar karnevale ki maut hoti hai. jab tak woh insan zinda hai tab tak woh karar laagoo nahin ho sakta.
18 isi vajah se pehala karar bhi khoon ke aadhar par hi pakka kiya gaya tha.
19 jab moosa ne sab logon ke saamne kaanoon ki har aagya padhkar sunayi, to usne bailon aur bakron ke khoon ke saath paani liya aur surkh laal oon aur maruye se karar ki kitab* par aur sab logon par chhidka
20 aur kaha, “yah khoon us karar ko pakka karta hai jise maanne ki aagya parmeshvar ne tum sabko di hai.”+
21 usne tamboo aur pavitra seva* mein istemal honevale sabhi baratnon par bhi isi tarah khoon chhidka.+
22 haan, kaanoon ke mutabik kareeb-kareeb saari cheezen khoon se shuddh ki jaati hain.+ aur jab tak khoon nahin bahaya jaata tab tak hargiz maafi nahin milti.+
23 isliye yah zaroori tha ki swarg ki cheezon ke ye namoone+ jaanvaron ke khoon se shuddh kiye jaayen,+ magar swarg ki cheezen aise balidanon se shuddh ki jaayen jo jaanvaron ke balidanon se kahin badhkar hon.
24 kyonki maseeh, insan ke haath ki banayi kisi pavitra jagah mein daakhil nahin hua+ jo asal ki bas ek nakaal hai,+ balki woh swarg hi mein daakhil hua+ isliye ab woh hamari khaatir parmeshvar ke saamne* haazir hai.+
25 maseeh baar-baar apna balidan nahin chadhayega, jaise mahayajak saal-dar-saal jaanvaron ka khoon lekar pavitra jagah mein daakhil hota tha.+
26 agar maseeh ko baar-baar apna balidan chadhana hota, to use duniya ki shurooat se kitni hi baar dukh uthana padta. magar ab usne duniya ki vyavasthaon* ke aakhiri vakt mein ek hi baar hamesha ke liye khud ko zahir kiya hai taaki apna balidan dekar paap mita de.+
27 aur jaisa insanon ke liye ek baar marna tay hai, magar iske baad unka nyay hoga.
28 usi tarah, maseeh bhi bahoton ka paap uthane ke liye ek hi baar hamesha ke liye balidan kiya gaya.+ aur jab woh doosri baar aayega, to paap mitane* ke liye nahin aayega aur use woh log dekheinge jo uddhaar paane ke liye badi betabi se uska intazar kar rahe hain.+
kai footnote
^ ya “nazrane ki roti.”
^ ya “prayashchit ki jagah.”
^ zahir hai ki yah pavitra jagah swarg mein hai.
^ woh tamboo jo dharti par tha.
^ shaa., “baptismon.”
^ shaa., “firauti dekar chhudaya.”
^ ya “gaay.”
^ shaa., “mare huye kaamon.”
^ ya “ke kharre.”
^ ya “jan-seva.”
^ shaa., “ke mukh ke saamne.”
^ ya “paap se nipatne.”