jakaryah 1:1-21

  • yahova ka bulava (1-6)

    • “mere paas laut aao! tab main tumhare paas laut aaunga” (3)

  • pehla darshan: meinhadi ke pedon mein ghudsavar (7-17)

    • “yahova fir se siyyon ko dilasa dega” (17)

  • doosra darshan: 4 sing, 4 kaareegar (18-21)

1  daara ke raaj ke doosre saal ke aathvein maheene mein,+ berekyah ke bete aur iddo ke pote bhavishyavakta jakaryah* ke paas yahova ka yah sandesh pahuncha:+  “yahova ka krodh tumhare purkhon par bhadka tha.+  unse keh, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main senaon ka parmeshvar yahova hoon, mere paas laut aao! tab main tumhare paas laut aaunga.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.’  ‘apne purkhon ke samaan mat bano, jinhein pehale ke bhavishyavaktaon ne kaha tha, “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘apni buri raahein aur bure kaam chhod do aur mere paas laut aao!’”’+ yahova kehta hai, ‘lekin unhonne meri ek na suni, mujh par koi dhyan nahin diya.’+  ‘aaj tumhare purkhe kahaan hain? aur kya woh bhavishyavakta ab tak zinda hain?  magar mainne apne sevkon ko, apne bhavishyavaktaon ko jo aadesh aur sandesh sunane ko kaha tha, uska kya hua? kya woh tumhare purkhon par poora nahin hua?’+ isliye woh mere paas laut aaye aur unhonne kaha, ‘hamne jo kaam kiye, jo raah apnayi, hamein usi ka sila mila hai. senaon ke parmeshvar yahova ne hamare saath vahi kiya jo usne thaana tha.’”+  daara ke raaj ke doosre saal mein,+ shabaat* naam ke 11vein maheene ke 24vein din yahova ka yah sandesh berekyah ke bete aur iddo ke pote bhavishyavakta jakaryah ke paas pahuncha:  “raat ko mujhe ek darshan mila. mainne dekha ki ek aadmi laal ghode par aa raha hai. woh aakaar tang ghaati mein meinhadi ke pedon ke beech khada ho gaya. uske peechhe laal, bhoore aur safed rang ke ghode the.”  tab mainne poochha, “hey prabhu, ye kaun hain?” jo swargdoot mujhse baat kar raha tha usne kaha, “main tujhe bataunga ki ye kaun hain.” 10  tab jo aadmi meinhadi ke pedon ke beech khada tha usne kaha, “inhein yahova ne bheja hai ki woh dharti ka chakkar lagakar aayen.” 11  unhonne yahova ke swargdoot se jo meinhadi ke pedon ke beech khada tha kaha, “hum prithvi ka chakkar lagakar aaye hain aur dekh! poori prithvi shaant hai, vahaan koi khalbali nahin.”+ 12  tab yahova ke swargdoot ne kaha, “hey senaon ke parmeshvar yahova, tu yahooda ke shehron aur yarooshalem par 70 saal tak krodhit raha,+ ab aur kab tak tu un par daya nahin karega?”+ 13  jo swargdoot mujhse baat kar raha tha, yahova ne bade pyar se use javab diya aur dilasa diya. 14  tab jo swargdoot mujhse baat kar raha tha usne mujhse kaha, “ailan kar, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai ki main yarooshalem aur siyyon ke liye bechain ho utha hoon, andar-hi-andar tadap raha hoon.+ 15  main un raashtron se bahot krodhit hoon jo chain se ji rahe hain.+ kyonki mainne apne logon ko thodi-si saza deni chahi,+ magar unhonne mere logon ko poori tarah tabah kar diya.’+ 16  isliye yahova kehta hai, ‘“main daya karne ke liye yarooshalem lautoonga+ aur apne bhavan ko dobara khada karoonga.+ yarooshalem nagri ko khada karne ke liye use naapne ki dori se naapa jaayega.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.’ 17  ek baar fir ailan kar, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “mere shehar ek baar fir khushhali* se bhar jaayenge. yahova fir se siyyon ko dilasa dega+ aur yarooshalem ko chun lega.”’”+ 18  fir mainne nazar uthayi aur mujhe chaar sing dikhayi diye.+ 19  mainne us swargdoot se jo mujhse baat kar raha tha poochha, “ye kya hain?” usne kaha, “ye woh sing hain jinhonne yahooda, israel aur yarooshalem ko titar-bitar kiya tha.”+ 20  iske baad yahova ne mujhe chaar kaareegar dikhaye. 21  mainne poochha, “ye kya karne aa rahe hain?” usne kaha, “un singon ne yahooda ko is had tak titar-bitar kiya tha ki koi sir nahin utha saka. ye kaareegar unmein aatank failane aa rahe hain. ye un singon ko tod deinge, jo raashtron ne yahooda desh ko titar-bitar karne ke liye uthaye the.”

kai footnote

matlab “yahova ne yaad kiya hai.”
ati. kh15 dekhein.
shaa., “bhalai” jo parmeshvar ki taraf se hai.