jakaryah 10:1-12

  • yahova se baarish maango, jhoothe ishvaron se nahin (1, 2)

  • yahova apne logon ko ek karta hai (3-12)

    • yahooda ke gharane se ek aguva niklega (3, 4)

10  “vasant ki baarish ke vakt yahova se baarish maango, kyonki kaale baadlon ko yahova hi banata hai,vahi logon ke liye paani barsata hai+aur har kisi ke khet mein hariyali upjata hai.   magar kul devtaon* ki baatein dhokha* hainaur jyotishi jhoothe darshan dekhte hain,woh jhoothe sapne sunate hainaur vyarth ka dilasa dete hain. isliye log bhed ke samaan bhatak jaayenge,woh dukh uthayenge kyonki unka koi charvaha nahin.   charvahon par mera krodh bhadak utha hai,main zalim aguvon* se hisab loonga,kyonki senaon ke parmeshvar yahova ne apne jhund par, yahooda ke gharane par dhyan diya hai+aur use aisi shaan di hai jaisi uske jangi ghode ki hai.   usmein se* ek aguva* niklega,usmein se madad dene ke liye ek shaasak* aayega,usmein se yuddh ka dhanush niklega,usmein se aanevala harek jan nigrani karega,ye sab ek-saath nikleinge.   woh aise yoddhaon ki tarah honge,jo yuddh ke samay sadak ki mitti ko raundte hain. woh ladeinge kyonki yahova unke saath hoga,+ dushmanon ke ghudsavaar sharminda kiye jaayenge.+   main yahooda ke gharane ko shaktishali banaungaaur yoosuf ke gharane ko bachaunga.+ main un par daya karoonga aur unhein bahaal karoonga.+ tab woh aise ho jaayenge jaise mainne unhein thukraya hi na ho.+ main unka parmeshvar yahova hoon aur main unki binti sunoonga.   epraim ke log shaktishali yoddha ki tarah ho jaayenge,unka man khush hoga, jaise daakh-madira peene par hota hai,+ yah dekhkar unke bete foole na samayenge,yahova ke kaaran unka man khushi se bhar jaayega.+   ‘main seeti bajakar unhein bulaunga aur ikattha karoonga,main unhein chhudaunga+ aur unki ginti beshumar ho jaayegiaur aage bhi beshumar rahegi.   bhale hi main unhein beej ki tarah desh-desh ke logon mein chhitra doonga,magar woh door-door ke un ilakon mein bhi mujhe yaad kareinge,woh aur unke bete umang se bharkar laut aayenge. 10  main misra se unhein vaapas laaunga,ashshoor se unhein ikattha karoonga.+main unhein gilad aur labanon ke desh tak le aaunga,+kyonki un sabke liye rehne ki jagah kaafi nahin hogi.+ 11  jab saagar unka raasta rokega,to main usmein se hokar jaaunga aur uski lehron ko daba doonga.+ jab neel nadi raasta roke khadi hogi, to main uska paani sukha doonga. ashshoor ka ghamand tod diya jaayegaaur misra ka raajdand usse le liya jaayega.+ 12  main yahova, unhein shaktishali banaunga+aur woh mera naam lekar chaleinge.’+ yah baat yahova ne kahi hai.”

kai footnote

ya “moorton.”
ya “jaadoo-tone ki; rehasyamay.”
shaa., “bakron.”
yaani yahooda mein se.
shaa., “kone ki meenar,” yah ek khaas aadmi ko darshati hai; ek pradhan.
shaa., “khoonti,” yah ek aadmi ko darshati hai jo sahara hai; ek shaasak.