jakaryah 13:1-9

  • moorton aur jhoothe bhavishyavaktaon ko nikaalna (1-6)

    • jhoothe bhavishyavakta sharminda (4-6)

  • charvahe ko maara jaayega (7-9)

    • ek-tihai log shuddh kiye jaayenge (9)

13  us din daavid ke gharane aur yarooshalem ke nivasiyon ke liye ek kuaan khoda jaayega ki woh apne paap dhoyen aur apni ashuddhta door karein.”+  senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “us din main desh mein se moorton ka naamo-nishan mita doonga+ aur unhein fir koi yaad nahin karega. main bhavishyavaktaon ko aur dusht shakti ko desh mein se nikaal doonga.+  agar koi aadmi fir bhi bhavishyavani kare, to uske maata-pita jinhonne use janm diya hai kaheinge, ‘tu zinda nahin bachega kyonki toone yahova ke naam se jhoothi baatein kahi hain.’ aur bhavishyavani karne ke liye uske maata-pita jinhonne use janm diya hai, use bhedkar maar daaleinge.+  us din bhavishyavani karte vakt, har bhavishyavakta ko apna darshan batane mein sharm aayegi. woh apni poshak,* us royendar kapde ko pehanna chhod dega,+ jise pehankar woh logon ko dhokha deta tha.  woh kahega, ‘main koi bhavishyavakta nahin. main to bachpan se hi ek aadmi ke yahaan gulam hoon aur kheti-baadi karta hoon.’  aur agar koi usse poochhe, ‘tere shareer par* ye ghaav kaise?’ to woh kahega, ‘ye ghaav mujhe apne doston* ke ghar par mile hain.’”   senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai,“hey talvar, mere charvahe ke khilaf uth,+us aadmi ke khilaf jo mera saathi hai. charvahe ko maar+ aur jhund* ko titar-bitar hone de.+ main apna haath maamooli logon par uthaunga.”   yahova ailan karta hai, “poore desh mein jitne log hain,unmein se do-tihai ko kaat diya jaayega, woh khatm ho jaayengeaur ek-tihai ko chhod diya jaayega.   main un ek-tihai logon ko aag mein tapaunga,unhein chaandi ke samaan shuddh karoonga,sone ke samaan parkhoonga.+ woh mera naam lekar mujhe pukareingeaur main unki sunoonga. main kahoonga, ‘woh mere log hain’+ aur woh kaheinge, ‘yahova hamara parmeshvar hai.’”

kai footnote

ya “bhavishyavakta ki poshak.”
shaa., “tere haathon ke beech” yaani chhaati ya peeth par.
ya “azeejon.”
ya “bhedon.”