jakaryah 14:1-21

  • sachchi upasna ki badi jeet (1-21)

    • jaitoon pahad ka do hisson mein batna (4)

    • yahova ek hoga aur uska naam bhi ek hoga (9)

    • yarooshalem ke dushmanon par mahamari (12-15)

    • chhapparon ka tyohar manana (16-19)

    • har handa yahova ke liye pavitra (20, 21)

14  “dekh! yahova ka woh din aa raha hai, jab tera* maal lootkar tere hi saamne baant liya jaayega.  main sabhi raashtron ko yarooshalem se yuddh karne ke liye ikattha karoonga. shehar par kabza kar liya jaayega, gharon ko loot liya jaayega aur aurton ka balatkar kiya jaayega. aadha shehar bandhuai mein chala jaayega, magar bache huye log shehar se nahin le jaaye jaayenge.  yahova un raashtron se ladne aayega aur jaise woh yuddh ke din ladta hai+ vaise hi unse ladega.+  us din woh jaitoon pahad+ par khada hoga, jo yarooshalem ke poorab mein hai. jaitoon pahad poorab se lekar pashchim* tak fatkaar do hisson mein bat jaayega. aadha pahad uttar ki taraf aur aadha dakshin ki taraf khisak jaayega. aur unke beech ek gehri ghaati ban jaayegi.  mere pahadon ke beech bani us ghaati mein tum bhaagkar panah loge kyonki woh ghaati aasel tak pahunchegi. tumhein bhaagna hoga theek jaise tum yahooda ke raja ujjiyah ke dinon mein bhookamp aane par bhaage the.+ parmeshvar yahova aayega aur uske sang saare pavitra jan bhi aayenge.+  us din jagmagati raushni nahin hogi.+ cheezen jam jaayengi.  tab na din hoga na raat hogi aur shaam ko ujala rahega. woh din yahova ka din kehlayega.+  us din yarooshalem se jeevan denevala paani+ niklega.+ unmein se aadha paani poorvi saagar* ki taraf+ aur aadha pashchimi saagar* ki taraf bahega.+ garmiyon mein aur sardiyon mein bhi yah behta rahega.  tab yahova poori dharti ka raja hoga.+ us din yahova ek hoga+ aur uska naam bhi ek hoga.+ 10  geba+ se lekar yarooshalem ke dakshin mein rimmon+ tak poora desh, arba+ ke samaan ho jaayega. magar yarooshalem nagri apni jagah par bahaal hogi.+ woh binyameen faatak+ se lekar ‘pehale faatak’ tak, ‘pehale faatak’ se lekar ‘konevale faatak’ tak aur hannel meenar+ se lekar raja ke angooron ke haud tak aabad hogi. 11  usmein logon ka basera hoga. yarooshalem ko fir kabhi naash ke laayak nahin thehraya jaayega+ aur sab usmein chain se raheinge.+ 12  desh-desh ke jo log yarooshalem se yuddh karte hain, un par yahova mahamari laayega.+ khade-khade unka shareer gal jaayega, unki aankhein apne gaddhon mein sad jaayengi aur unki jeebh unke munh mein sad jaayegi. 13  us din yahova unke beech gadbadi failayega aur har koi apne saathi ko dhar-dabochega aur us par haath uthayega.+ 14  yahooda, yarooshalem ke saath milkar yuddh karega. aur aas-paas ke sab raashtron ki daulat, dher saara sona-chaandi aur kapde batore jaayenge.+ 15  us mahamari ke samaan ek aur mahamari unki chhaavni mein ghodon, khachcharon, unton, gadhon aur saare maveshiyon par aayegi. 16  yarooshalem se yuddh karnevale sab raashtron mein se jo-jo bach jaayenge, woh har saal raja ko, senaon ke parmeshvar yahova ko dandvat* karne aayenge+ aur chhapparon ka tyohar manayenge.+ 17  lekin agar dharti ke parivaron mein se koi raja ko, senaon ke parmeshvar yahova ko dandvat karne oopar yarooshalem ko nahin aayega, to uske yahaan baarish nahin hogi.+ 18  agar misra ke log nahin aayenge aur aakaar use dandvat nahin kareinge, to unke yahaan bhi baarish nahin hogi. iske bajay, yahova un par woh mahamari laayega jo woh chhapparon ka tyohar na mananevale raashtron par laata hai. 19  misra aur sab raashtron mein se jo chhapparon ka tyohar manane nahin aayenge, unhein apne paap ki yahi saza milegi. 20  us din ghodon ki ghantiyon par ye shabd likhe honge, ‘yahova pavitra hai.’+ yahova ke bhavan ke hande,*+ un katoron+ jaise thehreinge jo vedi ke saamne rakhe jaate hain. 21  yarooshalem aur yahooda mein jitne bhi hande* hain, woh pavitra thehreinge aur senaon ke parmeshvar yahova ko arpit honge. balidan chadhanevale sab log aakaar inmein se kuch handon mein gosht ubaaleinge. us din senaon ke parmeshvar yahova ke bhavan mein ek bhi kanaani* nahin rahega.”+

kai footnote

yaani aay. 2 mein bataya shehar.
shaa., “saagar.”
yaani bhoomadhya saagar.
yaani mrit saagar.
ya “ki upasna.”
ya “chaude munhvale hande.”
ya “chaude munhvale hande.”
ya shaayad, “len-den karnevala.”