jakaryah 2:1-13

  • teesra darshan: ek aadmi naapne ki dori liye huye (1-13)

    • yarooshalem naapa jaayega (2)

    • yahova “chaaron taraf aag ki deevar” hai (5)

    • parmeshvar ki aankh ki putli chhoona (8)

    • kai raashtra yahova se jud jaayenge (11)

2  fir mainne nazar uthayi aur dekha, ek aadmi haath mein naapne ki dori liye hai.+  mainne poochha, “tu kahaan jaa raha hai?” usne kaha, “main yarooshalem ki lambai-chaudai naapne jaa raha hoon.”+  fir mainne dekha, jo swargdoot mujhse baat kar raha tha woh chala gaya aur ek doosra swargdoot usse milne aaya.  us swargdoot ne usse kaha, “daudkar us javan aadmi ke paas jaa aur use bata, ‘yarooshalem ek khuli basti* ki tarah aabad hogi+ kyonki usmein aadmiyon aur maveshiyon ki ginti badhti jaayegi.’+  yahova ailan karta hai, ‘main uske chaaron taraf aag ki deevar bankar rahoonga+ aur use apni mahima se bhar doonga.’”+  yahova ailan karta hai, “bhaag aao! bhaag aao! uttar ke desh se nikaal aao!”+ yahova kehta hai, “mainne tumhein chaaron dishaon mein* titar-bitar kar diya hai.”+  “hey siyyon, nikaal aa! tu jo baibilon ki beti ke sang rehti hai, bhaag aa!+  senaon ke parmeshvar yahova ne mahima paane ke baad, mujhe un raashtron ke paas bheja hai jinhonne tumhein loota tha.+ woh kehta hai, ‘jo tumhein chhoota hai woh meri aankh ki putli ko chhoota hai.+  main apna haath unke khilaf uthaunga aur woh apne hi gulamon ke liye loot ka maal ban jaayenge.’+ aur tum jaan loge ki senaon ke parmeshvar yahova ne mujhe bheja hai.” 10  yahova ailan karta hai, “hey siyyon ki beti, khushi se chilla!+ kyonki main aa raha hoon+ aur main tere beech rahoonga.+ 11  us din kai raashtra mujh yahova ke saath jud jaayenge+ aur mere log ban jaayenge aur main tere beech rahoonga.” aur tu jaan legi ki senaon ke parmeshvar yahova ne mujhe tere paas bheja hai. 12  yahova pavitra zameen par yahooda ko apna hissa maankar us par adhikar kar lega aur yarooshalem ko fir se chun lega.+ 13  har insan yahova ke saamne chup rahe kyonki woh kadam uthane ke liye apne pavitra nivas se aa raha hai.

kai footnote

yaani uske chaaron taraf sheharpanah nahin hogi.
shaa., “aakash ki chaaron havaon ki tarah.”