jakaryah 3:1-10

  • chautha darshan: mahayajak yahoshoo ke kapde badle gaye (1-10)

    • shaitan uska virodh karta hai (1)

    • ‘main apne sevak ankur ko laaunga’ (8)

3  fir usne mujhe mahayajak yahoshoo+ dikhaya, jo yahova ke swargdoot ke saamne khada hai. aur yahoshoo ke daayin taraf shaitan+ uska virodh karne ke liye khada hai.  yahova ke swargdoot ne shaitan se kaha, “hey shaitan, yahova tujhe daante!+ haan, yahova jisne yarooshalem ko chuna hai,+ vahi tujhe daante. kya yah aadmi jalte huye latthe jaisa nahin jise aag se nikaala gaya ho?”  yahoshoo maile kapdon mein swargdoot ke saamne khada tha.  swargdoot ne unse jo uske saamne khade the kaha, “uske maile kapde utaar do.” fir usne yahoshoo se kaha, “dekh, mainne tera gunah* door kar diya hai. ab tujhe badhiya kapde pehnaye jaayenge.”+  tab mainne kaha, “use saaf pagdi pehnayi jaaye.”+ unhonne uske sir par saaf pagdi rakhi aur use badhiya kapde pehnaye. us vakt yahova ka swargdoot paas hi khada tha.  fir yahova ke swargdoot ne yahoshoo se kaha,  “senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘agar tu meri raahon par chale aur mere saamne apni zimmedariyaan poori kare, to tu mere ghar mein nyayi bankar seva karega+ aur mere aanganon ki dekhbhal* karega. aur jo yahaan khade hain unke saath tu bhi mere saamne aaya-jaaya karega.’  ‘hey mahayajak yahoshoo, tu aur tere saathi jo tere saamne baithte hain, tum log bhavishya ke liye ek nishani ho. meharbani karke meri baat par dhyan do: dekho! main apne sevak ko laa raha hoon,+ jo ankur kehlayega.+  us patthar ko dekho, jise mainne yahoshoo ke saamne rakha hai. us ek patthar par saat aankhein lagi hain. main us par khodkar kuch likh raha hoon. main us desh ka gunah ek hi din mein door kar doonga.’ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.+ 10  senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘us din tummein se har koi apne padosi ko bulayega ki woh tumhari angooron ki bel ke neeche aur tumhare anjeer ke ped tale aaye.’”+

kai footnote

ya “dosh.”
ya “rakhvali.”