jakaryah 5:1-11

  • chhatha darshan: udta hua kharra (1-4)

  • saatvaan darshan: epa ka bartan (5-11)

    • usmein baithi aurat dushtata ki nishani (8)

    • bartan shinar le jaaya gaya (9-11)

5  mainne fir oopar nazar uthayi aur kya dekha ki ek kharra ud raha hai.  swargdoot ne mujhse poochha, “tujhe kya dikhayi de raha hai?” mainne kaha, “mujhe ek kharra udta hua dikh raha hai, jiski lambai 20 haath* aur chaudai 10 haath hai.”  fir usne mujhse kaha, “yah shaap poori prithvi par padnevala hai. kyonki chori karnevale+ ko uski saza nahin mili, jabki kharre ke ek taraf likha hai ki chor ko uski saza milni chahiye. aur jhoothi shapath khaanevale+ ko saza nahin mili, jabki kharre ke doosri taraf likha hai ki aison ko saza milni chahiye.  senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, ‘mainne yah shaap bheja hai. yah shaap chor ke ghar jaayega aur us aadmi ke ghar bhi jo mere naam se jhoothi shapath khaata hai. yah unke ghar thehrega aur unke ghar ko lakdiyon aur pattharon samet nasht kar dega.’”  fir jo swargdoot mujhse baat kar raha tha woh aage aaya aur usne kaha, “zara oopar nazar utha aur dekh ki kya jaa raha hai.”  mainne poochha, “yah kya hai?” usne kaha, “yah epa ka bartan* jaa raha hai.” usne yah bhi kaha, “poori prithvi par dusht logon ka yahi roop hai.”  fir mainne dekha ki seese ka gol dhakkan us bartan par se uthaya gaya. uske andar ek aurat baithi thi.  usne kaha, “yah aurat dushtata ki nishani hai.” usne us aurat ko epa ke bartan mein vaapas dhakel diya aur us par seese ka bhaari dhakkan rakh diya.  fir mainne nazar uthayi to kya dekha, do aurtein tezee se udti hui aa rahi hain. unke pankh, laglag pakshi jaise hain. unhonne epa ke bartan ko prithvi aur aakash ke beech utha liya. 10  tab jo swargdoot mujhse baat kar raha tha, usse mainne poochha, “woh epa ka bartan kahaan le jaa rahi hain?” 11  usne kaha, “shinar* desh,+ jahaan woh us aurat ke liye ek ghar banaayengi. aur jab ghar bankar taiyar ho jaayega to woh use vahaan, uski sahi jagah par chhod aayengi.”

kai footnote

ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
shaa., “epa.” yahaan aise bartan ya tokri ki baat ki gayi hai jismein ek epa naapa jaata tha. ek epa 22 l. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
yaani baibiloniya.