jakaryah 6:1-15

  • aathvaan darshan: chaar rath (1-8)

  • woh ankur, raja aur yaajak hoga (9-15)

6  mainne fir nazar uthayi aur kya dekha, do pahadon ke beech se chaar rath aa rahe hain. woh pahad tambe ke hain.  pehale rath mein laal ghode bandhe hain, doosre mein kaale ghode,+  teesre mein safed ghode aur chauthe mein dhabbedar, chitkabrae ghode bandhe hain.+  mainne us swargdoot se jo mujhse baat kar raha tha poochha, “hey prabhu, inka kya matlab hai?”  swargdoot ne kaha, “ye swarg ki chaar senayen hain+ jo poori dharti ke maalik ke saamne khadi thi.+ ye vahin se aa rahi hain.  jis rath mein kaale ghode bandhe hain woh uttar desh ki taraf badh raha hai.+ safed ghode pashchim desh ki taraf* jaa rahe hain aur dhabbedar ghode dakshin desh ki taraf.  ye chitkabrae ghode dharti ka chakkar lagane ke liye bhi betab hain.” tab usne kaha, “jaao dharti ka chakkar lagao.” aur woh dharti ka chakkar lagane nikaal pade.  fir usne mujhe pukarkar kaha, “dekh! jo ghode uttar desh ki taraf gaye the, unke kaaran us desh ke khilaf yahova ka krodh shaant ho gaya hai.”  ek baar fir yahova ka sandesh mere paas pahuncha: 10  “heldai, tobiyah aur yadayah se woh cheezen le le jo bandhuai mein pade logon ne di hain. aur usi din tu sapanyah ke bete yoshiyah ke ghar jaana aur baibilon se aaye in logon ko bhi saath le jaana. 11  tu apne saath sona-chaandi le jaana aur ek taaj* banakar use yahosadak ke bete mahayajak yahoshoo ko pehanna.+ 12  aur usse kehna,‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “yah woh aadmi hai jo ankur kehlayega.+ yah ankur apni jagah se futega aur yahova ka mandir banayega.+ 13  yah vahi hai jo yahova ka mandir khada karega, yah vahi hai jo vaibhav paayega. woh apni raajgaddi par baithkar raaj karega. raja hone ke saath-saath woh yaajak bhi hoga.+ in donon mein* woh badhiya taalmel bithayega. 14  helem,* tobiyah, yadayah+ aur sapanyah ke bete hen* ki yaad mein, woh shaandar taaj yahova ke mandir mein rakha jaayega. 15  door-door se log aayenge aur yahova ke mandir ko banane mein haath batayenge.” yah baat zaroor poori hogi. agar tum apne parmeshvar yahova ki baat maanoge, to tum jaan loge ki senaon ke parmeshvar yahova ne hi mujhe tumhare paas bheja hai.’”

kai footnote

ya “saagar ke paar.”
ya “shaandar taaj.”
yaani raja aur yaajak ki bhoomikaon ke beech.
aay. 10 mein bataya heldai.
mumkin hai ki yah aay. 10 mein bataya yoshiyah ho.