jakaryah 9:1-17

  • padosi raashtron ko parmeshvar ki taraf se saza (1-8)

  • siyyon ke raja ka aana (9, 10)

    • woh namra raja gadhe par savaar hokar aata hai (9)

  • yahova ke log aazad honge (11-17)

9  parmeshvar ki taraf se sandesh: “yahova ne hadrak desh ko saza sunayi hai,damishk uska khaas nishana hai.+ (kyonki yahova ki aankhein israel ke sab gotron ke saath-saath insanon par lagi hain.)+   uske padosi hamat ko bhi saza sunayi gayi hai,+yah sor aur seedon ke liye bhi hai,+kyonki woh khud ko bahot buddhiman samajhte hain.+   sor ne apne liye mazboot gadh* khade kiye hain, dhool ke kanon ke samaan beshumar chaandi jama kar li hai,sadak ki mitti ke samaan sone ka dher laga liya hai.+   dekho! yahova uska khazana usse chheen lega,uski sena ko samundar mein maar daalega,+woh nagri aag mein bhasm ho jaayegi.+   yah dekhkar ashkalon ke hosh ud jaayenge,gaaza dukh ke maare tadap uthegiaur ekron ka bhi vahi haal hoga, kyonki uski aasha toot jaayegi. gaaza se raja ka naamo-nishan mit jaayegaaur ashkalon fir kabhi nahin basegi.+   ashdod mein pardesiyon ki aulad aakaar basera karegi,main palisht ka ghamand tod doonga.+   main khoon se sani cheezen uske munh se hata doonga,ghinauni cheezen uske daanton ke beech se nikaal doonga,uske bache huye log hamare parmeshvar ke ho jaayengeaur yahooda mein shekh* ki tarah raheinge.+ekron ke log yaboosiyon ke jaise ho jaayenge.+   main apne ghar ke baahar tamboo lagakar pehra doonga+taaki koi aa-jaa na sake.fir kabhi koi zalim vahaan se nahin guzrega,+kyonki mainne apni aankhon se yah* dekha hai.   hey siyyon ki beti, khushiyaan mana! hey yarooshalem ki beti, jayjaykar kar! dekh! tera raja tere paas aa raha hai.+ woh nek hai aur uddhaar dilayega,*woh namra hai,+ woh gadhe par savaar hokar aa raha hai,haan, gadhi ke bachche par aa raha hai.+ 10  main epraim se yuddh-rathonaur yarooshalem se ghodon ko le loonga. yuddh ke dhanush chheen liye jaayenge. woh desh-desh mein shaanti ka ailan karega,+uska raaj ek saagar se doosre saagar takaur mahanadi* se dharti ke chhor tak faila hoga.+ 11  hey aurat,* jahaan tak teri baat hai,main tere kaidiyon ko sookhe gaddhe se baahar nikaaloonga.+main tere us karar ki vajah se aisa karoonga, jise khoon se pakka kiya gaya tha. 12  hey aasha rakhnevale kaidiyo, mazboot gadh mein laut aao.+ aaj main tujhse kehta hoon,‘hey aurat, main tujhe dugni aasheesh doonga.+ 13  main yahooda ko apne dhanush ki tarah modoongaaur epraim ko us kaman par taanoonga.* hey siyyon, main tere beton koyoonan ke beton ke khilaf udhaaroonga. main tujhe yoddha ki talvar bana doonga.’ 14  yahova dikha dega ki woh apne logon ke saath hai,uske teer, bijli ki furti se chhooteinge. saare jahan ka maalik yahova, narsinga foonkega+aur dakshin ki aandhi ki tarah dushmanon par toot padega. 15  senaon ka parmeshvar yahova apne logon ki raksha karega,dushman gofan ke pattharon se un par vaar kareinge, magar woh dushmanon ko hara deinge,+ woh khush hokar aise shor machayenge, jaise daakh-madira ke nashe mein hon,woh katore ki tarah bhar jaayenge,vedi ke konon ki tarah bheeg jaayenge.+ 16  us din unka parmeshvar yahova,apne logon ko, apne jhund ko bachayega.+woh mukut mein jade ratnon ki tarah uske desh mein chamkeinge.+ 17  parmeshvar ki bhalai laajavab hai!+ uski shobha bemisal hai! javan, anaj khaakaar faleinge-fooleingeaur kunvariyaan nayi daakh-madira peekar khush hongi.”+

kai footnote

shaa., “suraksha ki dhalan.”
shekh, gotra ka pradhan tha.
zahir hai, uske logon ka dukh.
ya “aur vijayi hai; aur bachaya gaya hai.”
yaani farat nadi.
yaani siyyon ya yarooshalem.
yaani teer ki tarah.