kulussiyon ke naam chitthi 1:1-29

  • namaskar (1, 2)

  • kulussiyon ke vishvas ke liye dhanyavad (3-8)

  • vishvas mein mazboot hone ke liye prarthna (9-12)

  • maseeh ki khaas zimmedari (13-23)

  • mandli ke liye paulus ki kadi mehnat (24-29)

1  main paulus, jo parmeshvar ki marzee se maseeh yeeshu ka preshit hoon aur hamara bhaai timuthiyus,+  kulusse ke pavitra janon ko aur vishvasyogya bhaaiyon ko jo maseeh ke saath ekta mein hain, likh rahe hain. hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.  hum jab bhi tumhare liye prarthna karte hain, to hum parmeshvar ka yaani hamare prabhu yeeshu maseeh ke pita ka hamesha dhanyavad karte hain  kyonki hamne maseeh yeeshu mein tumhare vishvas ke baare mein suna hai aur yah bhi suna hai ki tumhein sabhi pavitra janon se kitna pyar hai.  yah us aasha ki vajah se hai jo swarg mein tumhare liye poori honevali hai.+ is aasha ke baare mein tumne pehale tab suna tha jab tumhein sachchai yaani yah khushkhabri di gayi  jo tum tak aa pahunchi hai. yah khushkhabri saari duniya mein fal laa rahi hai aur badhti jaa rahi hai.+ aur tumhare beech bhi us din se aisa ho raha hai jis din tumne parmeshvar ki sachchi maha-kripa ke baare mein suna tha aur use sahi-sahi jaana tha.  tumne hamare pyare sangi daas ipafras+ se yahi seekha tha, jo hamari taraf se maseeh ka ek vishvasyogya sevak hai.  usi ne hamein bataya ki pavitra shakti ne tummein kaisa pyar paida kiya hai.  isi vajah se hamne bhi jis din tumhare is pyar aur vishvas ke baare mein suna tha, us din se tumhare liye prarthna karna aur yah maangna nahin chhoda+ ki tum saari buddhi aur pavitra shakti se milnevali samajh+ ke saath uski marzee ke baare mein sahi gyaan se bhar jaao+ 10  taaki tumhara chaalchalan aisa ho jaisa yahova* ke sevak ka hona chahiye jisse ki tum use poori tarah khush kar sako. aur tum har bhala kaam karte huye fal paida karte jaao aur parmeshvar ke baare mein sahi gyaan badhate jaao+ 11  aur parmeshvar ki us taakat se jo mahima se bharpoor hai, tum mazboot hote jaao+ taaki khushi se aur sabraa rakhte huye tum dheeraj dhar sako 12  aur pita ka dhanyavad karo jisne tumhein un pavitra janon ke saath virasat mein hissa paane ke yogya banaya hai+ jo raushni mein hain. 13  usne hamein andhkar ke adhikar se chhudaya+ aur apne pyare bete ke raaj mein le aaya, 14  jiske zariye usne firauti dekar hamein chhudaya hai yaani hamein paapon ki maafi di hai.+ 15  woh adrishya parmeshvar ki chhavi hai+ aur saari srishti mein pehalautha hai+ 16  kyonki usi ke zariye swarg mein aur dharti par baaki sab cheezen sirji gayin, jo dikhayi deti hain aur jo dikhayi nahin detin,+ chahe raajgaddiyaan hon ya saamrajya, sarkarein hon ya adhikar. baaki sab cheezen uske zariye aur usi ke liye sirji gayi hain.+ 17  saath hi, woh baaki sab cheezon se pehale tha+ aur usi ke zariye baaki sab cheezen vajood mein laayi gayin 18  aur vahi shareer yaani mandli ka sir hai.+ vahi sab cheezon ki shurooat hai, vahi mare huon mein se zinda honevalon mein pehalautha hai+ taaki woh sab baaton mein pehala thahre 19  kyonki parmeshvar ko yah achha laga ki har tarah ki poornata usi mein nivas kare+ 20  aur usi ke zariye woh apne saath baaki sab cheezon ki sulah karvaye,+ fir chahe woh dharti ki cheezen hon ya swarg ki. parmeshvar ne yah shaanti us khoon ke aadhar par kaayam ki+ jo maseeh ne yaatna ke kaath* par bahaya tha. 21  tum ek vakt par parmeshvar se door the aur uske dushman the kyonki tum dusht kaamon ke baare mein hi sochte the. 22  magar ab parmeshvar ne uski maut ke zariye, jisne apna insani shareer balidan kar diya, tumhare saath sulah ki hai taaki tumhein pavitra , bedag aur nirdosh thehrakar khud ke saamne pesh kar sake.+ 23  magar iske liye zaroori hai ki tum vishvas mein bane raho,+ ninv par kaayam+ aur mazboot raho+ aur us khushkhabri se milnevali aasha ko na chhodo jo tumne suni hai aur jiska prachar poori duniya mein kiya jaa chuka hai.+ main paulus is khushkhabri ka sevak bana hoon.+ 24  main ab tumhari khaatir dukh jhelne mein khushi mana raha hoon+ aur maseeh ke shareer ka hissa hone ke naate woh dukh-takaleefein sah raha hoon jinhein sehna baaki reh gaya hai. yah sab main maseeh ke shareer yaani mandli+ ki khaatir sah raha hoon.+ 25  main parmeshvar se mili prabandhak ki zimmedari+ ke mutabik tumhari khaatir is mandli ka sevak bana hoon ki main parmeshvar ke vachan ka poori tarah prachar karoon, 26  us pavitra rehasya+ ka, jise guzre zamanon* aur pichhli peedhiyon se chhipakar rakha gaya tha.+ magar ab ise parmeshvar ke pavitra janon par prakat kiya gaya hai.+ 27  parmeshvar ko un par yah bhi prakat karna achha laga ki is pavitra rehasya ki shaandar daulat kya hai jo doosre raashtron mein batayi jaa rahi hai.+ yah maseeh hai jo tumhare saath ekta mein hai aur jiske saath tum mahima paane ki aasha rakhte ho.+ 28  hum usi ke baare mein prachar kar rahe hain yaani har kisi ko saari buddhi ke saath sikhate aur samjhate hain taaki hum har kisi ko maseeh ke saath ekta mein ek praudh* insan ke naate parmeshvar ke saamne pesh kar sakein.+ 29  isi kaam ko poora karne ke liye main kadi mehnat karte huye sangharsh kar raha hoon aur yah main us shakti se kar raha hoon jo mere andar zabardast tareeke se kaam kar rahi hai.+

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
shabdavli dekhein.
ya “guzri duniya ki vyavasthaon.” shabdavli dekhein.
ya “sayane aur samajhdar.”