kulussiyon ke naam chitthi 2:1-23

  • parmeshvar ka pavitra rehasya, maseeh (1-5)

  • chhalnevalon se khabardar (6-15)

  • hakeekat maseeh ki hai (16-23)

2  main chahta hoon ki tum jaan lo ki main tumhare liye, jo laudeekiya+ mein hain unke liye aur un sabke liye jinhonne mujhe kabhi nahin dekha, kitna kada sangharsh kar raha hoon.  main yah isliye kar raha hoon taaki unke dilon ko dilasa mile+ aur woh poore taalmel ke saath pyar ke bandhan mein ek-doosre se jude rahein+ aur woh us daulat ko haasil karein jo is baat ka poora yakeen hone par milti hai ki unki samajh bilkul sahi hai. tab woh parmeshvar ke pavitra rehasya ka yaani maseeh ka sahi gyaan haasil kar sakeinge.+  usi mein buddhi aur gyaan ka saara khazana badi saavdhani se chhipaya gaya hai.+  main yah isliye kah raha hoon taaki koi bhi insan kaayal karnevali daleelein dekar tumhein na chhale.  main bhale hi tumhare yahaan nahin hoon magar man se tumhare saath hoon. yah dekhkar mujhe khushi hoti hai ki tumhare beech achhi vyavastha hai+ aur maseeh par tumhara vishvas bahot mazboot hai.+  isliye jaise tumne prabhu maseeh yeeshu ko sweekar kiya hai, vaise hi uske saath ekta mein chalte raho.  usmein gehrai tak jad pakdo aur badhte jaao+ aur vishvas mein mazbooti paate raho,+ theek jaise tumhein sikhaya gaya tha, saath hi tummein dhanyavad ki bhaavna umadti rahe.+  khabardar raho! kahin aisa na ho ki koi tumhein duniyavi falsafon aur chhalnevali un khokhli baaton se kaidi bana le,*+ jo insanon ki paramparaon aur duniya ki maamooli baaton ke mutabik hain aur maseeh ke mutabik nahin hain  kyonki maseeh mein hi parmeshvar ke saare gun poori had tak paaye jaate hain.+ 10  isliye uske zariye tumne sabkuch poori had tak paaya hai, jo saari hukoomat aur adhikar ka mukhiya hai.+ 11  usi ke saath rishta hone ki vajah se tumhara aisa khatna bhi hua jo haath se nahin kiya gaya, balki paapi shareer ko utar feinkne+ se tumhara aisa khatna hua jaisa maseeh ke sevkon ka hona chahiye.+ 12  isliye ki tum uske baptisme mein uske saath dafnaye gaye+ aur uske saath ek rishta hone ki vajah se tum uske saath zinda bhi kiye gaye+ kyonki tumhein us parmeshvar ke shaktishali kaam par vishvas tha, jisne maseeh ko mare huon mein se zinda kiya.+ 13  itna hi nahin, parmeshvar ne tumhein zinda karke uske saath ek kiya jabki tum apne gunahon ki vajah se mare huye the aur tumhara shareer khatnarahit dasha mein tha.+ usne badi kripa dikhate huye hamare saare gunah maaf kiye+ 14  aur haath se likhe us dastavez ko radd kar diya*+ jismein kai aadesh the+ aur jo hamare khilaf tha.+ usne yaatna ke kaath* par use keelon se thonkkar hamare saamne se hata diya.+ 15  aur is yaatna ke kaath ke zariye* usne hukoomaton aur adhikariyon ko nanga karke sab logon ke saamne haare huon ki tarah unki numaish ki aur jeet ke juloos mein unhein apne peechhe-peechhe chalaya.+ 16  isliye koi bhi insan tumhare liye tay na kare ki tumhein kya khaana-peena chahiye+ ya tumhein naye chaand ka din+ ya sabt manana chahiye.+ 17  kyonki ye sab aanevali baaton ki chhaaya thi+ magar hakeekat maseeh ki hai.+ 18  aisa koi bhi insan jise namrata ka dhong karna aur swargdooton ki upasna pasand hai, tumhein us inam se door na kar de+ jo tumhein milnevala hai. aisa insan un darshanon par “ada rehta hai”* jinhein dekhne ka woh daava karta hai. woh apni shaareerik soch par fool uthta hai jabki uske paas aisa karne ki koi vajah nahin hoti. 19  woh insan us sir ke saath mazbooti se juda nahin rehta,+ jo poore shareer ki zaroorat poori karta hai aur jodon aur maans-peshiyon ke zariye poore shareer ko ek-saath jode rakhta hai aur shareer ko badhata hai, theek jaise parmeshvar chahta hai.+ 20  ek baar jab tum duniya ki maamooli baaton ke maamle mein maseeh ke saath mar gaye,+ to fir ab tum kyon duniya ke logon ki tarah khud ko aise aadeshon ke gulam banate ho:+ 21  “use haath na lagana, ise na chakhna, use na chhoona”? 22  ye aadesh aisi cheezon ke baare mein hain jo istemal hote-hote mit jaati hain. ye insanon ki sikhayi shikshayen aur aagyayen hain.+ 23  ye manmane dhang se upasna karne, namrata ka dhong karne aur apne shareer ko yaatna dene ka badhava deti hain.+ bhale hi ye gyaan ki baatein lagti hain, magar inse shareer ki vaasnaon se ladne mein koi madad nahin milti.

kai footnote

ya “shikar banakar le jaaye.”
ya “mita diya.”
shabdavli dekhein.
ya shaayad, “maseeh ke zariye.”
yah havala jhoothe dhaarmik rivazon se hai.