laivyavyavastha 11:1-47

  • shuddh aur ashuddh jaanvar (1-47)

11  fir yahova ne moosa aur haaroon se kaha,  “israeliyon se kehna, ‘tum zameen par rehnevale ye jeev-jantu khaa sakte ho:+  aisa har jaanvar jiske khur do bhaagon mein bate hote hain aur jo jugali bhi karta hai.  magar tum ye jaanvar nahin khaa sakte jo ya to jugali karte hain ya jinke khur do bhaagon mein bate hote hain: unt, jo jugali to karta hai magar uske khur do bhaagon mein nahin bate hote. woh tumhare liye ashuddh hai.+  chattani bijjoo,+ jo jugali to karta hai magar uske khur do bhaagon mein nahin bate hote. woh tumhare liye ashuddh hai.  khargosh, jo jugali to karta hai magar uske khur do bhaagon mein nahin bate hote. woh tumhare liye ashuddh hai.  aur sooar,+ jiske khur to do bhaagon mein bate hote hain magar woh jugali nahin karta. woh tumhare liye ashuddh hai.  tum inmein se kisi bhi jaanvar ka gosht na khaana aur na hi iski laash chhoona. ye sabhi jaanvar tumhare liye ashuddh hain.+  tum paani mein rehnevale ye jeev-jantu khaa sakte ho: nadi ya samundar ka aisa har jeev jiske pankh aur chhilke hote hain.+ 10  lekin nadi ya samundar ke aise jeevon ko khaana mana hai jinke pankh aur chhilke nahin hote, fir chahe woh jhund mein rehnevale jeev hon ya doosre kism ke jeev. woh tumhare liye ghinaune hain. 11  haan, tumhari nazar mein woh sabhi ghinaune hon. tum aise kisi bhi jeev ko na khaana.+ agar tumhein aisa mara hua jeev mile to usse ghin karna. 12  paani ke andar rehnevala aisa har jeev tumhare liye ghinauna hai jiske pankh aur chhilke nahin hote. 13  aakash mein udnevale ye sabhi jeev tumhare liye ghinaune hain aur inhein tum mat khaana kyonki ye ghinaune hain: ukab,+ samudri baaz, kaala giddh, 14  laal cheel aur har kism ki kaali cheel, 15  har kism ka kauva, 16  shuturmurg, ulloo, dhomra, har kism ka baaz, 17  chhota ulloo, pan-kauva, lambe kaanonvala ulloo, 18  hans, havaasil, giddh, 19  laglag, har kism ka bagula, hudhud aur chamgadad. 20  pankhvala aisa har keet-patanga tumhare liye ghinauna hai jo jhund mein udta hai aur chaar pairon ke bal chalta hai. 21  jo pankhvale keet-patange jhund mein udte hain aur chaar pairon ke bal chalte hain, unmein se sirf aise keet-patange tum khaa sakte ho jinke koodne-faandne ke pair bhi hote hain. 22  is kism ke keet-patangon mein se tum inhein khaa sakte ho: udnevali tarah-tarah ki tiddiyaan, aam tiddi,+ jhingur aur tidda. 23  magar pankhvale baaki sabhi keet-patange jo jhund mein udte hain aur jinke chaar pair hote hain, woh tumhare liye ghinaune hon. 24  unhein khaane se tum ashuddh ho jaaoge. jo koi aise mare huye keet-patangon ko chhoota hai woh shaam tak ashuddh rahega.+ 25  jo koi aise mare huye keet-patangon ko uthata hai, use apne kapde dhone chahiye.+ woh shaam tak ashuddh rahega. 26  aisa har jaanvar tumhare liye ashuddh hai jiske khur fate to hote hain, magar do bhaagon mein nahin bate hote, saath hi woh jugali bhi nahin karta. jo koi use chhuyega woh ashuddh ho jaayega.+ 27  chaar paironvale jo jeev-jantu panjon ke sahare chalte hain woh sab tumhare liye ashuddh hain. jo koi unki laash chhuyega woh shaam tak ashuddh rahega. 28  jo koi unki laash uthata hai, use apne kapde dhone chahiye.+ woh shaam tak ashuddh rahega.+ aise jeev-jantu tumhare liye ashuddh hain. 29  zameen par jo jeev jhund mein rehte hain, unmein se ye tumhare liye ashuddh hain: chhachhoondar, chooha,+ har kism ki chhipkalee, 30  ghareloo chhipkalee, goh, sartika, saanda aur girgit. 31  jhund mein rehnevale ye sabhi jeev tumhare liye ashuddh hain.+ jo koi unki laash chhuyega woh shaam tak ashuddh rahega.+ 32  agar inmein se koi mara hua jeev kisi cheez par girta hai, chahe lakdi ke bartan par ya kapde ya khaal ya taat par, to woh cheez ashuddh ho jaayegi. rozana ke kaam mein istemal honevala jo bartan ashuddh ho jaata hai use paani mein dubokar rakhna chahiye. woh bartan shaam tak ashuddh rahega aur uske baad woh shuddh hoga. 33  agar mara hua jeev kisi mitti ke bartan mein girta hai to tum us bartan ko choor-choor kar dena aur uske andar jo bhi tha woh ashuddh ho jaayega.+ 34  agar aise ashuddh bartan mein rakha paani kisi khaane ki cheez par pade to woh cheez ashuddh ho jaayegi. aise bartan mein peene ke liye jo bhi rakha ho, woh ashuddh ho jaayega. 35  ye mare huye jeev chahe kisi bhi cheez par girein woh cheez ashuddh ho jaayegi. agar tandoor ya choolhe par ye jeev girte hain to use choor-choor kar dena chahiye. woh ashuddh hai aur tumhare liye ashuddh bana rahega. 36  lekin agar paani ke sote ya kund mein aisa mara hua jeev gir jaaye to woh sota ya kund shuddh rahega. magar jo koi us mare huye jeev ko paani se paayenge hai woh ashuddh ho jaayega. 37  agar mara hua jeev kisi aise beej par girta hai jo bone ke liye rakha hua hai to woh beej shuddh hi rahega. 38  lekin agar mare huye jeev ka koi hissa bhigoye huye beej par girta hai to woh beej tumhare liye ashuddh ho jaayega. 39  agar aisa koi jaanvar jise khaane ki tumhein ijazat hai, mara hua paaya jaaye to jo uski laash chhuyega woh shaam tak ashuddh rahega.+ 40  agar kisi ne aise mare huye jaanvar ka gosht khaa liya to use apne kapde dhone chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.+ jo koi aise jaanvar ki laash uthata hai use apne kapde dhone chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega. 41  dharti ke woh sabhi jeev ghinaune hain jo jhund mein rehte hain.+ inhein khaana mana hai. 42  tum aisa koi bhi jeev mat khaana jo pet ke bal reingata hai, chaar pairon ke sahare chalta hai ya jo jhund mein rehta hai aur jiske bahot-se pair hote hain, kyonki ye ghinaune hain.+ 43  tum jhund mein rehnevale kisi bhi jeev ki vajah se ghinaune mat banna. tum unki vajah se dooshit aur ashuddh mat ho jaana.+ 44  main tumhara parmeshvar yahova hoon.+ tumhein shuddh aur pavitra bane rehna hai+ kyonki main pavitra hoon.+ tum dharti ke aise kisi bhi jeev ki vajah se khud ko ashuddh mat karna jo jhund mein rehta hai. 45  main yahova hoon aur tumhein isliye misra desh se nikaalkar le jaa raha hoon taaki yah saabit karoon ki main tumhara parmeshvar hoon.+ tumhein pavitra bane rehna hai+ kyonki main pavitra hoon.+ 46  ye sabhi niyam jaanvaron, udnevale jeevon, paani ke jeev-jantuon aur jhund mein rehnevale dharti ke jeevon ke baare mein hain. 47  ye niyam isliye diye gaye hain taaki tum shuddh aur ashuddh cheez ke beech aur jo jeev khaaye jaa sakte hain aur jo nahin khaaye jaa sakte, unke beech fark kar sako.’”+

kai footnote