laivyavyavastha 13:1-59
13 yahova ne moosa aur haaroon se yah bhi kaha,
2 “agar kisi aadmi ki tvacha par soojan ya papdi ya daag dikhayi deta hai aur uske kodh*+ mein badalne ka khatra hai, to yah zaroori hai ki us aadmi ko haaroon yaajak ke paas ya uske beton mein se kisi yaajak ke paas laaya jaaye.+
3 yaajak us aadmi ki tvacha par huye sankraman ki jaanch karega. agar tvacha ke sankramit hisse ke royen safed ho gaye hain aur sankraman tvacha ke andar tak dikhayi deta hai, to yah kodh ki beemari hai. yaajak use jaanchne ke baad ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai.
4 agar daag safed hai, magar sankraman tvacha ke andar tak nahin dikhayi deta aur us hisse ke royen bhi safed nahin huye, to yaajak us sankramit aadmi ko saat din ke liye doosron se alag rakhega.+
5 saatvein din yaajak dobara uski jaanch karega. agar daag dikhne mein vaise ka vaisa hi hai aur tvacha par aur nahin faila hai, to yaajak us aadmi ko saat din aur alag rakhega.
6 saatvein din yaajak fir se uski jaanch karega. agar sankraman ka daag kaafi halka ho gaya hai aur tvacha par nahin faila hai, to yaajak ailan karega ki woh aadmi shuddh hai.+ woh bas ek maamooli ghaav tha. fir woh aadmi apne kapde dhoyega aur shuddh ho jaayega.
7 lekin agar shuddh thaharne ke liye yaajak se jaanch karvane ke baad yah saaf dikhayi deta hai ki sankraman tvacha par fail gaya hai to use ek baar fir* yaajak ke paas jaana chahiye.
8 yaajak uski jaanch karega. jab woh dekhega ki tvacha par papdi fail gayi hai, to woh ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai. use kodh hai.+
9 agar kisi aadmi ke shareer par kodh badhne lagta hai to use yaajak ke paas laaya jaaye.
10 yaajak uski jaanch karega.+ agar tvacha par soojan hai aur woh safed hai, vahaan ke royen safed ho gaye hain aur soojan mein khula ghaav hai,+
11 to yah purana kodh hai. yaajak ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai. yaajak ko use dobara jaanchne ke liye alag nahin rakhna chahiye+ kyonki woh ashuddh hai.
12 lekin agar kisi aadmi ke poore shareer par kodh fail gaya hai aur yaajak dekh sakta hai ki sir se paanv tak kodh bhara hua hai
13 aur woh use jaanchne par paata hai ki kodh poori tvacha par fail gaya hai, to woh ailan karega ki uska kodh doosron ko lagnevala kodh nahin hai.* uski poori tvacha safed ho gayi hai aur woh shuddh hai.
14 lekin agar kabhi uski tvacha mein khula ghaav dikhayi dene lagta hai to woh aadmi ashuddh ho jaayega.
15 jab yaajak uska khula ghaav dekhega to us ghaav ki vajah se woh ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai.+ use kodh ki beemari hai.+
16 agar us aadmi ka khula ghaav dobara safed ho jaata hai to woh yaajak ke paas aayega.
17 yaajak uski jaanch karega.+ agar uska sankraman safed ho gaya hai to yaajak ailan karega ki sankramit aadmi shuddh hai.
18 agar kisi ke shareer par foda nikaal aata hai aur woh theek ho jaata hai,
19 lekin jahaan foda nikala tha vahaan ki tvacha soojkar safed ho jaati hai ya vahaan laal-safed daag ban jaata hai, to use jaanch ke liye yaajak ke paas jaana chahiye.
20 yaajak uski jaanch karega.+ agar daag tvacha ke andar tak dikhayi deta hai aur vahaan ke royen safed ho gaye hain, to yaajak ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai. yah kodh ki beemari hai, jo fode ki jagah par nikaal aayi hai.
21 lekin agar yaajak use jaanchne par paata hai ki vahaan ke royen safed nahin huye hain aur daag tvacha ke andar tak nahin hai aur daag halka ho gaya hai, to yaajak use saat din ke liye alag rakhega.+
22 aur agar yah saaf dikhayi deta hai ki daag tvacha par fail gaya hai to yaajak ailan karega ki woh ashuddh hai. use kodh hai.
23 lekin agar daag vaise ka vaisa hi hai aur faila nahin hai to iska matlab hai ki uski soojan fode ki vajah se thi. yaajak ailan karega ki woh aadmi shuddh hai.+
24 agar jalne ki vajah se kisi ki tvacha par ghaav ban jaata hai aur woh kachcha ghaav safed ya laal-safed rang ke daag mein badal jaata hai,
25 to yaajak uski jaanch karega. agar us daag ke royen safed ho gaye hain aur daag tvacha ke andar tak dikhayi deta hai to yah kodh hai jo us ghaav mein nikaal aaya hai. yaajak ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai. use kodh ki beemari hai.
26 lekin agar yaajak use jaanchne par paata hai ki us daag ka ek bhi royaan safed nahin hua aur daag tvacha ke andar tak dikhayi nahin deta aur safedi kam ho gayi hai to woh us aadmi ko saat din ke liye alag rakhega.+
27 saatvein din yaajak uski dobara jaanch karega. tab agar yah saaf dikhayi deta hai ki daag tvacha par fail gaya hai to yaajak ailan karega ki woh aadmi ashuddh hai. use kodh ki beemari hai.
28 lekin agar daag vaise ka vaisa hi hai aur tvacha par faila nahin hai aur uski safedi kam ho gayi hai, to iska matlab hai ki woh soojan sirf ghaav ki vajah se thi. yaajak ailan karega ki woh aadmi shuddh hai kyonki yah ghaav ki soojan hai.
29 agar kisi aadmi ya aurat ke sir ya thodhi par sankraman ho jaata hai,
30 to yaajak us sankraman ki jaanch karega.+ agar sankraman tvacha ke andar tak dikhayi deta hai aur us hisse ke baal patle aur peele pad gaye hain to yaajak ailan karega ki woh insan ashuddh hai. yah sir ki khaal ya daadhi mein honevala sankraman hai. yah sir ya thodhi mein honevala kodh hai.
31 lekin agar yaajak dekhta hai ki sankraman tvacha ke andar tak nahin dikhayi deta aur vahaan ek bhi kaala baal nahin hai, to yaajak ko chahiye ki woh sankramit insan ko saat din ke liye alag rakhe.+
32 saatvein din yaajak us sankraman ki jaanch karega. agar sankraman faila nahin hai aur na hi vahaan ke baal peele huye hain aur sankraman tvacha ke andar tak nahin dikhayi padta,
33 to us insan ko chahiye ki woh apne sir ya thodhi ke baal mundva le, magar sankramit hisse ke baal na mundvaye. fir yaajak us sankramit insan ko saat din aur alag rakhega.
34 saatvein din yaajak fir se sankramit hisse ki jaanch karega. agar sir ki khaal ya daadhi ka sankraman tvacha par nahin faila hai aur tvacha ke andar tak nahin dikhayi deta, to yaajak ko ailan karna chahiye ki woh shuddh hai. us aadmi ko apne kapde dhokar shuddh hona chahiye.
35 lekin agar shuddh thehraye jaane ke baad yah saaf dikhayi deta hai ki sankraman fail gaya hai,
36 to yaajak uski jaanch karega. agar sankraman tvacha par fail gaya hai to woh aadmi ashuddh hai. yaajak ko yah dekhne ki zaroorat nahin ki uske sankramit hisse ke baal peele huye hain ya nahin.
37 lekin agar jaanch se pata chalta hai ki sankraman faila nahin hai aur vahaan kaale baal ug aaye hain to iska matlab hai ki uska sankraman door ho gaya hai. woh shuddh hai. yaajak ailan karega ki woh shuddh hai.+
38 agar ek aadmi ya aurat ki tvacha par daag dikhayi dete hain aur woh daag safed hain,
39 to yaajak unki jaanch karega.+ agar daag halke safed hain, to yah tvacha par honevala dadora hai. isse koi khatra nahin hai. woh aadmi ya aurat shuddh hai.
40 agar ek aadmi ke sir ke baal jhad jaate hain aur woh ganja ho jaata hai, to woh ashuddh nahin shuddh hai.
41 agar uske sir par saamne ke baal jhad jaate hain aur us hisse mein woh ganja ho jaata hai, to woh ashuddh nahin shuddh hai.
42 lekin agar sir ke saamne ke ganje hisse par ya maathe par laal-safed ghaav ban jaata hai, to yah kodh hai jo sir ki khaal ya maathe par nikaal aaya hai.
43 yaajak uski jaanch karega. agar uske ganje hisse mein ya maathe par sankraman ki vajah se hui soojan laal-safed hai aur tvacha par honevale kodh jaisi dikhti hai,
44 to woh aadmi kodhi hai. woh ashuddh hai. uske sir par hui beemari ki vajah se yaajak ko ailan karna chahiye ki woh aadmi ashuddh hai.
45 jise kodh ki beemari hai woh fate huye kapde pehne, baal bikhre huye rakhe, apni moonchhein dhaanp le aur chilla-chillakar kahe, ‘main ashuddh hoon, ashuddh!’
46 jitne samay tak use beemari rahegi woh ashuddh rahega. is ashuddh haalaat ki vajah se use logon ki basti se door alag rehna chahiye. uska basera chhaavni ke baahar hoga.+
47 agar kodh ki beemari kisi poshak par ho jaaye, chahe woh ooni ho ya malmal ki,
48 ya kodh us poshak ke taane ya baane mein, ya kisi chamde par ya chamde ki bani kisi cheez par ho jaaye
49 aur us poshak, chamde, taane, baane ya chamde ki cheez par peele-hare ya laal rang ka daag dikhayi de, to yah kodh ki nishani hai. woh cheez le jaakaar yaajak ko dikhayi jaaye.
50 yaajak us kodh ki jaanch karega aur us daagdar cheez ko saat din tak alag rakhega.+
51 saatvein din yaajak us poshak ya uske taane ya baane par ya chamde (chahe yah chamda kisi bhi cheez ke liye istemal hota ho) par huye kodh ko jaanchega. agar woh paata hai ki daag us cheez par fail gaya hai, to jaan lo ki yah failnevala kodh hai. woh cheez ashuddh hai.+
52 use chahiye ki jis ooni ya malmal ki poshak par ya jiske taane ya baane ya chamde ki cheez par kodh hua hai use jala de, kyonki yah failnevala kodh hai. woh cheez aag mein jala di jaaye.
53 lekin agar yaajak us poshak ya uske taane ya baane ya chamde ki cheez ko jaanchne par paata hai ki daag baaki hisson par nahin faila hai,
54 to woh aadesh dega ki us sankramit cheez ko achhi tarah dhokar saaf kiya jaaye. iske baad woh aur saat din ke liye use alag rakhega.
55 uski dhulai ke baad yaajak uski jaanch karega. agar daag vaise ka vaisa hi hai to chahe woh doosre hisson mein na faila ho, fir bhi woh cheez ashuddh hai. tumhein us cheez ko aag mein jala dena hoga kyonki kodh ne use andar ya baahar se khaa liya hai.
56 agar yaajak use jaanchne par paata hai ki achhi dhulai ke baad daag halka ho gaya hai to woh us poshak ya chamde, taane ya baane se daagvala hissa faadkar nikaal dega.
57 lekin agar daag us poshak ya chamde, taane ya baane ke kisi aur hisse par nazar aata hai to iska matlab hai ki daag fail raha hai. us sankramit cheez ko tum aag mein jala dena.+
58 lekin agar poshak ya taane ya baane ya chamde ki cheez ki dhulai ke baad daag gaayab ho jaata hai, to tum us cheez ko dobara dhona. woh cheez shuddh ho jaayegi.
59 ye niyam kodh ki beemari ke baare mein hain, fir chahe yah oon ya malmal se buni poshak par ya uske taane ya baane par ya chamde ki kisi cheez par ho jaaye. use shuddh ya ashuddh thehrane ke liye ye niyam diye gaye hain.”
kai footnote
^ jis ibrani shabd ka anuvad “kodh” kiya gaya hai uske kai matlab hain. usmein tarah-tarah ke charmrog aur kuch aise sankraman bhi shaamil hain jo kapdon aur gharon mein paaye jaate hain.
^ ya “doosri baar.”
^ ya “woh aadmi shuddh hai.”