laivyavyavastha 15:1-33

  • jannaangon ke risav se ashuddhta (1-33)

15  yahova ne moosa aur haaroon se yah bhi kaha,  “israeliyon se kehna, ‘agar ek aadmi ke jananaangon se risav hota hai, to woh us risav ki vajah se ashuddh hai.+  chahe uske jananaangon se lagatar risav hota ho ya risav ki vajah se jananaangon mein rukavat paida ho, fir bhi woh ashuddh hai.  agar ek aadmi ka risav hota hai to woh jis bistar par letta hai ya jis cheez par baithta hai, woh bistar ya cheez ashuddh ho jaayegi.  jo koi uska bistar chhoota hai, use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.+  jo koi aisi cheez par baithta hai jis par woh aadmi baitha tha, use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.  jo koi us aadmi ko chhoota hai jiska risav hota hai, use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.  jiska risav hota hai woh agar kisi shuddh aadmi par thook de, to jis par usne thooka hai use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.  jiska risav hota hai woh agar zeen par baithkar savaari karta hai, to woh zeen ashuddh ho jaayegi. 10  jo koi aisi cheez chhoota hai jis par woh aadmi baitha tha, woh shaam tak ashuddh rahega. jo koi aisi ashuddh cheezen uthata hai use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega. 11  jiska risav hota hai+ woh agar apne haath dhoye bagair kisi ko chhoo le, to jise usne chhua hai use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega. 12  jiska risav hota hai woh agar kisi mitti ke bartan ko chhoota hai, to woh bartan choor-choor kar diya jaaye. agar woh kisi lakdi ke bartan ko chhoota hai to woh bartan paani se dhoya jaaye.+ 13  jab us aadmi ka risav band ho jaata hai aur uski ashuddhta door ho jaati hai, to use shuddh thaharne ke liye saat din ginne chahiye aur fir apne kapde dhone chahiye aur taaze paani se nahana chahiye aur woh shuddh ho jaayega.+ 14  aathvein din use do faakhte ya kabootar ke do bachche lekar+ bheint ke tamboo ke dvar par yahova ke saamne aana chahiye aur yaajak ko dena chahiye. 15  yaajak un chidiyon ki bali chadhayega, ek ki paap-bali aur doosri ki hom-bali. aur yaajak us aadmi ke liye yahova ke saamne prayashchit karega jo risav ki vajah se ashuddh ho gaya tha. 16  agar kisi aadmi ka veerya nikaal jaaye, to use achhi tarah nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.+ 17  use aise kisi bhi kapde ya chamde ki cheez ko dhona chahiye jis par veerya gira ho. woh cheez shaam tak ashuddh rahegi. 18  jab ek aadmi ek aurat ke saath sota hai aur uska veerya nikaal jaata hai, to unhein nahana chahiye. woh donon shaam tak ashuddh raheinge.+ 19  agar ek aurat ke shareer se khoon behta hai, to woh saat din tak maahavari ki vajah se ashuddh rahegi.+ jo koi aisi aurat ko chhuyega woh shaam tak ashuddh rahega.+ 20  jab woh maahavari ki vajah se ashuddh haalaat mein hoti hai, to woh jis bistar par letti hai ya jis cheez par baithti hai woh bistar ya cheez ashuddh ho jaayegi.+ 21  jo koi uska bistar chhoota hai, use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega. 22  woh jis cheez par baithti hai, use agar koi chhoota hai to use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega. 23  agar koi us bistar ya cheez ko chhoo leta hai jis par woh baithi thi, to woh shaam tak ashuddh rahega.+ 24  agar koi aadmi uske saath sota hai aur us aurat ka maahavari ka khoon us aadmi ko lag jaata hai,+ to woh aadmi saat din tak ashuddh rahega. woh jis bistar par letega woh ashuddh ho jaayega. 25  agar ek aurat ka khoon tab behta hai jab uski maahavari ka samay nahin hai aur bahot dinon tak behta rehta hai+ ya maahavari ke din beetne ke baad bhi uska khoon behena jaari rehta hai,+ to jitne dinon tak uska khoon behta hai utne din woh ashuddh rahegi, jaise woh aam taur par maahavari ke dinon mein ashuddh rehti hai. 26  khoon behene ke dinon mein woh jis bistar par letti hai ya jis cheez par baithti hai woh bistar ya cheez ashuddh ho jaayegi, jaise maahavari ke dinon mein uske letne ya baithne se ashuddh hoti hai.+ 27  jo koi un cheezon ko chhoota hai woh ashuddh ho jaayega. use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. woh shaam tak ashuddh rahega.+ 28  lekin jab uska khoon behena band ho jaata hai, to use saat din ginne chahiye aur uske baad woh shuddh hogi.+ 29  aathvein din use do faakhte ya kabootar ke do bachche lekar+ bheint ke tamboo ke dvar par aana chahiye aur yaajak ko dena chahiye.+ 30  yaajak ek chidiya ki paap-bali aur doosri ki hom-bali chadhayega. aur woh yahova ke saamne us aurat ke liye prayashchit karega jo khoon behene ki vajah se ashuddh ho gayi thi.+ 31  is tarah tum israeliyon ko ashuddh hone se bachaye rakhna taaki aisa na ho ki woh apni ashuddhta se mere pavitra dere ko, jo unke beech hai, dooshit kar dein aur maut ki saza paayen.+ 32  ye niyam in sabhi ke baare mein hain: aisa aadmi jiska risav hota hai, jo veerya nikaalne se ashuddh hai,+ 33  aisi aurat jo maahavari ke dauran ashuddh hai,+ aisa aadmi jiske shareer se risav hota hai, aisi aurat jise us vakt maahavari hoti hai jab uska samay nahin hai+ aur aisa aadmi jo kisi ashuddh aurat ke saath sota hai.’”

kai footnote