laivyavyavastha 16:1-34

  • prayashchit ka din (1-34)

16  yahova ne haaroon ke do beton ki maut ke baad moosa se baat ki. haaroon ke ye bete yahova ke saamne jaane ki vajah se mar gaye the.+  yahova ne moosa se kaha, “apne bhaai haaroon se kehna ki woh param-pavitra jagah mein parde ke andar,+ sandook ke dhakne ke saamne yoon hi kisi bhi vakt nahin aa sakta.+ varna woh mar jaayega+ kyonki main us dhakne ke oopar baadal+ mein prakat hounga.+  haaroon ko param-pavitra jagah mein aane se pehale paap-bali ke liye ek bail+ aur hom-bali ke liye ek medhe ki bali chadhani hogi.+  use chahiye ki woh param-pavitra jagah mein aane se pehale nahaye,+ fir malmal ka pavitra kurta+ aur malmal ka jaanghiya+ pehne, kurte ke oopar malmal ki kamar-patti+ baandhe aur sir par malmal ki pagdi+ pehne. yah pavitra poshak+ hai.  use israeliyon ki mandli se paap-bali ke liye bakri ke do nar bachche aur hom-bali ke liye ek medha lena chahiye.+  fir haaroon ko paap-bali ka bail saamne laana chahiye, jo uske apne paapon ke liye hoga. woh apne aur apne gharane ke paapon ke liye prayashchit karega.+  iske baad haaroon bakri ke donon bachchon ko lega aur unhein bheint ke tamboo ke dvar par yahova ke saamne khada karega.  fir woh donon ke liye chitthiyaan daalega jisse tay hoga ki kaun-saa bakra yahova ko arpit kiya jaayega aur kaun-saa ajajel* ke liye hoga.  jis bakre par yahova ke naam ki chitthi nikaaltee hai+ uski woh paap-bali chadhayega. 10  aur jis bakre par ajajel ke liye chitthi nikaaltee hai use yahova ke saamne zinda khada kiya jaaye taaki paapon ka prayashchit ho aur use ajajel ke liye veerane mein le jaakaar chhod diya jaaye.+ 11  haaroon paap-bali ka bail saamne laayega jo uske apne paapon ke liye hoga. woh apne aur apne gharane ke paapon ke liye prayashchit karega. iske baad woh paap-bali ka bail halal karega.+ 12  iske baad woh aag uthane ka karchha lega+ jismein yahova ke saamne rakhi vedi ka jalta hua koyla bhara hoga,+ saath hi do mutthi badhiya sugandhit dhoop lega+ aur yah sab lekar parde ke andar jaayega.+ 13  fir woh yahova ke saamne aag ke oopar dhoop daalega+ jisse dhoop ka dhuaan gavahi ke sandook+ ke dhakne par chhaa jaayega.+ aisa woh isliye karega taaki woh mar na jaaye. 14  woh bail ka thoda khoon lega+ aur apni ungli se sandook ke dhakne ke saamne, poorab ki taraf chhidkega. woh dhakne ke saamne saat baar khoon chhidkega.+ 15  fir woh paap-bali ka bakra halal karega jo logon ke liye hoga.+ woh bakre ka khoon+ lekar parde ke andar jaayega+ aur use theek usi tarah chhidkega jaise woh bail ka khoon chhidakta hai. use yah khoon dhakne ke saamne chhidakna chahiye. 16  haaroon param-pavitra jagah ke liye prayashchit karega taaki woh israeliyon ke ashuddh kaamon, apradhon aur paapon ki vajah se dooshit na ho jaaye.+ use bheint ke tamboo ke liye bhi prayashchit karna hoga kyonki yah tamboo aise logon ke beech hai jo ashuddh kaam karte hain. 17  jab bhi haaroon prayashchit karne ke liye param-pavitra jagah mein jaayega, to uske baahar aane tak bheint ke tamboo mein koi aur aadmi nazar na aaye. haaroon apne aur apne gharane+ ke liye aur israel ki poori mandli+ ke liye prayashchit karega. 18  fir woh baahar us vedi ke paas jaayega+ jo yahova ke saamne hai aur us vedi ke liye prayashchit karega. woh bail aur bakre ka thoda khoon lekar vedi ke singon par lagayega. 19  saath hi, apni ungli se thoda khoon vedi par saat baar chhidkega aur vedi ko israeliyon ke ashuddh kaamon se shuddh karega aur pavitra thehrayega. 20  jab woh param-pavitra jagah, bheint ke tamboo aur vedi ke liye prayashchit kar lega+ to iske baad woh zinda bakre ko saamne laayega.+ 21  haaroon bakre ke sir par apne donon haath rakhega aur israeliyon ke sabhi gunah, unke sabhi apradh aur paap kabool karega aur yah sab bakre ke sir par daal dega.+ fir woh bakre ko us aadmi ke haath veerane mein bhej dega jo is kaam ke liye chuna jaata hai.* 22  is tarah haaroon bakre ko veerane mein bhej dega+ aur woh bakra logon ke saare paap+ door veerane mein le jaayega.+ 23  fir haaroon bheint ke tamboo mein jaayega aur apni malmal ki poshak utar dega jise pehankar woh param-pavitra jagah mein gaya tha. woh poshak utaarkar neeche rakhega. 24  fir woh tamboo ke aangan mein nahayega+ aur apni doosri poshak pehnega.+ fir woh apni hom-bali+ aur logon ki hom-bali chadhayega+ aur apne aur logon ke paapon ka prayashchit karega.+ 25  woh vedi par paap-bali ki charbi jalayega taaki uska dhuaan uthe. 26  jo aadmi ajajel ke liye bakre ko chhodkar aayega+ use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. iske baad woh chhaavni mein aa sakta hai. 27  paap-bali ke us bail aur bakre ko, jinka khoon prayashchit ke liye param-pavitra jagah mein le jaaya gaya tha, chhaavni ke baahar le jaaya jaayega aur unki khaal, unka gosht aur gobar aag mein jala diya jaayega.+ 28  jo ye cheezen jalata hai, use apne kapde dhone chahiye aur nahana chahiye. iske baad woh chhaavni mein aa sakta hai. 29  tum logon ko yah niyam hamesha ke liye diya jaata hai: saal ke saatvein maheene ke dasvein din tum sabko apne paapon ke liye dukh zahir karna hoga.* is din tummein se kisi ko bhi koi kaam nahin karna chahiye,+ na kisi israeli ko aur na hi tumhare beech rehnevale kisi pardesi ko. 30  yah woh din hoga jab tumhare liye prayashchit kiya jaayega+ taaki tum shuddh thehraye jaao. tum yahova ke saamne apne sab paapon se shuddh ho jaaoge.+ 31  yah tumhare liye sabt ka din hoga, poore vishram ka din. is din tumhein apne paapon ke liye dukh zahir karna hoga.+ yah niyam hamesha ke liye laagoo rahega. 32  prayashchit karne ka kaam vahi yaajak karega jiska abhishek kiya jaata hai+ aur jise apne pita ki jagah+ yaajakpad saunpa jaata hai.*+ woh pavitra poshak+ yaani malmal ki poshak pehnega.+ 33  woh param-pavitra jagah,+ bheint ke tamboo+ aur vedi+ ke liye prayashchit karega. woh yaajkon aur mandli ke sab logon ke liye bhi prayashchit karega.+ 34  yah niyam tumhein hamesha ke liye diya jaa raha hai+ ki tum saal mein ek baar israeliyon ke paapon ke liye prayashchit karo.”+ usne theek vaisa hi kiya jaisa yahova ne moosa ko aagya di thi.

kai footnote

shaayad iska matlab hai, “woh bakra jo gaayab ho jaata hai.”
ya “jo taiyar khada rehta hai.”
‘dukh zahir karne’ ka aam taur par yah matlab samjha jaata hai, khud ko kai cheezon se door rakhna aur ismein upvas karna shaamil hai.
shaa., “jiska haath bhara jaata hai.”