laivyavyavastha 19:1-37
19 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
2 “israeliyon ki poori mandli se kehna, ‘tum pavitra bane raho kyonki main tumhara parmeshvar yahova pavitra hoon.+
3 tummein se har koi apni maa aur apne pita ka aadar kare.*+ tum mere sabton ko maanna.+ main tumhara parmeshvar yahova hoon.
4 tum nikamme devtaon ki taraf na firna+ aur na hi apne liye devtaon ki moortein dhaalkar banana.+ main tumhara parmeshvar yahova hoon.
5 jab bhi tum yahova ko shaanti-bali arpit karte ho,+ to bali is tarah arpit karna ki tum parmeshvar ki manzoori paa sako.+
6 jis din tum bali dete ho, us din aur uske agle din tumhein uska gosht khaana chahiye. agar teesre din tak kuch bach jaata hai to use aag mein jala dena chahiye.+
7 agar teesre din bali mein se kuch khaaya jaata hai, to yah ghinauna kaam hai jise parmeshvar manzoor nahin karega.
8 jo use khaata hai use apne gunah ka hisab dena hoga kyonki usne yahova ki pavitra cheez ko tuchh jaana hai. aise insan ko maut ki saza di jaaye.
9 jab tum apne khet ki fasal kaatoge to uska kona-kona saaf mat kar dena aur katai ke vakt jo baalein reh jaati hain unhein mat beenna.+
10 usi tarah, jab tum apne angooron ke baag se fal ikattha karte ho to belon par chhoote huye angoor mat todna aur na hi baag mein bikhre angoor uthana. yah sab tum gareebon* aur apne beech rehnevale pardesiyon ke liye chhod dena.+ main tumhara parmeshvar yahova hoon.
11 tum chori na karna,+ kisi ke saath dhokha na karna+ aur ek-doosre ke saath beimani na karna.
12 tum mere naam se jhoothi shapath na khaana+ aur is tarah apne parmeshvar ke naam ka apman na karna. main yahova hoon.
13 tum apne sangi-saathi ko na thagna+ aur use na lootna.+ tum dihadi ke mazdoor ki mazdoori raat-bhar, agli subah tak apne paas mat rakhna.+
14 tum kisi badhir ko baddua mat dena aur na hi kisi andhe ke raaste mein roda atkana.+ tum apne parmeshvar ka dar maanna.+ main yahova hoon.
15 tum mukadme mein anyay na karna. na kisi gareeb ki tarafdari karna aur na hi kisi ameer ka paksh lena.+ tum apne sangi-saathi ka nyay sachchai se karna.
16 tum kisi ke baare mein jhoothi baatein failakar use apne logon ke beech badnam na karna.+ tum apne sangi-saathi ki jaan* ke dushman na banna.*+ main yahova hoon.
17 tum man-hi-man apne bhaai se nafrat na karna.+ agar tumhare sangi-saathi ne koi paap kiya hai, to use sudhaarne ke liye zaroor fatkaarna+ taaki tum uske paap mein saajhedar na bano.
18 tum apne kisi jaati bhaai se badla na lena,+ na hi uske khilaf dushmani paalna. tum apne sangi-saathi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.+ main yahova hoon.
19 tum meri in vidhiyon ka paalan kiya karna: tum do alag-alag tarah ke paaltoo jaanvaron ka aapas mein sahvas karakar dogle jaanvar na paida karana. tum apne khet mein do alag-alag tarah ke beej na bona.+ tum aisi poshak na pehanna jo do alag-alag kism ke dhaagon se bunkar taiyar ki gayi ho.+
20 agar ek aadmi aisi daasi ke saath yaun-sambandh rakhta hai jiski kisi aur aadmi se shaadi tay hui hai, magar abhi tak woh aazad nahin hui hai ya rakam dekar chhudayi nahin gayi hai, to un donon ko saza di jaaye. magar unhein maut ki saza na di jaaye kyonki woh daasi abhi tak aazad nahin hui thi.
21 us aadmi ko dosh-bali ke liye ek medha lekar bheint ke tamboo ke dvar par yahova ke paas jaana chahiye.+
22 yaajak us aadmi ki dosh-bali ka medha yahova ke saamne arpit karega aur uske paap ke liye prayashchit karega. aur uska paap maaf kar diya jaayega.
23 jab tum us desh mein jaakaar bas jaaoge jo main tumhein denevala hoon aur vahaan koi ped lagaoge to us par shuroo mein lagnevale falon ko ashuddh maanna aur unhein mat khaana.* teen saal tak tumhare liye uska fal khaana mana hai.*
24 magar chauthe saal uske sabhi fal shuddh honge aur tum khushi manate huye uske fal yahova ko arpit karoge.+
25 fir paanchvein saal tum uska fal khaaoge aur badhiya paidavar paaoge. main tumhara parmeshvar yahova hoon.
26 tum aisi koi bhi cheez na khaana jismein khoon mila ho.+
tum shakun na vicharna aur na hi jaadoo-tona karna.+
27 tum apni kalmein na mundvana aur apni daadhi ke kinare kaatkar uska aakaar na bigaadna.+
28 tum apne shareer par koi nishan na gudvana aur na hi kisi ki maut ka maatam manane ke liye apne shareer par ghaav karna.+ main yahova hoon.
29 tum apni beti ko veshya banakar uska apman mat karna+ taaki veshyaon ke kaam na hon aur desh badchalni se na bhar jaaye.+
30 tum mere sabton ko maanna+ aur mere pavitra-sthan ka gehra aadar karna.* main yahova hoon.
31 tum unke paas na jaana jo mare huon se sampark karne ka daava karte hain+ aur na hi bhavishya batanevalon se poochhtachh karna+ taaki tum unki vajah se ashuddh na ho jaao. main tumhara parmeshvar yahova hoon.
32 tum pake baalvalon ke saamne uth khade hona+ aur buzurgon ka aadar karna.+ is tarah tum apne parmeshvar ka dar maanna.+ main yahova hoon.
33 agar tumhare yahaan koi pardesi rehta hai to uske saath badsalooki na karna.+
34 tum apne beech rehnevale pardesi ke saath vaisa hi salook karna jaisa tum apne israeli bhaai ke saath karte ho.+ tum usse vaisa hi pyar karna jaisa tum khud se karte ho, kyonki ek vakt tum bhi misra mein pardesi hua karte the.+ main tumhara parmeshvar yahova hoon.
35 tum naapne ya taulne ke liye galat maap istemal na karna.+
36 tum sirf aisa tarazoo, baat-patthar aur paimana istemal karna jo bilkul sahi ho.*+ main tumhara parmeshvar yahova hoon, main hi tumhein misra se nikaal laaya hoon.
37 isliye tum meri sabhi vidhiyon aur mere sabhi nyay-siddhaanton ka paalan kiya karna aur un par chalna.+ main yahova hoon.’”
kai footnote
^ shaa., “se dare.”
^ ya “museebat ke maaron.”
^ shaa., “khoon.”
^ ya shaayad, “apne sangi-saathi ki jaan khatre mein dekhkar yoon hi khade mat rehna.”
^ shaa., “uski khaldi maanna.”
^ shaa., “khatnarahit thahre.”
^ shaa., “dar maanna.”
^ shaa., “sachcha epa aur sachcha heen istemal karna.” ati. kha14 dekhein.