laivyavyavastha 21:1-24
21 yahova ne moosa se yah bhi kaha, “tu yaajkon se yaani haaroon ke beton se kehna, ‘ek yaajak ko apne logon mein se kisi ki maut par khud ko dooshit nahin karna chahiye.+
2 lekin woh apne nazdeeki rishtedaron ki maut par khud ko dooshit kar sakta hai, apni maa, apne pita, bete, beti ya bhaai ki maut par.
3 usi tarah, woh apne paas rehnevali kunvari behen ki maut par, jiski shaadi nahin hui thi, khud ko dooshit kar sakta hai.
4 magar woh kisi aisi aurat ke liye khud ko dooshit aur apavitra nahin kar sakta, jo uske logon mein se kisi aadmi ki patni thi.
5 yaajkon ko kisi ki maut par apna sir nahin mundvana chahiye+ aur na hi apni kalmein katvani chahiye ya apne tan par ghaav karna chahiye.+
6 unhein apne parmeshvar ke liye pavitra bane rehna chahiye+ aur apne parmeshvar ke naam ka apman nahin karna chahiye,+ kyonki woh yahova ke liye aag mein baliyaan yaani apne parmeshvar ke liye bhojan arpit karne ka kaam karte hain. isliye unhein pavitra bane rehna hai.+
7 ek yaajak ko kisi veshya+ se ya aisi aurat se shaadi nahin karni chahiye jo kisi aur se bhrasht ho gayi hai ya jiske pati ne use talak de diya hai,+ kyonki yaajak apne parmeshvar ke liye pavitra hota hai.
8 tum log ek yaajak ko pavitra maanna,+ kyonki vahi tumhare parmeshvar ke liye bhojan arpit karne ka kaam karta hai. tumhein ek yaajak ko isliye pavitra maanna chahiye kyonki main yahova pavitra hoon aur main hi tum logon ko pavitra thehra raha hoon.+
9 agar kisi yaajak ki beti veshya bankar bhrasht ho jaati hai, to woh apne pita ka apman karti hai, isliye use maut ki saza di jaani chahiye aur fir aag mein jala dena chahiye.+
10 jo yaajak apne bhaaiyon mein se mahayajak chuna jaata hai, use kisi ki bhi maut par apne baal bikhre huye nahin rakhne chahiye aur na hi apni poshak faadni chahiye,+ kyonki uske sir par abhishek ka tel undela gaya hai+ aur use yaajakpad saunpa gaya hai* taaki woh yaajak ki poshak+ pehne.
11 mahayajak ko kisi bhi insan ki laash ke paas nahin jaana chahiye,+ yahaan tak ki apne pita ya apni maa ki maut par bhi use khud ko dooshit nahin karna chahiye.
12 use pavitra-sthan se baahar kadam nahin rakhna chahiye aur apne parmeshvar ke pavitra-sthan ko dooshit nahin karna chahiye,+ kyonki parmeshvar ke pavitra tel se uska abhishek kiya gaya hai jo uske samarpan ki nishani hai.+ main yahova hoon.
13 use sirf aisi aurat se shaadi karni chahiye jo kunvari hai.+
14 use kisi vidhva ya talakshuda aurat ya veshya ya aisi aurat se shaadi nahin karni chahiye jo bhrasht ho chuki hai. iske bajay, use apne logon mein se kisi kunvari se hi shaadi karni chahiye.
15 use apne logon ke beech apni santan ka apman nahin karna chahiye,+ kyonki main yahova hoon, main use pavitra thehra raha hoon.’”
16 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
17 “haaroon se kehna, ‘tere vanshajon mein se aisa koi bhi aadmi, jiske shareer mein koi dosh hai, apne parmeshvar ko bhojan arpit karne ke liye pavitra-sthan ke paas nahin jaa sakta. yah niyam tum par peedhi-dar-peedhi laagoo rahega.
18 tumhare vanshajon mein se aisa koi bhi aadmi pavitra-sthan ke paas nahin jaa sakta jiske shareer mein inmein se ek bhi dosh hai: woh andha ya langda hai ya uske chehre ka roop bigda hai* ya uska ek haath ya pair zyada lamba hai
19 ya uske haath ya pair ki haddi tooti hai
20 ya uski peeth par koobad hai ya woh bauna hai* ya uski aankhon mein koi dosh hai ya use daad ya khaaj hai ya uske and kuchle huye hain.+
21 haaroon yaajak ke vanshajon mein se kisi aadmi ke shareer mein agar aisa ek bhi dosh hai, to woh yahova ke liye aag mein bali jalakar arpit nahin kar sakta. uske shareer mein dosh hai, isliye woh apne parmeshvar ko bhojan arpit karne vedi ke paas na jaaye.
22 use apne parmeshvar ke bhojan mein se woh cheezen khaane ki ijazat hai jo pavitra hain+ aur woh bhi jo bahot pavitra hain.+
23 magar woh na parde ke paas+ aur na hi vedi ke paas jaa sakta hai,+ kyonki uske shareer mein dosh hai. use mera pavitra-sthan dooshit nahin karna chahiye+ kyonki main yahova hoon, main unhein pavitra thehra raha hoon.’”+
24 moosa ne haaroon aur uske beton ko aur sabhi israeliyon ko ye saari baatein batayin.
kai footnote
^ shaa., “uska haath bhara gaya hai.”
^ shaa., “ya uski naak mein darar hai.”
^ ya shaayad, “woh sookhkar kaanta ho gaya hai.”