laivyavyavastha 24:1-23
24 fir yahova ne moosa se kaha,
2 “israeliyon ko aagya de ki woh bheint ke tamboo ke deeyon ko hamesha jalaye rakhne ke liye shuddh jaitoon ka tel laakaar tujhe dein, jo kootkar nikaala gaya ho.+
3 haaroon ko chahiye ki woh in deeyon ko, jo tamboo mein gavahi ke sandook ke paasvale parde ki is taraf hain, yahova ke saamne shaam se subah tak lagatar jalaye rakhne ka intazam kare. yah niyam peedhi-dar-peedhi sada ke liye tum par laagoo rahega.
4 haaroon ko yahova ke saamne shuddh sone ki deevat+ par ye deeye hamesha tarteeb se rakhne chahiye.
5 tum maida lekar usse chhalle jaisi 12 rotiyaan tandoor mein seinkkar banana. har roti epa ke do-dahai bhaag* maide ki banayi jaaye.
6 tum chhe-chhe rotiyon ke do dher+ shuddh sone ki mez par yahova ke saamne rakhna.+
7 tum harek dher ke oopar shuddh loban rakhna. yah loban roti ka prateek* hoga+ jise aag mein jalakar yahova ko arpit kiya jaayega.
8 use bina naaga har sabt ke din yahova ke saamne ye rotiyaan tarteeb se rakhni chahiye.+ yah israeliyon ke saath kiya gaya sada ka karar hai.
9 ye rotiyaan haaroon aur uske beton ko di jaayengi+ aur woh inhein pavitra jagah mein khaayenge,+ kyonki ye rotiyaan yaajak ke liye bahot pavitra hain aur us chadhave mein se hain jo yahova ke liye aag mein jalakar arpit kiya jaata hai. yah niyam tumhein hamesha ke liye diya jaata hai.”
10 israeliyon mein ek aisa aadmi tha jiski maa israeli thi magar pita misri tha.+ ek din chhaavni mein is aadmi ki ek israeli aadmi se ladai ho gayi.
11 woh aadmi jiski maa israeli thi, parmeshvar ke naam* ki ninda karne laga aur uske baare mein apman ki baatein kehne laga.+ isliye log use moosa ke paas le aaye.+ us aadmi ki maa ka naam shalomeet tha. woh daan gotra ke dibri ki beti thi.
12 logon ne us aadmi ko tab tak ke liye hirasat mein rakha jab tak ki unhein uske baare mein yahova ka faisla pata nahin chala.+
13 yahova ne moosa se kaha,
14 “tu us aadmi ko chhaavni ke baahar le jaa jisne apman ki baatein kahi hain. fir jitne logon ne uski baatein suni thi woh sab uske sir par apne haath rakhein aur logon ki poori mandli use pattharon se maar daale.+
15 tu israeliyon se kehna, ‘agar koi apne parmeshvar ke baare mein apman ki baatein kehta hai to use apne paap ka lekha dena hoga.
16 yahova ke naam ki ninda karnevale ko har haal mein maut ki saza di jaaye.+ logon ki poori mandli use pattharon se maar daale. jo bhi parmeshvar ke naam ki ninda karta hai use maut ki saza di jaaye, fir chahe woh israeli ho ya tumhare beech rehnevala pardesi.
17 agar koi aadmi kisi insan ki jaan leta hai, to use har haal mein maut ki saza di jaaye.+
18 lekin agar ek aadmi kisi ke paaltoo jaanvar ko maar daalta hai, to use muavza bharna hoga. use jaanvar ke badle jaanvar dena hoga.
19 agar ek aadmi kisi aadmi par hamla karke use ghaayal kar deta hai, to uske saath bhi vahi kiya jaaye jo usne doosre ke saath kiya hai.+
20 agar usne doosre ki haddi todi hai to uski bhi haddi todi jaaye, usi tarah aankh ke badle aankh, daant ke badle daant ya usne jo bhi chot pahunchayi hai, vahi chot use di jaaye.+
21 agar ek aadmi kisi jaanvar ko maar daalta hai to use muavza bharna hoga.+ lekin agar ek aadmi kisi insan ki jaan leta hai to use maut ki saza di jaaye.+
22 tum sab par ek hi nyay-siddhaant laagoo hoga, fir chahe tum israeli ho ya israeliyon ke beech rehnevale pardesi,+ kyonki main tumhara parmeshvar yahova hoon.’”
23 moosa ne ye saari baatein israeliyon ko batayin. fir woh us aadmi ko chhaavni ke baahar le aaye jisne parmeshvar ke baare mein apman ki baatein kahi thi. aur unhonne use pattharon se maar daala.+ is tarah israeliyon ne theek vahi kiya jo yahova ne moosa ko aagya di thi.
kai footnote
^ epa ka do-dahai bhaag 4.4 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
^ ya “ki yaadgar.”
^ yaani naam yahova, jaisa aay. 15 aur 16 se pata chalta hai.