laivyavyavastha 25:1-55

  • sabt ka saal (1-7)

  • chhutkare ka saal (8-22)

  • jaaydad vaapas paana (23-34)

  • gareebon ke saath kaisa salook (35-38)

  • daason ke baare mein niyam (39-55)

25  fir yahova ne seenai pahad par moosa se kaha,  “israeliyon se kehna, ‘kuch samay baad jab tum us desh mein bas jaaoge jo main tumhein denevala hoon,+ to poore desh ki zameen ko yahova ke liye sabt ka vishram mila karega.+  chhe saal tum khet mein beej bona aur chhe saal apne angooron ke baag ki chhantai karna aur zameen ki upaj ikattha kiya karna.+  magar saatvaan saal desh ki zameen ke liye poore vishram ka saal yaani yahova ke liye sabt hoga. us saal tum na khet mein beej bona aur na hi angooron ke baag ki chhantai karna.  pichhli fasal ki katai ke baad khet mein jo daane reh jaate hain, unse apne aap ugnevale anaj ki katai mat karna. usi tarah angooron ke baag se, jiski chhantai nahin ki jaati, woh angoor mat batorna jo apne aap ug aate hain. saatvaan saal desh ki zameen ke liye poore vishram ka saal hoga.  lekin sabt ke saal ke dauran zameen par jo kuch apne aap ugta hai use tum, tumhare daas-daasiyaan, dihadi ke mazdoor aur tumhare saath rehnevale pardesi khaa sakte hain.  saath hi, tumhare paaltoo jaanvar aur tumhare ilake ke jangli jaanvar khaa sakte hain. tum zameen se milnevali saari upaj khaa sakte ho.  tum saat sabt ke saal ginna, yaani saat guna saat saal. is tarah jab kul milakar 49 saal poore honge,  to us 49vein saal ke saatvein maheene ke dasvein din yaani prayashchit ke din,+ tum apne desh mein zor-zor se narsinga foonkna. desh ka kona-kona narsinge ki aavaz se goonj uthe. 10  tum 50vein saal ko pavitra maanna aur desh ke sabhi nivasiyon ke liye chhutkare ka ailan karna.+ tum sabke liye 50vaan saal chhutkare ka saal hoga. us saal tummein se har kisi ko uski bechi hui jaaydad lauta di jaayegi. har koi apne parivar ke paas laut jaaye.+ 11  tumhare liye 50vaan saal chhutkare ka saal hoga. us saal tum zameen par na beej bona aur na hi pichhli fasal ki katai ke bache daanon se ugnevale anaj ki katai karna. aur angooron ke baag se, jiski chhantai nahin ki jaati, angoor mat batorna+ 12  kyonki 50vaan saal chhutkare ka saal hai. tum use pavitra saal maanna. us saal tum sirf woh cheezen khaa sakte ho jo zameen par apne aap ugti hain.+ 13  is chhutkare ke saal ke dauran tummein se har kisi ko apni bechi hui jaaydad lauta di jaayegi.+ 14  jab tum apne sangi-saathi ko kuch bechte ho ya usse kuch khareedte ho, to uske saath beimani karke uska faayda na uthana.+ 15  jab tum apne sangi-saathi se zameen khareedte ho to tum yah ginna ki chhutkare ke saal ko beete ab kitne saal ho gaye hain. aur bechnevale ko dekhna chahiye ki chhutkare ka saal aane mein ab kitne saal baaki hain jinke dauran fasal ki paidavar hogi. fir utne saalon ki paidavar ke hisab se use keemat lagakar tumhein bechna chahiye.+ 16  agar chhutkare ka saal aane mein bahot saal baaki hain to bechnevala keemat badha sakta hai, lekin agar thode hi saal baaki hain to use kam keemat mein bechna chahiye, kyonki darasal woh tumhein woh fasal bech raha hai jo bache huye saalon ke dauran ugegi. 17  tummein se koi bhi apne sangi-saathi ke saath beimani karke uska faayda na uthaye.+ tum apne parmeshvar ka dar maanna+ kyonki main tumhara parmeshvar yahova hoon.+ 18  agar tum meri vidhiyaan maanoge aur mere nyay-siddhaanton ka paalan kiya karoge to tum desh mein mehfooz base rahoge.+ 19  zameen se tumhein achhi paidavar milegi,+ tumhein khaane ki koi kami nahin hogi aur tum mehfooz base rahoge.+ 20  lekin shaayad tum kaho, “agar hum saatvein saal beej nahin boyenge aur fasal nahin kaateinge to khaayenge kya?”+ 21  main chhathe saal zameen par aasheeshon ki bauchhar karoonga, isliye us saal itni zyada paidavar hogi ki yah teen saal tak tumhare paas bharpoor hogi.+ 22  aathvein saal tum beej booge aur nauvein saal tak purani fasal ka anaj khaaoge. nayi fasal ki upaj milne tak tum purani fasal ka hi anaj khaaoge. 23  desh ki koi bhi zameen hamesha ke liye kisi aur ko na bechi jaaye+ kyonki desh ki saari zameen meri hai.+ aur tum meri nazar mein is desh mein pardesi aur pravasi ho.+ 24  poore desh mein har kisi ko yah hak diya jaaye ki agar woh kabhi apni zameen bech deta hai to use dobara khareedkar vaapas paa sakta hai. 25  agar tumhara koi israeli bhaai gareebi mein pad jaaye aur majboori mein use apni kuch zameen bechani pade, to uske kisi nazdeeki rishtedar ko uska chhudanevala banna hoga aur uski biki hui zameen vaapas khareedni hogi.+ 26  agar ek aadmi ka koi chhudanevala nahin hai, magar usne itni daulat kama li hai ki woh khud apni zameen vaapas khareed sakta hai, 27  to use keemat dekar apni zameen vaapas khareedni chahiye. use ginna chahiye ki uski zameen ki bikri ke baad ab tak kitne saal beete hain aur in saalon ki paidavar ki keemat us keemat se ghata deni chahiye jo use zameen bechne par mili thi. fir bachi hui rakam dekar use apni zameen vaapas khareed leni chahiye.+ 28  lekin agar ek aadmi ke paas apni zameen vaapas paane ka koi raasta nahin hai, to chhutkare ke saal tak zameen us aadmi ki rahegi jisne khareed li hai.+ fir chhutkare ke saal, zameen uske asli maalik ko yaani us aadmi ko lauta di jaayegi jisne bechi thi.+ 29  agar ek aadmi ka ghar sheharpanahvale nagar mein hai aur woh use bechta hai to bechne ke baad woh ek saal ke andar use vaapas khareed sakta hai. poore ek saal tak uske paas apna ghar vaapas khareedne ka hak rahega.+ 30  lekin agar poore saal ke beetne tak woh sheharpanahvale nagar mein apna ghar vaapas nahin khareedta to ghar peedhi-dar-peedhi hamesha ke liye us aadmi ka ho jaayega jisne khareeda hai. chhutkare ke saal woh ghar us aadmi ko vaapas na diya jaaye jisne becha tha. 31  lekin agar ek aadmi ka ghar sheharpanahvale nagar mein nahin, balki ek khuli basti mein hai to uska ghar khet ka hissa maana jaayega. agar woh apna ghar bechta hai to uske paas use vaapas khareedne ka hak rahega. aur agar woh nahin khareed paata to chhutkare ke saal use vaapas de diya jaaye. 32  jahaan tak leviyon ke gharon ki baat hai jo unke shehron mein hain,+ woh unhein bechne ke baad kabhi-bhi vaapas khareed sakte hain. yah hak unke paas hamesha ke liye rahega. 33  agar ek levi shehar mein apna becha hua ghar vaapas nahin khareedta, to chhutkare ke saal use woh ghar vaapas de diya jaayega+ kyonki israeliyon ke beech leviyon ke shehron mein jitne bhi makan hain, woh leviyon ki apni jaaydad hain.+ 34  magar kisi levi ko apne shehron ke aas-paas ke charagah ki koi bhi zameen nahin bechni chahiye,+ kyonki yah leviyon ki hamesha ki jaageer hai. 35  agar tumhare aas-paas rehnevala koi israeli bhaai gareebi mein pad jaata hai aur apna guzara nahin kar paata, to tum uski madad karna+ jaise tum apne beech rehnevale pardesi aur pravasi+ ki madad karte taaki woh tumhare beech hi rehkar apna guzar-basar kar sake. 36  tum aise gareeb bhaai se byaj mat lena ya uska faayda uthakar munafa mat kamana.+ tum apne parmeshvar ka dar maanna+ taaki tumhara bhaai tumhare beech hi rehkar apna guzar-basar kar sake. 37  jab tum use paisa udhaar dete ho to byaj na lena+ ya tum use jo khaana dete ho usse munafa mat kamana. 38  main tumhara parmeshvar yahova hoon. main tumhein misra se nikaalkar kanaan le jaa raha hoon+ taaki yah saabit karoon ki main tumhara parmeshvar hoon.+ 39  agar tumhare aas-paas rehnevala koi israeli bhaai gareebi mein pad jaata hai aur majboor hokar khud ko tumhare haath bech deta hai,+ to tum usse vaise kaam na karvana jaise tum ek daas se karvate ho.+ 40  tum usse utna hi kaam lena jitna tum dihadi ke mazdoor se ya ek pravasi se lete ho.+ woh chhutkare ke saal tak tumhare yahaan kaam karega. 41  uske baad woh apne baal-bachchon* ko lekar tumhare yahaan se apne rishtedaron ke paas laut jaayega. use apne purkhon ki zameen par rehne ke liye laut jaana chahiye.+ 42  kyonki israeli darasal mere daas hain jinhein main misra se baahar nikaal laaya hoon.+ unhein khud ko kisi ke haath bechkar uska daas nahin banna chahiye. 43  tum us israeli bhaai ke saath berehami se mat pesh aana+ aur apne parmeshvar ka dar maanna.+ 44  tumhare yahaan jo bhi daas-daasiyaan honge woh aas-paas ki doosri jaatiyon se hone chahiye. tum un jaatiyon ke logon se daas-daasiyaan khareed sakte ho. 45  usi tarah, jo pardesi tumhare yahaan bas jaate hain, unse aur unki santan ke parivaron se tum daas khareed sakte ho.+ woh tumhari jaageer ho jaayenge. 46  tum ye daas virasat mein apne beton ko de sakte ho taaki woh tumhare baad tumhari santan ki hamesha ki jaageer ho jaayen. tum in logon se daason ki tarah kaam le sakte ho, magar apne israeli bhaaiyon par atyachar mat karna.+ 47  agar tumhare beech rehnevala koi pardesi ya pravasi bahot daulatmand ho jaata hai aur tumhara koi israeli bhaai gareebi ki vajah se khud ko us pravasi ya pardesi ya uske kisi rishtedar ke haath bech deta hai, 48  to us israeli ke paas vaapas khareede jaane aur chhudaye jaane ka hak hoga. uska koi saga bhaai use vaapas khareedkar chhuda sakta hai,+ 49  ya uska chaacha ya chachera bhaai ya uske gharane ka koi nazdeeki rishtedar* use vaapas khareedkar chhuda sakta hai. ya agar woh israeli khud daulatmand ho jaata hai to woh apni keemat ada karke chhoot sakta hai.+ 50  israeli ko us khareedar ke saath milkar hisab lagana chahiye ki jis saal usne khud ko becha tha tab se chhutkare ke saal tak kitne saal honge.+ aur utne saalon ke liye use jo mazdoori milti vahi uski bikri ki keemat hogi.+ uski mazdoori dihadi ke mazdoor ko di jaanevali mazdoori ke hisab se tay hogi.+ 51  agar chhutkare ke saal ke liye bahot zyada saal bache hain to use un bache huye saalon ke hisab se keemat dekar khud ko chhudana chahiye. 52  usi tarah, agar chhutkare ke saal ke liye bahot kam saal bache hain to use un bache huye saalon ke hisab se keemat dekar khud ko chhudana chahiye. 53  use saal-dar-saal ek dihadi ke mazdoor ki tarah khareedar ke yahaan kaam karna hoga. aur tum dhyan rakhna ki uska khareedar uske saath berehami se pesh na aaye.+ 54  lekin agar ek israeli in sharton ke mutabik keemat ada karke khud ko chhuda nahin sakta, to chhutkare ke saal+ woh aur uske bachche* chhoot jaayenge. 55  israeli mere daas hain. haan, ye mere daas hain jinhein main misra se baahar nikaal laaya hoon.+ main tumhara parmeshvar yahova hoon.

kai footnote

shaa., “beton.”
ya “jiske saath uska khoon ka rishta ho.”
shaa., “bete.”