laivyavyavastha 26:1-46

  • moortipooja se door raho (1, 2)

  • aagya maanne se milnevali aasheeshein (3-13)

  • aagya na maanne se milnevali saza (14-46)

26  tum apne liye nikamme devta na banana,+ na hi pooja ke liye moorat tarashna+ ya pooja-stambh khade karna. aur apne desh mein koi nakkasheedar patthar+ khada karke uske aage dandvat na karna,+ kyonki main tumhara parmeshvar yahova hoon.  tum mere sabton ko maanna aur mere pavitra-sthan ka gehra aadar karna.* main yahova hoon.  agar tum meri vidhiyon par chalte rahoge, meri aagyaon ka paalan karte rahoge aur unke mutabik chaloge,+  to main tumhare liye vakt par baarish karaunga+ aur desh ki zameen paidavar degi+ aur maidan ke ped fal diya kareinge.  tumhein itni bharpoor fasal milegi ki anaj ka daanvna angooron ki katai ke mausam tak chalta rahega. aur angooron ki itni paidavar hogi ki unki katai kheton mein beej bone ke mausam tak chalti rahegi. tumhein roti ki koi kami nahin hogi aur tum apne desh mein mehfooz base rahoge.+  main is desh ko shaanti doonga+ aur tum chain ki nind so paaoge, koi tumhein nahin darayega.+ main desh se khoonkhar jangli jaanvaron ko door kar doonga aur koi bhi talvar lekar tumhare desh par hamla nahin karega.  tum beshak apne dushmanon ko khaded doge aur woh talvar se maare jaayenge.  chahe dushman 100 hon, unhein maar bhagane ke liye tumhare paanch aadmi kaafi honge. chahe dushman 10,000 hon, unhein maar bhagane ke liye tumhare 100 aadmi kaafi honge. tumhare dushman talvar se maare jaayenge.+  main tumhein aasheesh doonga jisse tum faloge-foologe aur tumhari ginti kai guna badh jaayegi.+ main apna woh karar nibhaunga jo mainne tumhare saath kiya hai.+ 10  tum pichhli fasal ka anaj khaakaar khatm nahin kar paaoge ki tumhein nayi fasal ka anaj rakhne ke liye purana anaj khaali karna padega. 11  main tumhare beech apna pavitra dera khada karoonga+ aur main tumhein nahin thukraunga. 12  main tumhare beech chaloonga-firoonga aur tumhara parmeshvar bana rahoonga+ aur tum bhi mere log bane rahoge.+ 13  main tumhara parmeshvar yahova hoon, jo tumhein misra se baahar nikaal laaya taaki tum misriyon ki aur gulami na karo. mainne tumhari gulami ka jua tod daala taaki tum sir uthakar ji sako.* 14  lekin agar tum meri baat nahin maanoge, in saari aagyaon ka paalan nahin karoge,+ 15  meri vidhiyon ko thukra doge+ aur mere nyay-siddhaanton se ghin karke meri aagyaon ke khilaf jaaoge aur mera karar tod doge,+ 16  to main tumhein zaroor iski saza doonga. main tum par museebaton ka kehar dhaa doonga aur tumhein tapedik aur tez bukhar se peedit karoonga jisse tum aankhon ki raushni kho baithoge aur ghul-ghulkar mar jaaoge. tum khet mein beej to booge, magar uski upaj nahin khaa sakoge kyonki dushman aakaar tumhari upaj chat kar jaayenge.+ 17  main tumhein thukra doonga, isliye tum apne dushmanon se haar jaaoge.+ tumhare virodhi aakaar tumhein pairon tale raund daaleinge.+ chahe tumhara peechha karnevala koi na ho, fir bhi tum bhaagoge.+ 18  agar itna kuch bhugatne ke baad bhi tum meri baat nahin maanoge, to mujhe tumhare paapon ke liye tumhein saat guna zyada saza deni padegi. 19  main tumhari dhithai aur ghamand choor-choor kar doonga aur tumhare oopar ke aasman ko lohe jaisa+ aur tumhare desh ki dharti ko tambe jaisi bana doonga. 20  tum kheti-baadi aur baagbani mein chahe mehnat karte-karte past ho jaao, fir bhi tumhari zameen upaj nahin degi,+ na kheton se kuch paidavar hogi aur na hi tumhare pedon par koi fal lagega. 21  agar tum mere khilaf kaam karte rahoge aur meri baat maanne se inkar kar doge, to mujhe tumhare paapon ke hisab se tum par saat guna zyada kehar dhaana hoga. 22  main tumhare beech jangli jaanvar chhod doonga+ jo tumhare bachchon ko tumse hamesha ke liye chheen leinge+ aur tumhare paaltoo jaanvaron ko faad khaayenge. tumhari ginti kam ho jaayegi aur sadkein sunsan ho jaayengi.+ 23  itna kuch hone ke baad bhi agar tum nahin sudhroge+ aur mere khilaf kaam karne ki zid par ade rahoge, 24  to main bhi tumhare khilaf ho jaaunga aur tumhare paapon ke liye tum par saat baar kehar dhaaunga. 25  tum jab mera karar todoge,+ to uska badla chukane ke liye main tum par talvar chalvaunga. agar tum log apni jaan bachakar shehron mein bhaag jaaoge to main vahaan tumhare beech beemari faila doonga+ aur tumhein kisi dushman ke haath kar doonga.+ 26  main tumhare yahaan khaane ki aisi tangi faila doonga*+ ki das aurton ke roti seinkne ke liye ek tandoor kaafi hoga aur tumhein roti taul-taulkar baanti jaayegi.+ tum roti khaaoge to sahi, magar tumhari bhookh nahin mitegi.+ 27  itna kuch hone ke baad bhi agar tum meri baat nahin maanoge aur mere khilaf kaam karne ki zid par ade rahoge, 28  to main tumhara aur bhi kada virodh karoonga.+ aur mujhe tumhare paapon ke liye tumhein saat baar saza deni padegi. 29  tum par aisi naubat aayegi ki tum apne hi bete-betiyonn ka maans khaaoge.+ 30  tumne pooja ke liye jitni bhi unchi jagah banayi hongi woh sab main dhaa doonga+ aur tumhare dhoop-stambhon ko tod daaloonga. main tumhari bejan ghinauni moorton* ke dher par tumhari laashon ka dher laga doonga.+ mujhe tumse itni ghin ho jaayegi ki main tumse apna munh fer loonga.+ 31  main tumhare shehron ko talvar ke havale kar doonga+ aur tumhare pavitra-sthan ujad doonga. main tumhare balidanon ki sugandh nahin loonga. 32  main tumhare desh ko aisa veeran kar doonga+ ki jab tumhare dushman aakaar vahaan baseinge to desh ki haalaat dekhkar dang reh jaayenge.+ 33  main tumhein doosre raashtron mein bikhra doonga+ aur myan se apni talvar nikaale tumhara peechha karoonga.+ tumhara desh veeran kar diya jaayega+ aur saare shehar tabah kar diye jaayenge. 34  jitne samay tak tum dushmanon ke desh mein rahoge aur tumhara desh sunsan pada rahega, utne samay tak desh un saare sabton ka karz chukayega jo usne tab tak nahin manaye honge. us dauran desh ko vishram milega* kyonki use woh saare sabt manane honge jo usne tab tak nahin manaye.+ 35  jitne samay tak desh ujad pada rahega utne samay tak use vishram milega kyonki tumne vahaan rehte vakt sabt nahin manaye jiski vajah se use vishram nahin mila tha. 36  tummein se jo log zinda bacheinge+ aur dushmanon ke desh mein raheinge, unke dilon mein main dar paida kar doonga. woh patte ki zara-si khadkhadahat par bhi dar jaayenge aur aise bhaageinge maano koi talvar liye unka peechha kar raha ho. bhale hi koi unka peechha na kar raha ho, fir bhi woh bhaagte-bhaagte gir padeinge.+ 37  woh thokar khaakaar ek-doosre par gir padeinge maano koi talvar liye unka peechha kar raha ho, jabki asal mein unka peechha karnevala koi na hoga. tum apne dushmanon ka mukabla nahin kar paaoge.+ 38  tum doosre raashtron ke beech rehte huye naash ho jaaoge+ aur tumhare dushmanon ka desh tumhein nigal jaayega. 39  tummein se jo zinda bacheinge unhein main unke gunahon ki vajah se dushmanon ke desh mein sadne ke liye chhod doonga.+ haan, woh apne purkhon ke gunahon ki vajah se+ sad-gal jaayenge. 40  tab woh kabool kareinge ki unhonne aur unke purkhon ne paap kiya hai+ aur mere khilaf jaakaar mere saath vishvasghat kiya hai.+ 41  is vajah se main bhi unke khilaf ho gaya+ aur mainne unhein dushmanon ke desh mein bhej diya.+ mainne aisa isliye kiya taaki unka dheeth* man namra ho jaaye+ aur woh apne gunahon ka karz chukayen. 42  tab main apna woh karar yaad karoonga jo mainne yakub,+ ishaak+ aur abraham+ se kiya tha. aur main desh ki haalaat par dhyan doonga. 43  jitne samay tak log desh mein nahin honge aur desh veeran rahega, utne samay tak desh sabton ka karz chukayega+ aur woh apne gunahon ki saza bhugteinge kyonki unhonne mere nyay-siddhaant thukra diye aur meri vidhiyon se ghin ki.+ 44  magar jab woh dushmanon ke desh mein honge tab main unhein poori tarah nahin thukraunga,+ na hi unse aisi ghin karoonga ki unka sarvanash kar daaloon kyonki aisa karne se main khud apna karar todnevala thehroonga+ jo mainne unke saath kiya tha. main aisa nahin kar sakta kyonki main unka parmeshvar yahova hoon. 45  main unki khaatir woh karar yaad rakhoonga jo mainne unke purkhon se kiya tha,+ jinhein main doosri jaatiyon ke dekhte misra se baahar le aaya tha+ taaki main khud ko unka parmeshvar saabit karoon. main yahova hoon.’” 46  yahova ne seenai pahad par moosa ke zariye israeliyon ko ye saare niyam, nyay-siddhaant aur kaanoon diye.+

kai footnote

shaa., “dar maanna.”
shaa., “aur tumhein seedha khada karke chalaya.”
shaa., “tumhari roti ke chhad tod doonga.” shaayad yahaan roti latkanevale chhadon ki baat ki gayi hai.
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ya “sabt manayega.”
shaa., “khatnarahit.”