laivyavyavastha 27:1-34

  • mannat maani hui cheezen chhudana (1-27)

  • bina shart ke yahova ko samarpit cheezen (28, 29)

  • dasvaan hissa chhudana (30-34)

27  fir yahova ne moosa se kaha,  “israeliyon se kehna, ‘agar ek aadmi kisi insan ke liye tay keemat yahova ko dene ki khaas mannat maanta hai+ to aise maamlon mein yah rakam di jaani chahiye:  20 se 60 saal ke aadmiyon ki tay keemat pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik 50 shekel* chaandi hogi.  magar is umra ki aurton ki tay keemat 30 shekel hogi.  5 se 20 saal ki umra ke ladkon ki tay keemat 20 shekel aur ladkiyon ki keemat 10 shekel hogi.  ek maheene se lekar paanch saal ke ladkon ki tay keemat paanch shekel chaandi aur ladkiyon ki keemat teen shekel chaandi hogi.  jin aadmiyon ki umra 60 saal ya usse zyada hai unki tay keemat 15 shekel aur is umra ki aurton ki keemat 10 shekel hogi.  agar mannat maannevala gareeb hone ki vajah se tay keemat nahin de sakta+ to woh us insan ko yaajak ke saamne khada karvayega jise dene ki usne mannat maani hai aur yaajak us insan ki keemat tay karega. yaajak mannat maannevale aadmi ki haisiyat ke hisab se keemat aankega aur use batayega ki woh kitni keemat de sakta hai.+  agar ek aadmi aisa koi jaanvar dene ki mannat maanta hai jo yahova ko arpit kiya jaata hai, to woh chahe jo bhi jaanvar yahova ko de woh pavitra thehrega. 10  ek baar mannat maanne ke baad woh us jaanvar ke badle aisa jaanvar nahin de sakta, jo usse behtar hai ya uske jitna achha nahin hai. lekin agar woh pehalevale ke badle doosra jaanvar deta hai to uske donon jaanvar pavitra thehreinge. 11  agar ek aadmi aisa ashuddh jaanvar+ dene ki mannat maanta hai jo yahova ko arpit nahin kiya jaata, to woh apna jaanvar laakaar yaajak ke saamne khada karega. 12  yaajak yah dekhkar ki jaanvar achha hai ya nahin, uski keemat tay karega. yaajak jo keemat tay karega, vahi jaanvar ki keemat hogi. 13  lekin agar woh aadmi kabhi apna jaanvar vaapas khareedna chahta hai to use jaanvar ki tay keemat ke saath uska paanchvaan hissa jodkar dena hoga.+ 14  agar ek aadmi apna ghar yahova ko dene ke liye alag karta hai aur use pavitra thehrata hai, to yaajak yah dekhkar ki ghar achha hai ya nahin, uski keemat tay karega. yaajak jo keemat tay karega, vahi ghar ki keemat hogi.+ 15  lekin agar woh aadmi kabhi apna ghar vaapas khareedna chahta hai to use ghar ki tay keemat ke saath uska paanchvaan hissa jodkar dena hoga. tabhi woh apna ghar vaapas paa sakega. 16  agar ek aadmi apne khet ki zameen ka koi tukda yahova ko dene ke liye alag thehrata hai, to uski keemat is hisab se aanki jaayegi ki usmein kitna beej boya jaata hai. ek homer* jau ke beej ke liye 50 shekel chaandi deni hogi. 17  agar woh chhutkare ke saal+ apna khet alag thehrata hai to use tay keemat hi ada karni hogi. 18  lekin agar ek aadmi chhutkare ke saal ke baad kabhi apna khet alag thehrata hai, to yaajak ginega ki agla chhutkare ka saal aane mein aur kitne saal baaki hain aur uske mutabik tay keemat ghatayega.+ 19  lekin agar woh aadmi apna khet alag thehrakar dene ke baad, kabhi use vaapas khareedna chahta hai to use khet ki keemat ke saath uska paanchvaan hissa jodkar dena hoga. tabhi woh khet uska hoga. 20  lekin agar woh khet vaapas nahin khareedta aur khet kisi aur ko bech diya jaata hai, to baad mein woh fir kabhi use vaapas nahin khareed sakega. 21  chhutkare ke saal woh khet yahova ka ho jaayega aur pavitra thehrega aur uske liye samarpit cheez ho jaayega. aur khet ki woh zameen yaajkon ki jaaydad ho jaayegi.+ 22  agar ek aadmi aisa khet alag thehrakar yahova ko deta hai jo uski virasat ki zameen ka hissa nahin hai balki usne kisi aur se khareeda hai,+ 23  to yaajak ginega ki chhutkare ka saal aane mein kitne saal baaki hain, fir uske hisab se uski keemat tay karega. us aadmi ko yah rakam usi din deni hogi jis din keemat tay ki jaati hai.+ woh rakam yahova ke liye pavitra cheez maani jaayegi. 24  fir chhutkare ke saal woh khet uske asli maalik ko yaani us aadmi ko lauta diya jaayega jisse khet khareeda gaya tha.+ 25  jo bhi keemat tay ki jaati hai woh pavitra-sthan ke shekel ke mutabik honi chahiye. aur yah shekel 20 gera* ka hona chahiye. 26  magar kisi ko bhi jaanvaron ke pehalauthon ko alag nahin thehrana chahiye, kyonki woh pehalauthe hone ke naate janm se hi yahova ke hain.+ chahe woh pehalautha bail ho ya bhed, woh pehale se hi yahova ka hai.+ 27  agar ek aadmi apne ashuddh jaanvar ke pehalauthe ko tay keemat dekar chhudana chahta hai to use tay keemat ke saath uska paanchvaan hissa bhi jodkar dena hoga.+ lekin agar woh keemat dekar apna jaanvar vaapas nahin khareedta to woh jaanvar tay keemat mein kisi aur ko bech diya jaayega. 28  lekin agar ek aadmi apna jaanvar, khet ya kisi insan ko bina kisi shart ke yahova ke liye samarpit kar deta hai* to use vaapas nahin khareeda jaa sakta, na hi kisi aur ko becha jaa sakta hai. jo kuch yahova ko samarpit kiya jaata hai woh uske liye bahot pavitra hai.+ 29  aur aisa koi insan bhi nahin chhudaya jaa sakta jise maut ki saza sunayi gayi hai aur naash ke liye alag thehraya gaya hai.+ aise insan ko har haal mein maar daala jaaye.+ 30  desh ki zameen ki upaj ka dasvaan hissa+ yahova ka hai, fir chahe yah khet ki paidavar ka dasvaan hissa ho ya pedon par lagnevale falon ka. yah yahova ke liye pavitra hai. 31  agar ek aadmi apni upaj ka dasvaan hissa dene ke baad use vaapas khareedna chahta hai to use uski keemat ke saath uska paanchvaan hissa jodkar dena hoga. 32  tum gaay-bailon ya bhed-bakriyon ke har das jaanvaron mein se ek jaanvar yahova ko dena. charvahe ki laathi ke neeche se jaanevale jaanvaron ko ginte vakt har dasvein jaanvar ko alag rakhna. jhund ka yah dasvaan hissa parmeshvar ke liye pavitra hai. 33  ek aadmi ko yah nahin dekhna chahiye ki uske dasvein hisse ke jaanvar achhe hain ya nahin, aur na hi unke badle doosre jaanvar dene chahiye. agar woh kabhi ek jaanvar ke badle doosra jaanvar deta hai to uska pehala aur doosra jaanvar donon parmeshvar ke ho jaayenge aur pavitra thehreinge.+ unhein vaapas nahin khareeda jaa sakta.’” 34  yahova ne ye saare niyam israeliyon ke liye diye. usne seenai pahad par moosa ko ye niyam bataye.+

kai footnote

ya “pavitra shekel.”
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.
ek homer 220 l. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ek gera 0.57 g. ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ya “naash ke liye samarpit kiya jaata hai.”